Allah Subhanahu farmata hai ‘agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga’
۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki:
‘Allah Subhanahu farmata hai –
“Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou main bhi Zameen bhar Magfirat lekar tumse milunga.”‘
📕 Al-Silsila As-Sahiha, Hadees 1037
Note: Baraye meharbani koi bhi hazraat is Aahdees ko gair maane me lekar Gunah karne ki daleel na banaye balki Allah ki Rehmat aur Shirk ki khabahat ka par gour farmaye.