Contents
- Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-11
- 71. Khurooj e Dajjal (Arrival of the Antichrist)
- 1. Dajjal ka khurooz Qayamat ki 10 badi Nishaniyon me se hoga
- 2. Maseeh Dajjal tamaam Dajjalon aur kazabon ka sardar hoga
- 3. Dajjal badey Ghusse se khurooj karega
- 4. Dajjal ki Shakal o Soorat
- 5. Kya Dajjal Aadmi hoga?
- 6. Kya Dajjal Zinda hai?
- 7. Kya Nabi Kareem (ﷺ) ne dajjal ko dekha tha?
- 8. Dajjal ki Shobde Baazian
- 9. Dajjal Duniya ka sab se bada Fitna
- 10. Dajjal ki Jannat aur Jahannum
- 11. Dajjal se bachney ke liye log pahadon par panah lenge
- 12. Dajjal mashriq ki taraf khurasan se niklega
- 13. Jin logon ka pasandeeda (favourite) leader Dajjal hoga!
- 14. Dajjal Khudaai ka dawa karega
- 15. Dajjal se bachane ka tareeqa
- 16. Dajjal ki bebasi ka nazara
- 17. Dajjal ke Fitney se Allah ki panah
- 18. Bargah e ilahi mein Dajjal ki hasiyat “parkaah” barabar bhi nahi
- 19. Dajjal kitne din zameen par firega
- 20. Dajjal Makkah aur Madina mein dakhil nahi ho sakta
- 21. Dajjal Baitullah aur Baitul Maqdas mein dakhil nahi ho sakta
- 22 Dajjal ke liye sab se sakht log koun se sabit hongey?
- 23. Dajjal aur is ke lashker ki halaqat
- 24. Khuruj-e-Dajjal ke baare me Aham Nasihatein
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-11
71. Khurooj e Dajjal (Arrival of the Antichrist)
1. Dajjal ka khurooz Qayamat ki 10 badi Nishaniyon me se hoga
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa bin Aseed Ghafari (R.A) farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) tashreef laye jabkey hum aapas mein guftugu kar rahe they. Aap (ﷺ) ne pucha: kya guftugu kar rahey ho? logon ne kaha hum Qayamat ke baarey mein guftugu kar rahe hain. Aap (ﷺ) ne farmaya Qayamat hargiz qayem nahi hogi jab ke tum Qayamat se pehle 10 nishanian na dekh lo phir aap ne (inhe) bayan farmaya:
(1) Dhuwan, (2) Dajjal, (3) Dabba (janwar), (4) Suraj ka maghrib se tuloo hona, (5) Hazrat Isa A.S ka nazool, (6) Yajooj Majooj ka Khurooj, (7) Mashriq, (8) Maghrib aur (9) Jazeera tul Arab me 3 muqamaat par (kuch logon ka) Zameen me dhansna. (10) Aur sab se aakhir me yaman se aag niklegi jo logon ko Maidan-e-Mehshar ki taraf haank le jayegi.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901
2. Maseeh Dajjal tamaam Dajjalon aur kazabon ka sardar hoga
۞ Hadees: Samra bin jandab (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Allah ki qasam! Qayamat qayem nahi hogi hatta ke 30 Kazaab nikleinge, Sab se aakhri Kana Dajjal hoga jis ki baayi aankh kaani hogi.”
📕 Masnad Ahmad 22/5
📕 Sunan al Kubra; Kitab ul Salat 339/3
📕 Majma al Zawaid 448/2
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umer (R.A) farmatey hai ke mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) ka irshad suna ke “Maseeh Dajjal se pehle 30 ya is se Ziada jhootey zahir hongey (aur yeh sab kuch) Qayamat se pehle hoga.”
📕 Masnad Ahmad 139/2, Abu Ya’ala 5706
📕 Majma al Zawaid Kitab ul Fitan 642/7
۞ Hadees: Hazrat Imran bin Hiseen (R.A) farmatey hai ke, main ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suna ke “Padaish e Adam A.S se ta Qayamat Dajjal se bada koi Amar (fitna) nahi.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2946
3. Dajjal badey Ghusse se khurooj karega
۞ Hadees: Hazrat Hafsa (R.A) se mairvi hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal is ghussay ke sath khurooj karega jis mein wo mubtala hoga.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2932
4. Dajjal ki Shakal o Soorat
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Har Nabi ne apni Ummat ko kaaney aur jhootay (Dajjal) se daraya hai, khabardar wo kaana hai halankey tumhara Rab kana nahi. is (Dajjal) ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7131
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke Aap (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Main tume aise baat batata hoon jo doosre Ambiya ne nahi batai wo (Dajjal) kaana hoga jabkey tumhara Rab kaana nahi.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7127
۞ Hadees: Hazrat Anas bin Malik (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal kana hey, is ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga phir Aap ne hijja kar ke bataya (kaaf, faa, raa) jisey har musalman perh sakega.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 7365
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke:
“isey har musalman padh sakega khuwah wo padha likha ho ya anpadh ho.”
Masnad Ahmad 261/3
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal ki dayen aankh kani aur angor ke danay ki tarah ubhri hui hogi.”
Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7123
۞ Hadees: Ibne abbas (R.A) farmatey hai ke Nabi (ﷺ) se dajjal ke mutaliq pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
“is ka rang intahai safaid, jism bohat bara, aankh chamakdar sitarey ki tarah khari aur sir ke baal darakht ki hari shakhon ki manind hain.”
Masnad Ahmad 467/1
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke “Dajjal ki aankh sheeshey ki tarah (sabazi mayel) hai.”
Masnad Ahmad 164/5, Ibne Hibban 206/15
Majma al Zawaid 650/7
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal baayen aankh se kaana hoga, Ghaney baalon wala hoga aur is ke saath jannat (bagh) aur aag hogi. is ki aag (darhaqeeqat) jannat hai aur is ki jannat (darasal) aag hai.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2934
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya ke
“Dajjal kaana aur intahai safaid aur chamakdar (rangat) wala hoga. is ka sir afee saanp jaisa (chota magar khub muthariq) hoga. wo logon mein se Abdul Uzza bin Qatan (kafir) ke sath sab se ziada mushahbat rakhta hoga.”
Masnad Ahmad 2991
۞ Hadees: Hazrat Safeena jo Allah ke Rasool (ﷺ) ke ghulam they, bayan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal bayen aankh se kana hoga aur dayen aankh gosht ke tukrey ki tarah ubhri hui (aibdaar) hogi jabkey is ke dono ankhon ke darmayan kafir tahreer hoga.”
Masnad Ahmad 281/5
Al Mo’ujam al Kabeer 6445
Majma al Zawaid 654/7
۞ Hadees: Hazrat Hishaam bin Amir (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal ka sir pichli janib se ganja ganja sa hoga. jis ne kaha ke tu mera Rab hai wo tou Fitney mein mubtala huwa aur jis ne kaha tu jhota hai mera Rab tou Allah hai jis par mein bharosa karta hoon tou wo isey kuch nuqsan na dey sakega.”
Masnad Ahmad 28/4
Hakim Kitab ul Fitan 554/
Majma al zawaid 658/7
5. Kya Dajjal Aadmi hoga?
۞ Hadees: Hazrat Ibada bin Samat (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Maine tumhe Dajjal ke baarey mein khabar di hai aur mujhe khadsha hai ke tum isey pehchan naa sakoeg. Maseeh Dajjal ek pasta qad aadmi hoga, ghunghraaley baal hongey, aankh kaani aur mitti hui na bohat unchi ubhri hui aur na bohat dhansi hui hogi phir bhi agar tumhe is ke baarey mein Shak o Shubha ho tou khoob jaan rakho ke tumhara Rab tou kana nahi hai.”
