Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Ramadan Day 22 | Shab e Qadr ki Dua Ramadan Day 22 ۞ Shab e Qadr ki Dua : Allahumma Innaka ‘Afuwwuntuhibbul ‘Afwa Fa’fu ‘Anni.'(Aye Allah tu muaf karne wala aur muaf karne ko pasand karta hai so mere bhi gunaah muaf farma de.)' ...
Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa… Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India) Arfa ka Roza India mein 16 June 2024 ko hoga. India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2024 ko hoga. <<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>> Mafhum-e-Hadees Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: "Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho…
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Ramadan Day 4 : Ramzan me Quran Nazeel hua saari… 04th Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝ Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.❞ 📕 Surah Baqrah 2:185
Ramadan Day 25 | Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua Ramadan Hadees: Day 25 Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Subhanahu wa Taala Quran me farmata hai: "Humne is Quran ko Mubaraq Raat (Shabe Qadr) me nazil kiya." 📕 Surah Ad-Dukhan 44:3
Ramadan Day 21 | Shab e Qadr ko kab Talash Kare... Ramadan Day 21 ۞ Hadees: Hazrate Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Shab-e-Qadr Ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato (21, 23, 25, 27, 29) me Talaash karo...
Jo Shakhs Allah ke Zikr se airaz karega ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai – "Jo Shakhs Apney Rab ke Zikr se Airaaz Karega Allah Usey Shadeed Tareen Azaab me Mubtela Karega.” 📕 Surah Jinn: Ayat 17 Ek aur Aayat me Allah Rabbul Izzat ne farmaya –"Jab mera Banda Mere Ziqr se Airaaj karta hai tou hum Uske Upar Ek Shaitan Musallat karte hai aur Wo Uska Humesha ka Saathi Marne tak ban Jata hai, aur Wo Usko Humare (Yaani Allah) ke Rastey se…
Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur… Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - "Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Waasna/S*x) ko kum karta hai." 📕 Bukhari Sharif, Jild 3,…
Ramadan Day 26 | Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton… Ramadan Hadees: Day 26 Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liye Sadqa e Fitr ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, "RasoolAllah (ﷺ) ne Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liyeaur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Ramadan Day 5 : Ramzan me Jannat ke Darwaze khol diye jatey 05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
Ramadan Day 9 : Roza ek Dhaal hai 9th Ramadan Hadith: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.❞ [Sahih Bukhari 1904]