Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Waseeyat me Nainsafi karne wale ka khatama bura hota hai ♥ Al Quran: Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim "Allah Subhanahu Tumhari Aulad ke baare me tumko irshad farmata hai ki (Jaydad me) Ek Ladke ka hissa Do Ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)" - (Surah Nisa(4) Aayat 11) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaye: "Aadmi 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir Waseeyat Ke…
Logo ki Zaroorat poori karne wale Allah ke Azab se… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Ta'ala ne Kuch Bando ko Logon ki Zaroorate poori Karne ke liye Paida Farmaya, Log unke Paas Apni Jarurat Le kar Jaate hai, Logo ki Zaroorat poori karne wale Yeh Log Allah ke Azab se Mehfooz rahenge." - (Tabraani Kabeer, 13334) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ अब्दुल्लाह इब्ने उमर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने…
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…
Al-Quran: Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se… Wahi baat kaha kare jo behtareen ho ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se keh dijiye ke wahi baat kaha kare jo behtareen ho." 📕 Surah Bani Israeel 17:53
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Hadees: Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanhu Ta'ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar." 📕 Al SilSila As Sahiha, 2809, 📕Al Baihiqi,601-Sahih
Apne Gharwalo ke saath insaf karne wale Noor ke… 📖 Roman Urdu Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Jo log insaf karte hain, wo Allah Subhanahu ke yahan Rahman Azwajal ke dahini taraf noor ke mimbaron par honge. Ye wo log honge jo apne gharwalon ke saath insaaf karte hain aur jo kaam unko diya jata hai, usmein insaf karte hain.”(Sahih Muslim, Jild 6, Hadith 4721) 📖 हिंदी हदीस अब्दुल्लाह बिन उम्र (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “जो लोग…
Behayai Phailane wale ke liye Dardnak Azaab ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Jo Log yeh Pasand karte hai ke Behayaee Musalmano me Khoob Phaile tou Unko Duniya aur Aakhirat me Dukh dene waala Azaab hoga, Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantey" 📕 Al-Quran; Sureh-Noor 24:19
Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.❞ 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5258
Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Jahannam mein le jane wale Aamaal by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=sRWND5jtScM Jahannam mein le jane wale Aamal Bad Deeds That Will Take To Hell Fire What is Jahannam, who will go to jahannam, punishments in jahannam, description of jahannam in hadith. How hot is hellfire, facts about jahannam, punishments in jahannam, lowest punishment in jahannam. Examples of Punishments, Punishment for the people of Hell.
Hadees: Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se… Hadith: 22-March: Imran (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟ Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se aur khamoshi behtar hai buri baat sikhane se. 📕 Shoaib Ul Iman 4993