Sunnat Ki Ahmiyat : Part 10

Allah Rabbul Izzat Quraan me ek Jagah farmata hai:

۞ Al-Quraan ۞

Aye Emaanwalo ! Ita’at Karo Allah ki aur Uskey Rasool ki, Aur Ita’at karo Unki Jo Ulool Amr hai (Isme Khalifa-e-Wakt aur Ulma Shamil hai), Lekin Agar Kisi Muamle me Ikhtelaaf ho Jaye tou Paltaado apni baato ko Allah aur uske Rasool ki taraf agar Allah aur Roze Aakhirat par Iman rakhte ho.

Surah Nisa 4:59

Aaj Kitni Baar Aisa Hua ke jis Baat me Humne Ikhtelaaf paya aur usko Allah aur uskey Rasool ki taraf paltaya?

Afsos ki baat hai ke Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla hai ke Jis Ikhtelaaf me hum Mulawwis hai Usmey aur Gehraayi tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat me, Islah ke bajaay Mu’ashre ko bigad dena chahte hai. yehi tou Humari haalat hai aaj.

Aur Ikhtelaaf Hota bhi hai!
– Kyu Na Ho ? Insan Hai! Humari Samajh Aqal Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai ,..
– Lekin Allah Aur Uskey Rasool (ﷺ) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye, Ke Bus Mu’amla Khatm Hua.

*Sababao Ka Bhi Yahi Usool Tha ….
Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ,..
– Lekin Jab Allah Aur Uskey Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey
– Aur Jaan Letey Ke – “Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu” …

Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke
– Bus!!! Humne Keh Diya Na! Ab Hum Adey Rahenge !
– Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
– Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Khilaf Ho,
– Shariyat Aur Deen! Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
– Humne Keh Diya Na , Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah! Summa Nauzubillah)

Allah Ke Liye Aisa Rawaiyya Naa Ikhtiyar Kijiye …
– Tou Beharhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho ,..
– Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..
– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey ,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– Yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai …

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..

To be continued …


Leave a Reply