Qurbani ka Gosht Doosron ko bhi khilaao

Qurbani ke Gosht ka Kya kare

Hadith: Qurbani ka Gosht Doosron ko bhi khilaao

۞ Sulaiman Bin Buraidah Apne Waalid se riwayat karte hain ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

“Main Pehle Tumhe Qurbani ka Gosht 3 Din se Zyada Khaane ko Manaa karta tha
Ta’aki Qurbaani Karne ki Taakat rakhne waale Unhe bhi Dein Jo Qurbani karaney ki Haisiat nahi rakhte.
Tou Ab Jab Tak Chaaho Khaao, Doosron ko Khilaao Aur Usme se Bachaao bhi.

Jami At-Tirmidhi, Hadith no. 1510

Wajahat: 3 Din Se Zyada Qurbaani Ka Gosht Khaana Aur Bachaana Jaiz Hai. 3 Din Ke Andar-Andar Qurbaani Ka Gosht Khatm Karne Ka Hukm Sirf Kuchh Waqt Ke Liye Tha Jo Baad Me Hataa Diya Gaya.

Aur bhi dekhe : Qurbani Ke Ahkaam O Masaail

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *