Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem

۞ Hadees: Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Kya Main tumhein Jannat ke khazano mein se ek khazana batlaau ?” Maine kaha (Zarur) batalaiyye.

Aap (ﷺ) ne farmaya , Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah‘ (Allah ki Madad ke bagair Gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat nahi.)

📕 Sahih Muslim, Jild 6, Hadith.6868

Ek aur riwayat me aata hai ke:
“Ye Kalma 99 Bimaariyo ki Dawa hai.’ Jis me se halki Bimaari Ranj-o-Gam aur Pareshani iss ko padhne se door ho jaati hai.”

📕 Tirmizi Shareef

La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem

Tarjuma: Koi Quwat nahi bachaane waali siwaye Allah ke jo Azeem-tar hai

✦ ADAB: La Houla Wala pura parhana hi behtar hai, kyunki iska aadha padhna Allah ke Qudrat ki naframani hai jaise “La Houla Wala Quwa’ta” yaani koi Kuwwat nahi bachane waali. Lihaza humesha parhe tou pura kalma hi padhe. Kyunki wo Quwwat (Allah) hai bachane waali jo har cheez par qaadir hai jo Azeem-tar hai.

1 Comment

Leave a Reply