Arfa – 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India)
Arfa ka Roza India mein 16 June 2024 ko hoga.
<<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>>
Mafhum-e-Hadees
Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat
Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.“
📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367
WAJAHAT:
Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare.
Note: ye Roza jo Haaji is Saal Hajj ko Gaye hai unke liye nahi hai.
और भी देखे:
- अरफ़ा के रोजे की फजीलत – तफ्सील में
- अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में
- अरफा का दिन (9 जिल-हिज्जा) हाजी हज़रात क्या करे?
9 DHUL HIJJA YANI (ARFA KE DIN) KA ROZA RAKHNE KA KYA SAWAB HAI?
Zull Zil hijah ka roza, Hajj ke arfe ka roza
hame deen ke bare me bataye