Kya Yusuf (Alahi Salam) aur Zulkha ka Nikah hua tha ?
Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo me Dulha-Dulhan ko aisi Dua di jati hai ke “Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe. (Nauzubillah)“
Jabki Aisi Dua Denewale Log Andaza bhi Nahi Lagatey Ke Hakikat me Dua Ke Naam par Badduwa dey rahe hai.
# Sabse Pehli Baat Ke –
Yusuf (Alahi Salam) ka Nikah Zulekha se nahi hua tha. aur Qurano Hadees me bhi Iska kahi bhi Tazkira nahi hai.
– Lekin Na Jane phir bhi Log Kaha se Manghadat Dalaeel Latey hai ke Unka Nikah Hua aur Laila Majnuo ki tarha Humare Ishk Mizaz Hazrat Unke Kissey Kahaniya Ghadtey rehte hai.
Yaad Rahe ! Ye Allah Ke Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Hai.
– Jabki Allah Ne Quraan me Zulkha Ke Taluk Se Bayan Kiya Ke Usne Allah ke Nabi Ko Zina Ki Dawat Di (Mafhoom-e-Suraf Yusuf).. Tajjub Ki Baat Hai Ke Fir Bhi Hum Aise Zaani Ko Allah Ke Nabi ki Biwi Ka Darja Detey Hai La-ilmi me…
# Aur Dusri Baat Ke –
Hum Tamam Ka Ye Imaan Hai Ke Ambiya (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrik Tou Ho Sakti Hai Lekin Zaani Nahi.
– Jaise Ke Nooh (Alahi Salam) aur Loot (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrika Thi,.. Lekin Zaani Nahi Thi ,… Bad’deen Tou Thi Lekin BaddKirdaar nahi.
*Tou Beharhaal Yusuf (Alahi Salam) Ka Nikah Zulekha Se Hua Iski Koi Bhi Sharayi Daleel Nahi Siway Baaz Manghadat Kissey Aur Kahaniyo Ke .. Allah Aise Logo Ko Hidayat De.
Lihaja Hume Chahiye Ke Aisi Baato Se Ahtiyat Kare Jo Ki Allah Ke Nek Bando Aur Nabiyo Ki Shaan Me Tauheen hai.
♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke –
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Gairsharayi Baato Se Ahtiyaat Karne Ki Taufik Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Related Posts: