12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat

۞ Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu ۞

12 rabbi-ul-awwal ko barre sageer me ki jaane wali eid bhi hum musalmano me bade ikhtelaf ka mouju hai, aayiye hum iss din ke pasemanzar par gour karte hai, sahaba-e-kiram ke halat-e-zindagi ke aasar dekhte hai ke unpar ye din kaise gujra.

RasoolAllah (ﷺ) ki Wafat ka Marz:

Riwayto me aata hai ke Qalbe-e-Wafat ke kuch Saal pahle Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek Yahudan ne Dawat di. Aap (ﷺ) apne 2 Sahaba ke saath uss Dawat me tashreef leg gaye, uss yahudan ne khane me Zehar milakar Aapke Samne pesh kiya, jise khakar wo 2 Sahabi fouran Inteqal kar gaye aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wo lukma muuh-e-mubarak me lekar chaba hi liya aur Zehar ka andesha hone par thunk diya. Riwayato me aata hai ke Aap(ﷺ) ko aakhri waqt tak hone wale marz ki taqleef ka sabab yahi Zehar tha.

Aap(ﷺ) ke marz me kami beshi hoti rehti thi khaas Wafat ke din (12 Rabbi ul Awwal) ke roz apka Hujra (Ummahatul Momineen Aaysha RaziAllahu Anha ka ghar) Masjid ke samne hi tha, Aapne parda uthakar dekha tou log Namaz-e-Fazr padh rahe they. ye dekhkar khushi se Aap (ﷺ) hans padey, logon ne samjha ke Aap Masjid me aana chahte hai. maare khushi ke tamam Sahaba beqabu ho gaye. magar Aap(ﷺ) ne ishare se roka aur huzre me dakhil ho kar parda daal diya. ye sabse aakhri mouka tha ki Sahaba Keeram ne Jamal-e-Naboowat ki Ziyarat ki.

Iske baad Aap (ﷺ) ko baar-baar Gashi (Behoshi) ka doura padne laga, Aap ki Lakhte Zigar (Beti) Hazrate Fatima Zehra (RaziAllahu Anha) ki Zubaan se Shiddate Gham me ye lafz nikal gaya “Haay re mere Baap ki Baichaini.”

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Beti ! tumhara baap aaj ke baad kabhi baichain na hoga!”

📕 Bukhari ; Jild:2, Safa:241, Baab: Marzunabbi Sallallahu Alaihay Wasallam


✦ RasoolAllah (ﷺ) ke Zubaan-e-Mubarak ke Aakhri alfaz:

Wafat se thodi der pehle sah pahar ka wakt tha ki aapke Sina-e-Akdas me Saans ki ghar-gharahat mehsus hone lagi. itne me Aapke Labe Mubarak hiley aur logo ne ye alfaz suney “Namaz aur Ghulamo ka khayal rakho”

Aap(ﷺ) ke paas me paani ki ek lagan thi isme baar hath daltey aur chehre akdas par malte aur kalma padhte. Apni chadar mubarak ko kabhi muhh par daaltey tou kabhi hata detey. Hazrate Aayisha (RaziAllahi Anhu) Aapke Sir-e-Mubarak ko apne siney se lagaye baithi hui thi itney me Aapne hath uthakat ungli se ishara kiya aur 3 martba farmaya “(Tarjuma: Ab koi nahi! balki wo bada rafik chahiye)”

Yahi alfaz Zubane Mukaddas pe they ki Nagaha Mukaddas hath latak gaye aur aankhe chath ki taraf dekhtey hue khuli ki khuli rahi aur Aap(ﷺ) iss duniya se Rukhsat kar gaye. (Inna lillahi wa inna ialahi rajiun)

📕 Bukhari; Jild:2, Safa:640 & 641

Wafat aur wiladat ki tareekh me aksar Ulmaye Sirat ka ittefaq hai ki Maheena Rabbi-ul-Awwal ka tha aur tarikh 12 thi.

Wafat ka Asar:

Huzure Akdas (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat se Sahaba-e-Karam aur Ahle Baith ko kitna bada Sadma pohcha iski tasvir kashi ke liye hazaro safa’at bhi kafi nahi ho sakti.

Hazrate Usman Ghani (RaziAllahu Anhu) par aisa wakt taari ho gaya ke wo idhar udhar bhage bhage firte they, magar kisi se na kuch kehte aur na kisi se kuch suntey they.

Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Ranjo Malal me nidhal hokar is tarah baithe rahe ke unme Uthne-Baithne ki sakat hi nahi rahi.

Hazrate Abdullah bin Unais (RaziAllahu Anhu) ke Qalb (heart) par aisa Dhakka laga ke wo iss sadme ko Bardasht na kar sakey aur unhe Dil ka doura pad gaya.

Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) is qadar hosho hawaas kho baithe ki unhone talwar khinch li aur nangi talwar lekar madina ki Galiyo me idhar udhar ghumne lagey aur ye kehte firte ki “Agar kisi ne ye kaha ke mere Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat ho gayi tou mai isi talwar se uski garden uda dunga“


Wafat-e-Rasool par Abu Baqar Siddhiq (R.A.) ka khutba:

Bukhari sharif ki riwayat me hai ke Hazrate Abu Baqar Sidhik (RaziAllahu Anhu) apne ghodey par sawar hokar “sukh” se aaye jo ki masjide nabwi se ek mile ke fasle par tha aur kisi se koi baat na kahi na suni sidhey Hazrte Aayesha (RazAllahu Anhu) ki Hujre Mubaraq me chale gaye.

Aur Huzur-e-paak (ﷺ) ke Rukhe Mubarak se chadar hatakar Aapki dono Aankho ke darmiyan nihayat Garamjoshi ke sath ek bosa diya aur kaha ke “Aap apni hayat aur wafat dono halat me pakiza rahe! mere Maa-Baap aap par fida ho. Hargiz Allah Ta’ala Aap par Do Mouto ko jama nahi farmayega! Aapki jo Mout likhi huyi thi Aap uss Mout ke sath wafat pa chuke.”

Iske baad Hazarte Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) masjid me tashrif laye aur logon ko mutawwajo karne ke liye khutba dena shuru kiya ke –

Tum me se Jo Shakhs Muhammad (ﷺ) ki parashtish karta tha wo jaan le ke Muhammad (ﷺ) ki Wafat ho gayi hai aur tum me se jo shakhs Allah ki parastish karta hai tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur wo kabhi Marne wala nahi.

– Khudba Abu Bakr Siddiq(أبو بكر)

Fir Uske baad Hazrate Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ne surah Imran ki aayat 144 tilawat farmayi:

Aur Mohammad (ﷺ) tou ek Rasool hai, Unsey Pehle bohot se Rasool ho chukey hai tou kya agar Wo Inteqaal farma jaye ya Shaheed ho jaye tou tum Ultey paanv phir jaogey aur jo ultey paanv phirega Allah ka kuch Nuksan na karega aur Ankarib Allah Shukr ada karne walo ko Sawab dega.

(Al-Quran; Surah Aale Imran 3:144)

Khutbe ka Asar :

Iske baad Hazrate Abdullah bin Abbas (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke “Hazrat Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) ne ye Aayat tilawat ki tou maloom hota tha ki goya koi iss ayat ko janta hi na tha insey sunkar har shakhs isi Ayat ko padhne laga.

Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) ka bayan hai ki “Maine jab Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ki Zuban se Surah Aale Imran ki ye Aayat suni tou mujhe maloom ho gaya ke wakay Nabi-e-Kareem (ﷺ) inteqaal kar gaye.

Aur inke Sahib jade Hazrate Abdulah bin Umar (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke“Goya hum par ek parda pada hua tha, is ayat ki taraf humara dhyan hi nahi gaya. Hazrat Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ke khutbe ne is parde ko utha diya.”

📕 Reference: Book Sirat-e-Mustafa by Abdul Mustafa Aazmi Alahi Rehman


Sabaq:

Tou beharhaal ye hai pasemanzar 12 Rabbiul Awwal ka.
ye wo din tha jab Fatima Zehra ke sar se apne Walid ka saya hat gaya,
ye wo din tha jab aapki azwaz-e-mutahara bewa ho gayi,
ye wo din tha jab Sahaba Karam Shiddate gham se gash khakar gir gaye.

Aur ye wohi din tha jab Dushmanane din ko khushiya manane ki sabse badi wjah mil gayi thi ke Allah ke Rasool tou Ab Duniya se rukhsat kar gaye, lihaja Wahih ka silsila band ho gaya aur humara nifaq bhi ab ummat me poshida rahega. Tou jitna ho sakey ab ummat ki safo me dakhil ho kar musalmano me inteshar failaya jaaye.

Yahi wo Munafiq they jinke liye 12 Rabbi-ul-Awwal tou khushiyo ka din tha.

Aur Allah gawah hai aaj se kuch hi Saalo pahle tak iss din ko 12 wafat ke naam se manaya jata tha. lekin jab ummat me shaur aane laga tou naam badal kar Milad-un-Nabi rakh liya gata aur fir ye Eid-Milad-un-Nabi kehlaya. Allah hidayat de in hazrat ko.

Allah reham kare Aaj hum kya kar rahe hai 12 rabbi-ul-awwal ko aur kiski Sunnat par amal kar rahe hai ?

Mere Azeezo ! thoda tou gouro fikr karo, kya Sahaba se badhkar bhi Mohabbat-e-Rasool ka Dawedar ho sakta hai koi?, tou jab unhe iss din Jashn manane ka ilm na hua tou humari kya haisiyat thoda tou andaza lagaiye.

Yakinan Wiladate Rasool ki khushi har momin ko hai lekin humari khushiya Siyasati rang me na rangi ho aur na hi humari khushiya Gair-Muslamaano par fakr jatane wali ho.

Balki humari khushiya Shariyat-e-Islamiya ke tabey hai. Alahmdullahi! jo Allah aur uske Rasool ne kaha, jis par Sahaba ne Amal kiya wohi humare liye hujjat honi chahiye.


Nabi (ﷺ) ke Aamad ki khushi kaisi ho ?

Mere Azeezo! Sahaba (RaziAllahu Anhu) ne Rasool-e-Kareem (ﷺ) ki aamad par Zingadi bhar haqeeki khushiya manayi, yaani Aapki talimaat par Zindagi bhar amal kiya aur dusro tak apne umda Akhlaq ke sabab Deen ki Dawat pohchatey rahe.

jiska natija hai ke aaj Hum aur Aap bhi Ahle iman walo me shumar hai. Warna Allah agar hume hidayat na deta tou hum bhi Gumraho me Shumar hotey. Adana si Adna makhlookh se darne wali qoumo me humara Shumar hota.

Allah ka lakh Shukr hai ke Allah ne Apne Nabi ke jarye, Sahaba Kiram ki jaddo jahad ke jarye hum tak Deen-e-Islam pohchaya aur hume hidayat se sarfaraz kiya.

Lihaja hume bhi chahiye ke hum bhi RasoolAllah (ﷺ) ki talimat ko majbuti se pakad ley. Aap (ﷺ) ki ita’at ko lazim aur farz jane aur Deen me naye Akide ijad karne se ahtiyat kare.

♥ in sha Allah ul Azeez !!
– Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyda amal ki taufik de,
– Hume ek aur nek banaye ! Sirate Mustakim par chalaye,
– hum tamam ko Rasool-e-Kareem (ﷺ) se sacchi Mohabbat aur ita-at ki taufik ata farmaye.
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
– khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Ummat-e-Nabi.com
Fb.com/HadiseNabwi

0 thoughts on “12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat

  1. Irfan Saiyad says:

    MazAllah Aap Sallaho tala aleh wasllam kbhi hase nhi sirf muskuraya krte the .Hasne or muskurane me bhot farq hai mehrbani krke Alfazo pe dhyan do ese jaldbaazi me koi post kre jisse gustakhi ka andesh ho.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *