Ranj Me Aasman Barabar Ke Gunaah Bhi Muaf ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Irshad-e-Mubarak Hain Ki,
“Agar Tumne Aasmaan Ke Barabar Gunaah Ker Liye Aur Fir Sharminda Hoker Taubah Kerli
Tou Allah Ta’ala Tumhari Taubah Qubool Kerlega!
*Aur Farmaya – “Aadmi Gunaah Karta Hain Fir Usi Gunaah Ki Wajahse Jannat Me Dakhil Hota Hain!
Pucha Gaya Huzoor Wo Kaise?”

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Gunaah Ke Baad Fauran Uski Aankhen Allah Ta’ala Ke Darbar Me Aansu Bahaati Hain!”.
(Mukashfatul Kulub, Pg-123)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Ek Habshi Haazir Hua Aur Arz Ki,
“Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mai Khataaye Karta Hoon, Kya Meri Taubah Kubul Hogi?”

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Haan!”
Wo Kuch Door Jaker Wapas Laut Aaya Aur Daryaft Kiya Ki –
“Jab Mai Gunaah Karta Hoon Tou Allah Ta’ala Dekhta Hai?”

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya – “Haan!”
Habshi Ne Itna Sunte Hi Ek Cheek Maari Aur Uski Rooh Parwaaz Ker Gayi!”
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon”
(Mukashfatul Kulub, Pg-123)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: