Jisney RasoolAllah ﷺ ki Ita-at ki Usney Allah ki Ita-at ki …

Jisney RasoolAllah ﷺ ki Ita-at ki Usney Allah ki Ita-at ki

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Taala Quran-e-Kareem me irshad farmata hai:

“Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at Ki Bus Usney Allah ki Ita-At Ki”

📕 Surah An-Nisa 4:80

Wajahat: Iss Aayte Mubarak se yeh baat Wajeh hoti hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ki Ita-at karna goya Allah ki Ita-at karna hai aur RasoolAllah ﷺ ki farmabardari Goya Allah ki farmabardari hai.

Aayiye Jaan letey hai ke RasoolAllah (ﷺ) kya Shakhsiyat hai, Aapki Zaat-e-Mubarak kya hai? Aapka Muqaam kya hai ?

Aap Wo Zaat-e-Mubarak hai Jinki Wajah se Jannat ka Darwaza Khola Jayega Roze Qayamat ,…
Aap () Wo Shakhsiyat hai Jo Sabse Pahle Jannat me Dakhil Honge,
Aap () Wo Shakhsiyat hai Jinke jhande Taley Roze Qayamat Tamaam Nabi aur Rasool aur Unke Ummati Aqwam (Jama/Hajir) honge.

Lekin Aaj Humne RasoolAllah (ﷺ) ki Shakhsiyat ki kitni Nafrmani ki hai aayie zara Muhasba kar Letey hai.

Aaj Humara Yeh Muamla hai ke RasoolAllah () ki Sunnat Humari Zindagi me aa bhi jaye, phir bhi Hum Apne Man-maani Tareeke par Zindagi Jeetey Rahenge.
– Kyunki Humarey tou Bado ne Yeh kiya ,
– Humare Khandan ka Purana Tareeka Hai Ye ,
– Humari Qaum, Samaj, Shahero Aur Basti Ka Tareeka Ye Hai ..
– Lihaza Sunnat Hum Nahi Maan Sakte.. (Nauzubillah)

Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya hai.

Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alahi Salam) Ki Imamat Kartey Hai, Aise Nabi Ki Ita-At Allah Hum Par Lazim Kar Raha hai, aur Inhi Nabi () Ki Baate Hum Chodkar Hum Iski-Uski aur Fala Fala ki Baate Mantey hai .. Quraanaur Aahadees Ko Chodkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai ..

Yaad Rakhiye Kalma “La Ilaha IllAllah Muhammadur RasoolAllah” Ka Aadha Zuz Hai “Imaan-Birr-Rasool” Yaani RasoolAllah Par Imaan Rakhna….

Aaj Hum Kalma tou Padhtey hai RasoolAllah () ka Lekin Tareeka Fir kisi aur ka Ikhtiyar karte hai,
Kalma Tou Padhtey hai RasoolAllah ka phir baat kisi aur ki mantey hai,

Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Lekin Apne Amaal Aur Ikhtilaf Me Kisi Aur Ke Paas Jaatey hai,

Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Aur Tamaam Zindagi Ke Shobey Aap Ki Sunnat Se Khali hai,

Aur Fir Hum Apne Aap Ko Jannat Ke Mustahik, Aashike Rasool, Ahle Sunnat Wal Jamat, Aur Haq Par Samjhne Lag Jatey Hai ,.. Subhanallah

Kya Yahi Pahchan Hai Ek Aashike Rasool Ki ? Ke Sirf Kalma Padhke Iske Takazo Ko Zubaan Par Hi Khatm Kar Diya Jaaye…
Nahi !! Hargiz Nahi …

Yaad Rakhiye Agar Humne ‘Muhammadur RasoolAllah‘ Kaha Tou Humari Zindagi Ka Khatma aur Zindagi Ka Har Pailu RasoolAllah () Ke Tareeke Par Hi Hona Chahiye..
Yahi Iss Kalme Ka Sahi Asal Matlab Hota hai.

Tou Goya “Jisney Rasool’Allah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki” ..

Aur RasoolAllah () Ka Muqaam Kya Hai Iss Barey Me Quraan Me Allah Ta’ala Ek Aur Jagah Farmata Hai Ke –

♥ Al-Quraan: Tou Qasam Hai Tere Rab Ki! Yeh Log Imanwale Nahi Ho Sakte Jab Tak Ke Apne Tamam Ikhtelaaf Me Aap () Ko Haaqim Na Bana Ley. Aur Jo Faisla Aap Suna Dey Tou Usko Taslim (Kabool) Na Karey Tab Tak Ye Log Imaanwale Nahi Ho Sakte..

📕 Surah Nisa: 4:65

Kya Wakay Me Hum Aaj RasoolAllah () ke Faisle Mubarak ke Jarye Aapas me Huey Ikhtelaaf ko Door karne ki Koshish kar rahe hai ?

Think About It .

# InshaAllah-Ul-Azeez !!
Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne se Jyada Amal ki Toufiq ata farmaye!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *