✦ Hadees: Suraj aur Chand ke bare me Islami Aqaid ✦
Abu Mas`ud (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
“Suraj aur Chand me Grahan kisi Shakhs ki Maut se nahi lagta. Yeh dono to Allah Ta”ala ki Qudrat ki Nishaniyan hai. Is liye usey dekhte hi khade ho jaao aur Namaz padho.”
📕 Sahih Bukhari; Hadith no. 1041
✦ Namaz-e-Kasoof:
Suraj wa Chand Grahan ki Namaz (Namaz-e-Kasoof) ka Tareeka
Abdullah bin Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke Zamaane me Suraj Grahan hua.
Aap ne Baa-jamaat 2 rakat namaz padhi. Aap ne Surah Baqra Tilaawat karne ki miqdaar ke qareeb lamba qiyaam kiya phir lamba ruku kiya. Phir sar utha kar lamba Qiyaam kiya (Ruku ke baad Qauma karne ki bajaae dobaara Qira‐at Shuru kar dena 1 hi rakat ka tasalsul hai lehaza is mauqe par naye sire se Surah Faatiha nahi padhi jaaegi. Phir pahle ruku se kum lamba ruku kiya. Phir (Qauma karke) 2 sajde kiye.
Phir khade hokar lamba Qiyam kiya, phir 2 ruku kiye phir 2 Sajde karke aur tashahud padh kar Salaam phera, phir khutba diya, jis mein Allah ki tareef aur sana bayan ki aur farmaya:
Suraj wa Chand Grahan par Aap (ﷺ) ka khutba:
❝Suraj aur Chand Allah ki nishaniyo’n me se 2 nishaniya’n hain. Kisi ke marne ya paida hone se inko Grahan nahi lagta. Jab tum graham dekho to Allah ka zikar karo. (Dauran e Namaz) main ne jannat dekhi,magar main is mein se 1 angoor ka khosha le leta to tum rehti duniya tak is mein se khaate rehte aur main ne dozaqh (bhi) dekhi. Is se badh kar haulnaak manzar Main ne (kabhi) nahi dekha. (aur) Main ne jahannam mein ziyada ta’adaad aurato’n ki dekhi.❞
Arz ki gai Ya RasoolAllah (ﷺ) kya wajah hai (Auratei’n ziyada jahannam mein kyou’n hain)
Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘Wo kufr karti hain.’ Arz Ki gai kya Allah ka kufr karti hain?
Aap ne farmaya: ‘Wo khawind ki Naashukri karti hain, agar tu 1 muddat tak inke sath acchai karta rahe phir inki marzi ke khilaf koi kaam kare to kahti hain ke maine tujh se kabhi bhalaai nahi dekhi.’
📕 Bukhari: al Kasoof 1052 – Muslim: al Kasoof 907
For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Related Posts: