Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki fazilat
Subhanallah ki Fazilat,
Alhamdulillah ki Fazilat,
Allahu Akbar ki Fazilat
Hadees: Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‘Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain,
1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad –
Dus (10) baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , rawi kahte hain ki maine RasoolAllah (ﷺ) ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo Zuban par 150 (Yaani 5 waqt ki Namaz ke baad 5×30=150) aur meezan par 1500 hain.
2). Dusri aadat ye bayan farmayee ki –
‘Jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho ye Zuban par tou 100 hain magar meezan par 1000 hain.’
Aage Aap (ﷺ) ne farmaya ki –
Tum mein se kaun hain jo Din-Raat mein 2500 buraiya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)
Sahaba (R.A) ne farmaya ‘hum kaise iska khayal nahi rakhenge,
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘Jab tum Namaz me hote ho tou Shaitan tumhare pass aata hai aur kehta hai ki falah cheez yaad karo, falah cheez yaad karo, yahan tak ki wo (banda) Namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta, aur isse tarah jab koi sone ke liye Bistar par jata hai to Shaitan waha bhi aa jata hai aur usko Sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai.’
📕 Jamia Tirmizi, Jild 2,1335-Hasan
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.