Sunan Abu Dawood; Kitab ul Malahim 4312
Sahih Jame Al Sagheer 317
۞ Hadees: Hazrat Fatima bint Qais (R.A) (Ek taveel hadees mein jo mutasil baad mein mazkor hai) farmati hai ke: “………. main (Dajjal ka) jasoos hon tum is sunsan jaga ki taraf chalo jahan ek aadmi tumhare khabar ka mushtaq hai tou wo sab wahan gaye aur kehte hai ke wahan hum ne itna bara aadmi dekha ke waisa qad awar magar (lohey ki zanjeeron se) jakra huwa aadmi pehle kabhi nahi dekha tha.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2942
6. Kya Dajjal Zinda hai?
۞ Hadees: Hazrat Fatima bint Qais (R.A) farmati hai ke Nabi Kareem (ﷺ) Namaz se farigh ho kar mimber per tashreef laye aur muskuratey huwey farmaya ke har banda apni jaye Namaz par baitha rahey phir kaha, kya tumhe ilm hai ke maine tumhe kyon jama kiya hai? logon ne kaha Allah aur is ka Rasool hi behter jantey hain.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Qasam Allah ki maine tumhe targheeb o tarheeb (wa’az o naseehat) ke liye ikatha nahi kiya balkey is liye jama kiya hai ke tameem daari jo Isaai tha wo meri bait kar ke daiyra islam mein dakhil ho chuka hai is ne mujhe Maseeh Dajjal ke barey mein waise hi khabar di jaise main tumhe diya karta hoon.
Is ne kaha hai ke wo lakham aur jazaam Qabeelay ke 30 aadmion ke sath behri jahaz mein sawar tha ke maheena bhar bahri mojien in ki kashti se khailti raheen hatta ke in ki kashti maghrib ki taraf ek jazeeray par ja lagi phir wo ek choti kashti par sawar ho kar jazeeray mein ja utrey jahan inhe ghaney balon wala aisa janwar mila jis ke moonh ya dum ki shanakht na mumkin thi.
Unhone pucha ke tu koun hai? janwar ne kaha ke main jasoos hoon, Unhone kaha kis ka jasoos? is ne kaha ke is shakhs ki taraf chalo jo “deer” me tumhare khabar ka mushtaq hai. Tameem (R.A) ne kaha ke jab janwar ne is shakhs ka naam liya tou hum darey ke kaheen yeh Shaitan na ho.
Tameem (R.A) ne kaha ke phir hum taiz taiz chaltey huwey deer (sunsan jaga) mein dakhil huwey tou wahan hum ne itna bada insan dekha ke waisa qadawar magar jakra hua Aadmi kabhi na dekha tha. is ke dono hath gardan ke peeche aur paon takhno ke sath mazboot lohey se bandhey huwey they.
Hum ne kaha kambakht! tu koun hai? is ne kaha ke meri khabar tou hasil kar hi logey yeh batao ke tum koun ho? logon ne kaha ke hum Ahle Arab hai aur Ek samandri jahaz mein mahav e safar they ke samandar mein tughyani aa gai jis ki wajah se maheena bhar humara jahaz mojon ka shikar raha phir hum is jazeeray ke qareeb pohanchay tou ek choti kashti mein baith kar is jazeeray mein dakhil huwey tou hume (yeh) janwar mila jis ke balon ki kasrat ki waja se moonh ya pusht maloom nahi hote thi hum ne is se pucha kambakht tu koun hai?
Tou is ne kaha: main jasoos hoon tum is deer mein mojood aadmi ki taraf chalo wo tumhari khabar ka bada mushtaq hai tou hum jaldi se tumhare taraf chaley aaye aur hum tou is (janwar) ko Shaitan samajhte hain.
Dajjal ne kaha ke mujhe besaan (shaam) ke nakhlistan ki khabar do? hum ne kaha is ki kounsi khabar matloob hai? is ne kaha ke kya wo phal lata hai? hum ne kaha haan. is ne kaha anqareeb wo phaldar nahi rahega. accha mujhe bahar-e-tibriya ki khabar do? kya is mein paani rawan dawan hai? hum ne kaha haan khub rawan dawan hai. is ne kaha ke anqareeb wo khushk ho jayega. is ne kaha mujhe zaghar (Shaam) ke chashmey ke mutaliq batao kya is mein paani mojood hai aur kya log is ke paani se khaiti bari karte hain? hum ne kaha haan is mein paani bhi mojood hai aur log is ke paani se khaiti bari kar rahe hain. is ne kaha ke Mujhe Arab ke Nabi ki khabar do?
Hum ne kaha ke wo Makkah se hijrat kar ke Yasrab (madina) ja pohancha hai. is ne kaha kya Ahle Arab ne is se ladai ki hai? Hum ne kaha haan. is ne kaha phir nateeja kya raha? hum ne kaha ke wo Nabi apne gird o paish mein ghalib aa chuka hai. is ne kaha kya waqye aisa ho chuka hai? hum ne kaha haan. is ne kaha ke logon ke liye is ki itaat hee behter hai. Aur mere mutaliq suno main Maseeh Dajjal hoon, anqareeb mujhe khurooj ki ijazat di jayegi aur main 40 dino mein puri Roo-e-Zameen ko fatah kar loonga albata Makkah aur Taiba (Madina) mujh par haram kar diye gaye hai agar main is ki taraf rukh karoon tou wahan talwar lahratey farishtey mujhe rok dengey jo wahan pahrey par muqarar hongey.
Hazoor Nabi Kareem (ﷺ) ne apna Aasa mimber par 3 martaba takratey huway farmaya: “Yahi Tayiba (Madina) hai. (aur wo Dajjal hai) kya main tumhe is ke baarey mein bataya nahi karta tha?” logon ne kaha kyon nahi. phir Aap (ﷺ) ne farmaya ke “Mujhe Tameem ki baat is liye acchi lagi ke yeh meri is khabar ke mushabeh hai jo main tumhe Dajjal aur Makkah o Madina ke baarey mein bataya karta tha.”
Khabardar! wo (Dajjal) Darya-e-Shaam mein ya darya-e-yaman mein hai? nahi balkay wo mashriq ki taraf hai, wo mashriq ki taraf hai, wo mashriq ki taraf hai aur Aap (ﷺ) ne mashriq ki taraf apne haath se bhi ishara farmaya.
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 119-2942
Sunan Abu Dawood 4325
Jame Tirmizi 2253
Sunan Nisai 3547
Sunan Ibne Majah 2045
7. Kya Nabi Kareem (ﷺ) ne dajjal ko dekha tha?
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya Shab e Mairaaj mein mainne Moosa A.S ko dekha wo gandumi rangat, daraz qad, aur ghunghraaaley balon waley they. Aisa lagta tha jaisey Qabeela Shano’wah ka koi shakhs ho aur maine Isa A.S ko dekha jo darmyanay qad, mayanay Jism, Surkh o Safaid Rangat aur Seedhey baalon waley they.
Maine Jahanam ke daroghey ko bhi dekha aur Dajjal ko bhi dekha. minjumla in aayaat ko (dekha) jo Allah Ta’ala ne mujhe dikhai thi (Surah Sajda mein isi ka Zikr hai). lihaza Aap (ﷺ) ne in se mulaqat ke baarey mein kisi qisam ka shak o shubha na karee.”
Sahih Bukhari; Kitab bada al Halq 3239
8. Dajjal ki Shobde Baazian
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan se mairvi hai ke ek subah Nabi Kareem (ﷺ) ne Dajjal ka tazkara kia tou isey haqeer aur is ke Fitney ko azeem kaha (ya kabhi unchi aur kabhi ahista baat ki) hatta ke hume guman huwa ke shayed Dajjal in darakhton ke jhand mein aa gaya ho phir hum bawaqt shaam aap ki taraf gaye tou Aap (ﷺ) ne pucha kya majra hai? hum ne arz kiya ke Aap ne dajjal ke baarey mein acchi tarah agah kia tha aur hum samjhey ke Shayad wo isi nakhlistan mein hai.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe Dajjal se barh kar fitno ka tum par andesha ho sakta hai? agar Dajjal mere jetey ji nikla tou main is ke darmiyan rukawat ban kar tumhe is ke sharr se bacha loonga aur agar wo mere baad zahir huwa tou tum mein se har ek shakhs bazat e khud is ke khilaf hujjat hoga aur Allah Ta’ala har musalman par mera khaleefa aur nigehban hoga. Dajjal ek ghunghraaley baalon wala noujawan hai jis ki ek aankh ubhri hogi aur wo Abdul Uzza (kafir) ke mushabhe hoga lihaza jo shakhs bhi tum mein se Dajjal ko dekhey wo Surah al Kahaf ki ibtadai ayat ki tilawat kare. Dajjal Shaam aur iraq ke darmayan raighistani raastey se kharij hoga aur dayen bayen fitna fisaad barpa karega.
Aye Allah ke bando! iman par sabit qadam rehna. Sahaba (R.A) ne pucha ke Dajjal kitna arsa Zameen par qayam karega? Aap (ﷺ) ne farmaya: 40 din jin mein se ek din ek saal ke barabar, ek din maah barabar, ek din haftey ke barabar hoga. phir baaki din aam dino jaisey hongey. (yaani ek saal 2 maah aur 2 haftey).
Sahaba (R.A) ne arz kia yaa RasoolAllah (ﷺ)! jo din saal barabar hoga is mein hum Namazien kaisey ada karenge? kya ek he din ki Namazien hume kaafi hongi? Aap (ﷺ) ne farmaya: nahi balkay tum is (saaal) ka (Aam dino ke sath) andaza kar lena.
Sahaba (R.A) ne arz kia ya RasoolAllah (ﷺ) is ki chaal dhaal kaisi hogi? farmaya: is barish ki tarah jisey hawa peeche se dhakailti hai. phir wo ek qoam ke paas jaa ke inhe kufr ki dawat dega jisey wo qabool kar lenge tou wo aasman ko hukm dega aur aasman barish barsayega phir wo zameen ko hukm dega tou zameen anaj ugayegi jin par in ke janwar charienge jin ke kohaan pehley se unchey, thun pehle se kushada aur kookhien khoob phooli honge.
phir Dajjal ek qoam ke paas aa kar isey kufr ki dawat dega magar wo inkar kar denge tou Dajjal in se palat jayega aur wo log qahat aur khushk saali ka shikar ho jayenge hatta ke in ke hath mein maal o doulat mein se kuch na rahega jabkey Dajjal banjar aur wiraan zameen par niklega aur isey hukm dega, Aye zameen apne khazaney nikal dey tou zameen ke khanazey is ke paas is tarah jama ho jayenge jis tarah shehad ki makhiyan malka makhi ke apas hujoom karti hain.
phir Dajjal ek jawan ko bula kar is ke 2 tukrey kar daleyga jis tarah nishana do took ho jata hai phir isey pukarega tou wo jawan chamaktey dhamaktey aur hashaash bashaash chehrey ke sath (Zinda ho kar) is ki taraf chala ayega. dareen asna Allah Ta’ala mashriq ki taraf shaher demishq me safaid minaray ke paas zard kapron mein malboos Hazrat Isa ibne Mariyam A.S ko nazil kar dega.
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan; Baab Ziker al Dajjal 110, 2937
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se suna ke “Jab Dajjal khurooj karega tou is ke sath paani (jannat) aur Aag (jahanum) hogi jisey log aag samjhien ge wo thanda pani hai aur jisey log pani samjhenge wo darhaqeeqat jalaney wali aag hai agar tum mein se kisi ko is ka samna ho tou wo is mein dakhil ho jo Aag dekhai deti hai kyon ke wo darasal thanda pani hai.”
Sahih Bukhari kitab ahadees al anbiya 3450
۞ Hadees: Hazrat Mugheera bin Shoba (R.A) farmatey hai ke Dajjal ke baarey mein Jis qadar sawalaat maine Nabi Kareem (ﷺ) se puchey hai aur kisi ne nahi puchey (tou) Aap (ﷺ) ne muje kaha: “tumhe is se kya khatra hai? maine arz kiya ke log kehte hai ke is ke paas rotion ka pahaar aur pani ki naher hogi? farmaya ke wo Allah Ta’ala par is se bhi (kai darja) asaan hai.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7122
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke ek din RasoolAllah (ﷺ) ne hume Dajjal ke mutaliq ek taveel Hadees sunai. Hazoor (ﷺ) ki hadees mein yeh bhi tha ke Dajjal aayega aur is ke liye na mumkin hoga ke wo Madina ki ghation (raston) mein dakhil ho sakey chunachey wo Madina munawra ke qareeb ek shor zada zameen par qayam karega.
Phir is din is ke paas ek mard e momin jayega jo afzal tareen logon mein se hoga aur wo dajjal se kahega ke main shahadat deta hoon ke tu wohi dajjal hai jis ke barey mein Allah ke Rasool (ﷺ) ne hume hadees bayan farmayi thi.
Dajjal (logon) se kahega ke agar main is shakhs ko qatal kar doon aur phir zinda kar dekhaon tou kya phir bhi tumhe mere (Rab hone ke) muamley me Shaq hoga?
log kaheinge nahi. chunachey wo is shakhs ko qatal kar dega aur phir zinda kar dega. ab wo shakhs kahega ke Wallah mujhe tere baarey mein pehle itni baseerat na thi jitni ab aa chuki hai (key tu waqai dajjal hai) is par dajjal phir isey qatal karna chahega magar is martaba wo isey maar nahi sakega.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7132
9. Dajjal Duniya ka sab se bada Fitna
۞ Hadees: Hazrat Imran bin Hiseen (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) se maine suna ke “Paidaish e Adam A.S se ta Qayamat Dajjal se bada koi muamla (fitna) nahi hai.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2946
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke: “Paidaish-e-Adam A.S se waqoo e Qayamat tak Fitna-e-Dajjal se bada koi fitna nahi.”
Masnad Ahmad 29/4
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas Dajjal ka Zikr kia gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Fitna Dajjal ki banisbat tumhare bahmi fitna fasad ka mujhe ziada khauf hai (ke tum zaroor bahmi fitna o fisaad barpa karoge) guzashta logon mein se jo koi is Fitney se mehfoz raha wo darasal mehfoz hai aur aaj tak dunia mein jo koi chota ya bada fitna ronuma hota hai wo Dajjal ke Fitney ki waja se hai.”
Masnad Ahmad 482/5
Majma al zawaid 646/7
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jo bhi Nabi maboos huwa is ne apni ummat ko kaaney kazaab (dajjal) se zaroor daraya hai. khabardar! wo kana hai aur tumhara Rab kana nahi hai aur is ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7131
۞ Hadees: Hazrat Abdullab bin Hawala (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jo shakhs 3 (hadsaat ke) mawaqon par mahfoz raha wo nijaat pa gaya. Aap (ﷺ) ne yeh baat 3 baar duhrai. (phir farmaya).
(1) Meri Maut, (2) Dajjal, (3) Aur Deen e Haq par qayem fayaaz khaleefa ka qatal.
Masnad Ahmad 153/4
Ibne Abi Saiba 649/8
Hakim 108/3
۞ Hadees: Hazrat Samra (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah ki qasam Qayamat qayem nahi hogi hatta ke 30 jhootay niklenge aur sab se aakhir mein (in ka sardar) Kana Dajjal niklega jis ki bayen aankh aibdaar hogi.”
Masnad Ahmad 22/5
Sunan al Kubra; Kitab ul Salat ul Khusoof 339/3
Majma al Zawaid 448/2
۞ Hadees: Hazrat Safeena jo Aanhazrat (ﷺ) ke ghulam they bayan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne hume khutba dia tou farmaya: “khabardar mujh se pehle har Nabi ne apni ummat ko Dajjal se daraya hai wo baayen aankh se kaana hoga jabkey daayen aankh par gosht ubhra hoga aur dono aankhon ke darmayan kaafir likha hoga.
jab wo khurooj karega tou is ke sath 2 wadian hongi ek Jannat aur doosri Aag hogi is ki Aag tou Jannat hogi magar is ki Jannat Aag hogi. is ke sath 2 farishtey hongey jo 2 Nabion ke roop me hongey agar main chahon tou in ke aur in ke aabaa ke naam bhi bata sakta hoon. Ek is (Dajjal) ke dayen taraf aur doosra baayen janib hoga aur yeh Aazmaish ke liye hongey.
Dajjal kahega. (logo!) kya main tumhara Rab nahi? kya main tumhe Zinda nahi karta, maut nahi deta? tou ek farishta kahega tu jhoot bolta hai magar is (frishtay) ki baat doosre farishtey ke siwa aur koi nahi sunega aur is ka sathi farishta jawab mein kahega haan teri baat sacchi hai (ke yeh jhoota hai, Rab nahi) log is farishtey ki baat sunengey tou yeh samjhengey ke shayed yeh dajjal ko sacha keh raha hai (halankay doosra farishta pehle farishtey ki is baat, ke dajjal jhoota hai, ki tasdeeq kar raha tha) aur yeh azmaish hogi.
phir Dajjal Madina ki taraf barhega magar isey Madina mein dakhley ki ijazat nahi milege tou wo kahega yeh fulaan Aadmi (Muhammad ﷺ) ki basti hai phir wo Shaam ki taraf chala jayega aur Allah Ta’ala aafeeq ki ghaati ke paas (Baab Ludd par) Dajjal ko Isa (Esa A.S. ke hathon) halak karenge.
Masnad Ahmad 281/5
Al Ma’ujam Al Kabeer 6445
Majma Al Zawaid 654/7
۞ Hadees: Hazrat Samra bin Jundab (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal nikalney wala hai, is ki baayen aankh kaani hogi jis par sakht lothra hoga aur wo korh aur barss ke mareez ko tandrust kar dega, murdey ko zinda kar dikhayega aur logon se kahega ke Main tumhara Rab hoon.
Jis Shakhs ne iqrar kiya ke tu mera Rab hai wo tou Fitney mein mubtala huwa aur jis Shakhs ne kaha ke mera Rab Allah hai hatta ke is par jaan qurban kar gaya tou wo Dajjal ke Fitney se bacha lia gaya aur ab is par koi fitna hai na koi Azab hai.
Jab tak Allah ki marzi hogi Dajjal Zameen par rahega phir Hazrat Isa bin Mariyam A.S nazil hongey jo maghrib ki taraf se aayenge Muhammad Kareem (ﷺ) ki tasdeeq karenge aur inke deen (islam) par Qayem hongey wo Dajjal ko Qatal karenge aur phir Qayamat qaym honge.
Masnad Ahmad 19/5
Ma’ujam al Kabeer 6918
Majma al Zawaid 648/7
10. Dajjal ki Jannat aur Jahannum
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suna ke
“jab Dajjal khurooj karega tou is ke sath pani (jannat) aur aag (jahanum) hogi jisey log aag samjhengey wo thanda pani hai aur jisay log pani samjhien gy wo darhaqeeqat jalanay wali aag hai agar tum mein se kisi ko is ka samna ho tu wo is mein dakhil ho jo aag dikhai deti hai kyon ke wo darasal thanda pani hai.”
Sahih Bukhari kitab ahadees al anbiya 3450
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke log Rasool Kareem (ﷺ) se khair ke baray mein sawal kia kerte they jabkay mein shar ke mutaliq pucha kerta tha…. Aap (ﷺ) ne irshad farmaya ke phir Dajjal niklega is ke sath ek naher aur ek aag hogi. jo shakhs is ki aag mein dakhil howa is ke liye ajar o sawab wajib ho gaya aur is ke gunnah maaf kar diye gaye aur jo shakhs is ki naher mein dakhil huwa is par gunnah laad diye gaye aur is ka ajar mita dia gaya.
Masnad Ahmad 9/5
Hakim 479/4
Ibne Hibban 209/15
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal baayen ankh se kaana hai, ghane balon wala hai. is ke sath ek jannat aur ek aag (jahanam) hogi pas is ki aag tu (darasal) jannat hai aur is ki jannat (filhaqeeqat) aag hai.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2934
11. Dajjal se bachney ke liye log pahadon par panah lenge
۞ Hadees: Hazrat Umme Shareek (R.A) se marvi hai ke onho ne Nabi Kareem (ﷺ) suna ke
“log Dajjal se bachnay ke liye paharon mein chup jayenge. umme shareek (R.A) kehnay lageen ya Rasool Allah (ﷺ) ! is din Ahle Arab kahan hongey? Aap (ﷺ) ne farmaya ke “wo is din bohat kum hongey.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2945
12. Dajjal mashriq ki taraf khurasan se niklega
۞ Hadees: Hazrat fatima bint qais se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Khabardar! wo (dajjal) shaam ya yaman ke samandar mein hai. nahi balkay wo mashriq ki tarf hey, wo tu mashriq ki taraf hey, wo tu mashriq ki taraf hai. aur aap (ﷺ) ne apne hath se mashriq ki taraf ishara bhi kiya.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2942
۞ Hadees: Hazrat Abu bakar Seediq (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne hume hadees bayan farmai ke Dajjal mashriq ki taraf se ek aise Zameen se namodar hoga jisey Khurasan kaha jata hai. is (Dajjal) ki pairvi karne waali kuch aise Qoumen honge jin ke chehrey kooti hue (ya moti) dhalon ki tarah (chaptey) hongey.”
Sunan Tirmizi; Kitab ul Fitan 2237
Ibne Majah 4123
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Dajjal asbhaan ke (ilaqay) yahoodah se khurooj karega aur is ke sath 70 hazar yahoodi hongey.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2944
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Asbhaan ke 70 hazar yahoodi Dajjal ki farmanbardari karenge jin par sabaz (ya sayah) chadrein hongi.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2944
۞ Hadees: Hazrat Nawaas bin Sam’aan (R.A) farmatey hai
“Ek subah Allah ke Rasool (ﷺ) ne Dajjal ka Zikr kia…… (phir farmaya ke) wo Shaam aur Iraq ke darmayan raigastani raastey se niklega.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
Mazkoora riwayaat mein bazahir ikhtalaf o tazaad maloom hota hai ke Dajjal Shaam aur Iraq ke darmayan se niklega ya mashriq se ya khurasan wagaira se. is ki tafseel insha Allah “note” mein ayegi.
13. Jin logon ka pasandeeda (favourite) leader Dajjal hoga!
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Asbahan (asfahaan) ke 70 hazar yahoodi dajjal ki pairvi karenge jin per sayah (ya sabaz) choghey hongey.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2944
۞ Hadees: Hazrat Abu Baker Sideeq (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne hume hadees bayan farmayi ke “Dajjal ek mashraqi ilake se khurooj karega jisey khurasaan (mojooda afghanistan aur is ka gird o paish) kehte hain. is (Dajjal) ki pervi kuch aise qoamien karenge jin ke chehrey kooti huye dhalon ki tarah chaptey (ya tah ba tah dhalon jaisey motey) hongey.”
Hafiz Ibne Kaseer farmatey hai ke is se murad Turk (Turkamastani) log hain. [Al Nihaya 117/1]
۞ Hadees: Hazrat Anas bin Malik (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Makkah aur Madina ke siwa har shaher ko Dajjal rond dalega. in (makkah o madina) ki har ghali par saf basta farishtey kharey hongey jo in ki hifazat karenge phir Madina ki Zameen 3 martaba kanpegi jis se ek ek kafir aur munafiq ko Allah Ta’ala is mein se bahir nikal (kar Dajjal ki taraf bhejh) dega.”
Sahih Bukhari kitab fazail al Madina 1881
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal marqanah (madina ke qareeb ek wadi) ki daldali zameen par padao karega tou sab se ziada Aurtein is ki taraf niklengi yahan tak ke aadmi apni Biwi, Maa, Behan, Beti, Chachi, Phuphi (Waghaira) ke paas jayega aur inhe Rassion se bandh dega mubada ke wo Dajjal se na ja milein.”
Masnad Ahmad 19/7
Majma al Zawaid 224/7
Al mu’ajam Al Kabeer 307/2
14. Dajjal Khudaai ka dawa karega
۞ Hadees: Hazrat Samra bin Jundab (R.A) se marvi hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
“Allah ki qasam Qayamat qayem nahi hogi yahan tak ke 30 kazaab nikleingey, sab se akhir me Kana Dajjal niklega jis ki baayi aankh kaani hogi. wo is Za’am (batil) me mubtala hoga ke wo Allah hai lihaza jis shakhs ne is par iman la kar is ki tasdeeq aur tabedari ki isey is ke amaal saleh ka koi faida nahi pohanchega aur jis shakhs ne is ka kufr kiya aur isey jhutlaya tou is se is ke amaal ka bilkul muahza nahi hoga.”
Masnad Ahmad 22/5
Majma Al Zawaid 448/2
Sunan Al Kubra 339/3
۞ Hadees: Abu Qalaba farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ke kisi Sahabi ne Hume Hadees bayan ki ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “(Aye Sahaba R.A!) tumhare baad jhoota gumrah karne wala (Dajjal) niklega is ka sir pichli janib se ganj pan ka shikar hoga wo kahega ke main tumhara Rab hoon.
jis shakhs ne kaha ke tu jhoota hai humara Rab nahi balkey humara Rab tou Allah hai isi par hum tawaqal karte hai isi ki taraf rujoo karte hai aur Allah Ta’ala sey teri panah mangte hai tou wo (Dajjal) isey kuch nuqsan nahi pohancha sakega.”
Masnad Ahmad 509/5
Hakim; Kitab ul Fitan 554/4
Majma al Zawaid; Kitab al Fitan 658/7
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne ek subah Dajjal ka zikr kia…. “Dajjal ek qoam ke paas ayega aur inhe (apni rabobiyat par iman laney ki) dawat dega tou wo log iman ley aayenge aur is ke matee farmaan ho jayengey. Dajjal aasman ko hukm dega tou wo barish barsayega aur zameen ko hukm dega tou wo nabataat ugayegi.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne ek din dajjal ke baray mein taveel hadees sunai. jis mein yeh tha (ke ek aadmi ko Dajjal ke fouji pakad kar kahenge kya tu humare Rab ko manta hai? wo inkar karega tou wo fouji is aadmi ko Dajjal ke paas le jayenge aur Dajjal is se kahega ke tu mujhe manta hai? tou wo aadmi jawab dega) main gawahi deta hoon ke tu wohi Dajjal (Kazaab) hai jis ke baarey mein Allah ke Rasool (ﷺ) ne hume hadees sunai thi.
Dajjal (logon) se kahega, kya khayal hai agar mein is ko qatal kar ke zinda kar doon tou mere (Rab hone ke) mutaliq koi Shaq rahega? log kahenge nahi tou Dajjal isey qatal karega phir zinda karega tou wo zinda ho kar kahega Allah ki qasam mujhe tu pehle sey ziada yaqeen ho gaya ke tu hee dajjal hai. Dajjal dubara isey Qatal karna chaheyga magar Qatal na kar sakega.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2938
15. Dajjal se bachane ka tareeqa
۞ Hadees: Hazrat Imran bin Hiseen (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“jo Shakhs Dajjal ke (khurooj ke) mutaliq suney wo is se door rahey bilashuba aadmi apne iman par wasooq kamil ke sath is ke paas jayega tou is ke ajeeb o ghareeb shobdey dekhte dekhte is ka pairokar ban jayega.”
Masnad Ahmad 577/4
Abu Dawood kitab ul malahim 4319
Hakim 576/4
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke Aap (ﷺ) ne 3 martaba farmaya:
“Dajjal se door rehna kyon ke jab aadmi is ke paas jayega tou is ke shobdey dekh kar is ki tasdeeq kar dega.”
Masnad Ahmad 589/4
۞ Hadees: Hazrat Abu Darda’a (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jis shakhs ne Surah Al Kahaf ki ibtadai 10 aayat hifaz kar leen tou wo Dajjal ke Fitney se bacha lia gaya.”
Sahih Muslim; Kitab salat al musafireen 809
Abu Dawood kitab ul malahim 4323
Masnad Ahmad 499/6
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan se marvi hai ke ek din Allah ke Rasool (ﷺ) ne Dajjal ka tazkara farmaya….. “Wo Ghungharyalay baalon wala noujawan shakhs hai goya mein isey Abdul uzza bin qatan (kafir) se mushabhat dey sakta hoon aur jo shakhs tum mein se Dajjal ka samna kare wo Surah Al Kahaf ki ibtadai Aayat ki tilawat kare.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
۞ Hadees: Hazrat Hashaam bin Amir (R.A) se marvi hai ke alalh ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:……..
“Jis shakhs ne (Dajjal se) kaha, tu mera Rab hai wo tou Fitney se dochaar huwa aur jis shakhs ne kaha tu jhoota hai. mera Rab tou Allah hai aur main isi par bharosa karta hoon tou Dajjal isey koi nuqsan nahi pohancha sakega” ya Aap (ﷺ) ne farmaya ke “isay fitna nuqsan nahi dega.”
Masnad Ahmad 28/4
Hakim Kitab ul Fitan 554/4
Abdul Razaq 395/11
16. Dajjal ki bebasi ka nazara
1 Apne mathey par likha Kafir (Kaaf, Faa, Raa) na mita sakega
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Har Nabi ne apni ummat ko kaaney aur jhootay (Dajjal) se daraya hai, khabardar wo kaana hai halankey tumhara Rab kana nahi. is (Dajjal) ki ankhon ke darmayan kafir likha hoga.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7131
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke Aap (ﷺ) ne farmaya:
“is ki dono ankhon ke darmayan kafir likha hoga phir aap ne hijja kar ke bataya (kaaf, faa, raa) jisay har musalman parh sakega.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2933
2 Dajjal ki dono Aankhien ayebdaar hongi
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umer (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal ki dahni aankh kaani hogi goya wo angoor ka (ubhra huwa) dana hai.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7123
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal baayen aankh se kana hai.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2934
(Bazahir dono hadeesien ek doosre ke mutzaad maloom hoti hai lekin Allah kabhi os ki baayen aankh kaani bana dega aur kabhi dahni. yeh os ki beybasi ka nazara hoga ke ek aankh us ki humesha kaani raheygi dono kabhi theek nahi kar sakega.)
3 Makkah aur Madina me dakhil nahi ho sakega
۞ Hadees: Hazrat Fatima bint Qais (R.A) se mairvi hai ke Dajjal ke baarey mein taveel hadees hai jis mein (Dajjal kehta hai ke) “Main 40 dino mein saari Zameen rond daalonga albata Makkah aur Madina dono mujh per haram kar diye gaye hai jab kabhi mein in me se kisi ek ki taraf dakhil hone ka irada lekar nikloonga tou talwar lehrata huwa farishta mera istaqbal karega jo mujhe in (mein dakhil hone) se rokeyga aur in (dono shehron) ke har raastey par muhafiz farishtay khadey hongey.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2942
4 Qatal nahi kar payega
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya Dajjal ke khurooj ke waqt ek momin shakhs is ki taraf niklega jisey dajjal ke fouji pakad kar puchengey ke tu humarey rab par iman lata hai?
Magar iske inkar par wo isey qatal karna chahengey tou in mein se baaz kahengey kya tumhare rab (dajjal) ne kisi ko qatal karne se mana nahi kia! tou wo isey dajjal ke paas ley jayengey. jab wo momin dajjal ko dekhega tou kahega logo! yahi wo dajjal hai jis ke Fitney se hume Allah ke Rasool (ﷺ) ne mutnaba farmaya tha.
Dajjal is ka pait aur pusht lambi kar ke apne foujion se is ki khoob pitai karwayega aur kahega ab iman lata hai? tou wo momin kahega ke tu jhoota maseeh hai.
dajjal is ke sir se paaon tak aari se 2 tukrey karwa dega aur in ke darmayan tahlega phir kahega: uth tou wo momin (zinda) uth khada hoga.
Dajjal phir puchega haan! ab mujh par iman lata hai? tou wo momin kahega ke ab tou muje pukhta yaqeen ho gaya ke tu dajjal hai aur logon se kahega, logo! yeh mere baad kisi par musalat nahi ho payega tou dajjal isey zibah karne ke liye pakdega magar is (momin) ka gala hansli (ki haddi) tak tanbey ka ban jayega aur dajjal isey zibah na kar sakega tou is ke hath paon pakad kar isey phenkega. log samjhengey ke is ne aag mein phenk dia hai halankey isey jannat mein dala jayega. Allah Rab ul Aalameen ki nigah mein yeh momin sab se bada shaheed hoga.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2938
5 Dajjal sacchey aur mukhlis musalman ko nuqsan nahi pohancha sakega
۞ Hadees: Hazrat Hishaam (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jis shakhs ne dajjal (ki rabobiyat se inkar karte huwey is) se kaha ke tu jhoota hai mera Rab tou Allah hai jis par mein tawaqal karta hoon (Rabbi Allah Alaihe Tawakalt) tou Dajjal isey kuch nuqsan nahi pohancha sakega.”
Hakim; Kitab ul Fitan wal mMalahim 554/4
Masnad Ahmad 421/5
Majma al zawaid 658/7
17. Dajjal ke Fitney se Allah ki panah
۞ Hadees: Hazrate Ayesha (R.A) se marvi hai ke
“Allah ke Rasool (ﷺ) apni Namaz mein Dajjal ke Fitney se panah manga kartey they.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Azaan 833
۞ Hadees: Hazrate Ayesha (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) apni Namaz mein yeh dua perha kertey they (baaz riwayaat mein hai ke is tarah panah manga kerte they) “Aye Allah Main Azab e Qabar se teri panah mangta hoon, aur maseeh dajjal ke Fitney se teri panah mangta hoon, aur zindgi ke Fitney se, aur maut ke fitno se teri panah mangta hoon, Aye Allah main gunnah aur qarz se teri panah mangta hoon.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Azaan 832
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“jab tum aakhri tashhud (parh kar) farigh ho jao tou 4 cheezon se Allah ki panah manga karo. (1) Qabar ke azab se, (2) Jahanam ke azab se, (3) Zindagi aur Maut ke fitno se aur (4) Maseeh dajjal ke sharr se.”
Sahih Muslim; Kitab ul Masajid 588
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se marvi hai ke bilashuba Nabi Kareem (ﷺ) Namaz ke aakhir mein (baaz riwayaat ke mutabiq tashhad ke aakhir mein) 4 cheezon se panah manga kerte they.
“(1) ilahi main Azab e Qabar se, (2) Azab e Jahanam se, (3) Zahri o batni fitno se
aur (4) Andhay, kaaney, jhootey (maseeh dajjal) se teri panah mangta hoon.”
Masnad Ahmad 301/1
18. Bargah e ilahi mein Dajjal ki hasiyat “parkaah” barabar bhi nahi
۞ Hadees: Hazrat Mugheera bin Shoba (R.A) farmatey hai ke dajjal ke baarey mein jitna Nabi Kareem (ﷺ) se maine pucha hai itna kisi ne nahi pucha aur Aahazrat (ﷺ) ne mujh se farmaya tha ke is se tumhe kya nuqsan pohanchega?
Maine arz kiya ke log kehte hai ke is ke sath rotion ka pahar aur paani ka darya hoga.
Farmaya: ke wo Allah par is se bhi ziada asan hai. (yaani qudrat ilahi ke muqablay mein dajjal ki kya hasiyat? aur dajjal ko bhi Allah Ta’ala he ne yeh dheel di hogi taa ke logon ki azmaish ho.)
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7122
19. Dajjal kitne din zameen par firega
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan se marvi hai ke ek din Allah ke Rasool (ﷺ) ne Dajjal ka tazkira kiya……. hum ne kaha: ya Rasool Allah (ﷺ) Dajjal kitna arsa thehrega? Aap (ﷺ) ne farmaya: 40 din. ek din saal barabar hoga, doosra maah barabar, teesra hafta barabar hoga aur phir baaki ayaam aam dino ke barabar hongey (yaani ek saal 2 maah aur 2 haftay).
Hum ne kaha ya RasoolAllah (ﷺ)! jo din saal ke barabar hoga kya is mein hume ek din ki (5) Namazien kafi hongi? (ya puray saal ki perhna honge) Aap (ﷺ) ne farmaya: nahi (5 nahe) balkay is din ka (saal ke barabar) andaza kar lena (aur saal bhar ki Namazien andazay ke sath ada kerte rehna.)
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“meri ummat mein dajjal niklega aur 40 (tak) rahega.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2940
۞ Hadees: Abdullah rawi farmatey hai ke “main nahi janta ke 40 din hai ya 40 saal hai ya 40 raatien hai ya 40 maheene hain.”
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke “Dajjal 40 din tak zameen par phirega.”
Masnad Ahmad 541/5
Majma al zawaid 659/7
Fatah al bari 112/13
20. Dajjal Makkah aur Madina mein dakhil nahi ho sakta
۞ Hadees: Hazrat Fatima bint Qais (R.A) se marvi hai ke ……. Main tumhe apne mutaliq agah karta hoon. main maseeh dajjal hoon aur anqareeb mujhe khurooj ki ijazat di jayegi tou main nikloonga aur zameen par chaloonga aur main makkah o Madina ke siwa har basti (shaher) ko 40 raaton mein rond dalonga kyon ke yeh (Makkah o Madina) dono mujh par haram hain.
Jab kabhi main in mein se kisi ek ki taraf dakhil hone ke iraday se niklunga tou talwar lehrata huwa frishta mera istaqbal karega jo mujhe in (mein dakhil hone) se mana karega aur in (2 shahron) ke har rastey par frishtay hongey jo in ki hifazat karenge.
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2942
۞ Hadees: Hazrat Anas bin malik (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal madiney tak aayega tou yahan farishton ko is ki hifazat par mamoor payega chunachay na Dajjal is ke qareeb aa sakta hai aur na he Ta’oon.”
Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7134
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Dajjal mashriq ki taraf se kharij hoga aur Madina ka rukh kareyga. yahan tak ke jab wo auhad (pahaar) ke paas pohanchega tou farishtey iska rukh mulk shaam ki taraf phair deingey aur shaam mein hee yeh (dajjal) halak hoga.”
Sahih Muslim; Kitab ul Hajj 1380
۞ Hadees: Abdullah bin Shafeeq (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne logon ko khutba detey huwey farmaya: “Khalasi wala din, tumhe kya maloom khalasi wala din kounsa hai? 3 martaba yeh jumla duhraya phir farmaya: Dajjal niklega aur auhad pahad par charh kar madiney ki taraf dekhega tou apne sathion se puchega ke kya tum yeh safaid mahal dekh rahe ho yeh Ahmad (ﷺ) ki masjid hai phir wo Madina ki taraf ayega tou har rastey par talwar sontey huwey farishtay ko payega phir wo (madina ke qareeb) daldali zameen par padao karega. Madina 3 martaba harkat (zalzala) paida karega jis ke nateejey mein har munafiq, munafiqa aur fasiq dajjal ki taraf nikal jayega. pas yahi hai (youm al khalas) khalasi wala din.
Masnad Ahmad 455/4
Hakim Kitab ul Fitan 474/4
Majma al Zawaid 661/3
21. Dajjal Baitullah aur Baitul Maqdas mein dakhil nahi ho sakta
۞ Hadees: Hazrat Samra bin jandab (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Allah ki qasam! Qayamat is waqt tak qayem nahi hogi hatta ke 30 jhootey zahir hongey jin mein sab se aakhri kana dajjal hoga jis ki bayen aankh kaani hogi… wo saari zameen per qabza jama lega magar baitullah aur baitul maqdas tak rasayi naa pa sakeyga. baitul maqdas me (mojod) musalmano ka muhasra karega tou in (musalmano) ko shadeed zalzalon ka samna hoga bilakhir Allah Ta’ala dajjal aur is ke lashker ko tabah o barbad kar dega.”
Masnad Ahmad 22/5
Sunan al kubra 339/2
Abu Ya’ala 325/2
22 Dajjal ke liye sab se sakht log koun se sabit hongey?
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke 3 baton ki waja se jo mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suni hein, main bano tameem se humesha muhabbat karta hoon. Nabi Kareem (ﷺ) ne in ke baarey mein farmaya tha ke yeh log Dajjal ke muqablay mein meri ummat mein sab se ziada sakht mukhalif sabit hongey.
Phir (Abu Huraira (R.A) ne) kaha ke bano tameem ke yahan se Zakat ka maal aaya tou Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya ke humare qoam ki Zakat hai. bano tameem ki ek aurat qaid ho kar Hazrate Ayesha (R.A) ke paas (ghulam) thi tou Nabi Kareem (ﷺ) ne in se farmaya isey aazad kar do yeh Hazrat ismael A.S ki aulad mein se hai.
Sahih Bukhari; Kitab ul ataq 2543
۞ Hadees: Eik riwayat mein hai ke (Ek martaba) bano tameem walon ki Zakat mein takheer hui tou ek aadmi ne (tanzan) kaha ke yeh bano tameem waley tou Zakat bejhne me susti kar detey hain.
Aap (ﷺ) ne is ki baat suni tou farmaya: “banu tameem tou meri badi pyari qoam hai is ke baarey mein humesha acchi baat hi kiya karo yeh log dajjal ke liye sab logon se barh ke lambey lambey naizon (se hamla kerne) waley sabit hongey.”
Masnad Ahmad 230/4
Majma al zawaid 16/10
23. Dajjal aur is ke lashker ki halaqat
۞ Hadees: Hazrat Nafe bin Utba (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
Tum (Musalman) Ahle Arab se ladoge aur Allah Ta’ala tumhe fatah se nawazega phir tum faris (iran) se ladoge aur Allah Ta’ala tume fatah ata farmayega phir tum ahle room se ladogey aur Allah Ta’ala tumhe fatah se hamkanar karega phir tum Dajjal se ladoge aur Allah Ta’ala tumhe is par fatah ata karega.”
Hazrat Nafe farmatey hai ke “Jabar! humare khayal mein dajjal room ki fatah se pehle nahi nikal sakta.”
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2900
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Dajjal marqanah (madina ke qareeb ek wadi) ki daldali zameen par padao karega tou is ki taraf sab se ziada aurtein jayengi hatta ke admi apni bivi, maa, beti, behan, chachi (phuphi wagaira) ke paas jayega aur inhe rassi ke sath bandh dega ke wo dajjal ke paas na ja pohanchein. phir Allah Ta’ala Musalmano ko Dajjal par musalat kar dega aur musalman dajjal aur is ke lashker ko qatal karenge yahan tak ke agar koi yahoodi darakht ya pathar ki oat mein chupega tou wo shajar o hajar pukar kar musalman se kahega yeh yahoodi meri oat mein hai isey qatal karo.
Masnad Ahmad 91/2
Al Maujam al Kabeer 307/6
Majma al Zawaid 664/7
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke musalman yahoodion se jung karenge aur inhe qatal karenge hatta ke agar koi yahoodi darakhat ya pathar ki oat lay ga tu wo darakhat aur pathar pukar uthay ga, aey musalman! aey Allah ke banday! yahan aa, yahoodi meri oat mein hai isay qatal kar daal, albata gharqad (kantay daar darakhat keekar jaisa) nami darakht (nahe bolay ga) kyon ke yeh yahodion ka darakhat hai.
Sahih Bukhari; Kitab ul jihad 2925
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) farmatey hai ke (musalman romion se khunraiz jung karenge aur fatah hasil karenge abhi mal e ghaneemat taqseem kar rahe hongy k) ek faryadras (zor se cheekhne wala) aye ga aur kahay ga ke dajjal in ke ahle o ayaal mein zahir ho chuka hai tu wo sab kuch waheen phank kar (is ki taraf) mutwaja hongy aur 10 shahsawaron ko khabar lene ke liye rawana kar denge. Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: mein in (shahsawaron) ke naam, in ke abao ajdaad ke naam aur in ke ghoron ke rang se bakhubi agah hon aur yeh is din roye zameen per sab se bahtareen shahsawar hongy.
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2899
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Miraaj ki raat meri mulaqat Hazrat Ibraheem, Musaa aur Isa Alaihim Assalam se hue tou Qayamat ki baat chal nikli sab ne Hazrat Ibraheem A.S ki taraf muamla kar dia tu onho ne kaha ke muje is (qayamat ke waqoo) ka ilm nahi. phir baat Musa A.S ki taraf pohanchi tu onho ne bhi lailmi ka muzahra kia. phir esa a.s per baat pohanchi tu onho ne kaha ke Qayamat ke waqoo ka khatmi ilm Allah Ta’ala ke siwa (hum mein se) kisi ko nahi altabata Allah Ta’ala ne jo mere sath (dunia mein dobara bejhne ka) wada farmaya hai wo yeh hai ke dajjal niklay ga aur mere pas 2 chariyan hongi tu jab wo muje dekhay ga tu is tarah pighlay ga jis tarah seesa pighalta hai. Allah Ta’ala isay halak farma denge yahan tak ke shajar o hajar pukar uthenge ke mere neche kafir hai idher ao aur isay mar dalo. is tarah Allah Ta’ala in (sab) ko halak kar dengey.
Masnad Ahmad 469/1
Ibne maja 4132
Hakim 534/4
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan (R.A) se mairvi hai ke ek subah Allah ke Rasool (ﷺ) ne Dajjal ka tazkara farmaya…… “wo ghunghrayaley balon wala nojawan hai. is ki ek aankh phooli hue hai goya main isey abdul uzza bin qatan (kafir) ke mushabha keh sakta hoon.
Tum mein se jis shakhs ka is se samna ho wo is per surah kahaf ki ibtadai ayaat perhay…. dajjal ek qoam ke pas aye ga aur inhe (apni rabobiyat per) iman lanay ki dawat dega wo is per iman layenge tou Dajjal aasman ko hukam dega aur aasman barish nazil karega phir wo zameen ko hukam dega tou Zameen nabataat ugaye gi…. wo ek banjar zameen ko hukam day ga ke wo apne khazanay nikal de tou wo khazanay nikal kar is tarah dajjal ke peche jayenge jis tarah (shahed ki) makhian apni malka ki taraf jati hein.
Phir wo ek tanomand nojawan ko bulaye ga aur talwar ke sath is ke 2 tukray kar ke qatal kar day ga phir isey awaz dega tou wo (zinda ho kar) hashaash bashaash chehray ke sath is ki taraf paltega aur muskura raha hoga. isi asna Allah Ta’ala Hazrat Isa A.S ko nazil farma dengey…. jis kafir tak Hazrat Isa A.S ki saans pohancheygi wo qatal ho jayega aur in ki saans wahan tak pohanchegi jahan tak in ki nazar pohanchegi aur wo dajjal ko talash kerte huwey muqam luddh par isey qatal kar dengey.
Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
24. Khuruj-e-Dajjal ke baare me Aham Nasihatein
✦ (1) Khurooj dajjal alamaat Qayamat mein se ek bohat bari alamat hai jis ka zahoor tahaal waqia nahi howa.
✦ (2) Hazrat Isa A.S ki tarah dajjal ko bhi maseeh kaha gaya. Hazrat Isa A.S tou is liye maseeh hai ke Aap ke hath phairney se beemar tandroost ho jatey they albata dajjal ko is liye maseeh kaha gaya ke is ki ek aankh kaani hogi ya dajjal ko is liye maseeh kaha jata hai ke wo 40 dino tak zameen par dandanata phirega.
✦ (3) Hazrat Isa A.S ko maseeh Al Huda aur Dajjal ko Maseeh al Zalala kaha jata hai kyon ke yeh logon ko apne shobdon se gumrah karega.
✦ (4) Dajjal, Dajal se hai jis ke ma’ani khalat malat karna aur dajjal ko dajjal is liye kaha gaya hai ke wo haq ko batil ke sath khalat malat kar ke logon ko dhoka dega, isi bina par har dhokey baaz ko dajjal keh dia jata hai.
✦ (5) Qayamat se pehle kamo baish 30 dajjal aur kazab zahir hongey jin me se kuch tou tareekh mein dajal o faraib ke sahrey saja kar raqam ho chukey hai jabkey kuch la mahala abhi zahir hongy neez sab se aakhir mein dajjal e akbar ka khurooj hoga.
✦ (6) Dajjal badey ghussey se khurooj karega magar izan e ilahi ke bagair is ka khurooj mumkin nahi.
✦ (7) Dajjal zinda hai jis ki jaye waqoo Allah Alim ul Ghaib ke siwa koi nahi janta. go ke jughrafiyae mahireen ne kurra arzi ka chappa chappa chaan kar shahron mulkon aur bar’azmo ki soorat mein is ki hadood mutaen kar rakhi hai magar in ke ilm o nazar mein kaheen dajjal nahi jabkey sahih aahadees is par moaeed hai ke dajjal ek shakhs hai jo zinda hone ke sath kurra arzi par kisi jazeeray me lohey ki zanjeeron se qaid hai jaisa ke Hazrat Tameem Dari (R.A) aur degar logon ne kisi jazeeray me is se mulaqat ki aur Nabi Kareem (ﷺ) ne in ki dajjal se mulaqat ki na sirf tasdeeq farmai balkey tamam Sahaba Karaam (R.A) ko jama kar ke is mulaqat ka ajeeb o ghareeb waqia khud in ke gosh farmaya. baher soorat Allah Ta’ala ke ilm o qudrat ke muqablay mein hum insano ke ilm o mutale ko tarjeeh nahi dey saktey jis se qudrat ilahi ka abtaal o inkar lazim aaye.
✦ (8) Dajjal ek aadmi hai jo Nabi Kareem (ﷺ) ko Shab e Meraj aur khuwab mein dikhlaya gaya.
✦ (9) Dajjal ke mathey par kafir likha hoga jis ko har shakhs ba aasani parh sakega khuwah wo anpadh hi kyon na ho.
✦ (10) Dajjal ke shobdon mein yeh bhi shamil hai ke kabhi wo apni rangat surkh aur kabhi safaid kar ke zahir karega. aur kabhi apni bayen aankh kani aur kabhi daayin aankh kani zahir karega. albata is ki dono aankhien kabhi ek sath theek nahi ho sakeingi.
✦ (11) Dajjal ke paas jo bhi taqat hogi wo sab Allah ki taraf se aazmaish ke liye hogi. warna dajjal ki hasiyat Allah ke samne macchar ke parr ke barabar bhi nahi.
✦ (12) Nabi (ﷺ) khud bhi dajjal ke Fitney se panah mangtey they aur logon ko bhi dajjal ke Fitney se panah mangney ki talqeen karte they.
✦ (13) Dajjal ki bazahir nazar anay wali jannat darhaqeeqat jahanam hogi aur uss ki jahanum asal mein jannat hogi. jis ko wo aag mein phankega wo jal jaye ga lekin filhaqeeqat Allah ki aag (jahannam) se mehfoz ho jayega. aur dajjal per iman la kar is ki jannat mein dakhil hone wala Allah ki tayar karda asli jannat se mehroom ho jayega.
✦ (14) Baaz Aahadees mein khurooj dajjal ka muqam khurasan, baaz mein mashriq, baaz mein asbahan, baaz mein shaam aur iraq ka darmayani rasta zikar kiya gaya hai.
✦ (15) Imam Qurtubi R.H farmatey hai ke: baaz ahadees me hai ke wo khurasaan se aayega jabkey baaz mein hai asbahan se khurooj karega in mein tatbeeq is tarah hai ke iskey khurooj ki ibtada khurasaan ke ilakey asbahan se hogi phir wo hijaaz ki taraf rukh karega jis ke liye shaam aur iraq ka darmayani ilaqa istamal karega.
✦ (16) Yeh ilaqay mashrik ki taraf hain. sabit huwa ke dajjal mashriq ki taraf khurasan ke ilaqey asbahan ke muhalley yahooda se kharij hoga aur hijaaz ki taraf shaam aur iraq ka darmayani regastani ilaqey ka safar karega.
✦ (17) Dajjal ke Fitney se mehfoz rehne ke liye Nabi Kareem (ﷺ) ki taleemaat par amal karna chahiye.
✦ (18) Dajjal se door rehna.
✦ (19) Fitna Dajjal se Allah Ta’ala ki panah mangna.
✦ (20) Surah kahaf ki ibtadai ya aakhri aayat ki tilawat karna
✦ (21) Dajjal 40 dino mein saari zameen par ghalba hasil kar lega lekin Makkah aur Madina is ke sharr se mehfoz rahenge is liye agar ho sakey tou aise waqt mein Makkah ya Madina ki sakoonat hasil ki jaye.
✦ (22) Fitna Dajjal ki lapait mein aaney waley sab se ziada yahoodi phir ajmi, turki, jahil aurtien aur munafiq o kafir hongey.
✦ (23) Hazrat Isa A.S jo dobara nazil ho chukey hongey apne sathi musalmano ke saath mil kar Dajjal aur is ke lashker se jung karenge. is Jung e Azeem mein Dajjal muqam-e-ludd par Hazrat Esa A.S ke hathon halak hoga.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.