Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 1

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 1

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-1


PAGE: 1

1.​​ Barish​​ ke Qatron ki tarah Fitne Nazil honge

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Umme Salma​​ (R.A)​​ farmati​​ hai​​ ke ek raat Rasool Kareem​​ (ﷺ) ghabra ke uthey aur farmaya: Subhan​​ Allah​​ kis qadar khazaney aur​​ Fitney​​ Allah​​ ki taraf se nazil kiye gaye hain? hujray walion (Azwaaj e Rasool ﷺ) ko koun uthaye ga ta ke wo​​ Namaz​​ perhien?.

📕 Sahih​​ Bukhari​​ Kitab ul Fitan​​ 7069

۞​​ Hadees:​​ Hazrat ​​ Usama​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke​​ Nabi​​ (ﷺ)​​ Madina ke​​ kisi​​ Unchey​​ maqan per charhey phir farmaya: kya tum bhi​​ dekh rahe​​ ho jo​​ Main dekh raha hu? (Sahaba​​ (R.A)​​ ne kaha:​​ Nahi​​ Allah​​ ke​​ Rasool! tou​​ Aap​​ (ﷺ) ne farmaya: bila shuba main barish ke qatron ki tarah tumhare gharon ke darmayan​​ Fitney​​ girtay huwey dekh raha hon.

📕 Sahih Muslim​​ Kitab ul Fitan​​ 7245


PAGE: 2

2.​​ Hazrat Umar (R.A)​​ Fitno ke​​ Aagey​​ Darwaza hain

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke​​ Umer bin Khattab​​ (R.A)​​ ne pucha ke fitno ke baray mein​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ)​​ ke​​ farameen kis ko yad hein?​​ Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ ne jawab dia ke muje wo maano yaad hain.​​ Umer​​ (R.A)​​ ne kaha:​​ Paish karo tum waqai​​ Zuratmand ho. kaha ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ)​​ ne farmaya:

“Aadmi ke​​ Ahlo​​ Ayaal aur​​ Maalo​​ Doulat is ke liye​​ Fitna hain jo isey​​ Namaz,​​ Zakat,​​ Amar bil​​ Maroof aur​​ Nahi an almunkir jaisay​​ Amaal se roktey hain.​​” 

Umer​​ (R.A)​​ ne kaha: main is​​ Fitney​​ ke baray mein nahi​​ puchta, main tou is​​ Fitney​​ ke baray mein puchta hun jo​​ Samandar ki mojon ki tarah umadta chala ayega.​​ 

Huzaifa​​ (R.A)​​ ne kaha​​ Ameer ul​​ Momineen!​​ Aap ko tou is​​ Fitney​​ se pareshan nahi​​ hona chahiye kyon ke​​ Aap​​ ke​​ aur is​​ Fitney​​ ke darmiyan ek band darwaza hai.​​ 

Umer​​ (R.A)​​ ne kaha: wo darwaza khola jaye ga ya toda​​ jaye ga?​​ Main ne kaha: toda jaye ga. kaha: phir yaqeenan isey band nahi​​ kiya ja sakega?​​ Main ne kaha: ji haan.

Hum ne​​ Huzaifa​​ (R.A)​​ se pucha kya​​ Umar​​ (R.A)​​ is darwazay ke mutaliq jantey they?

farmaya: haan! jis tarah muje yaqeen he ke kal se pehle raat ayegi​​ kyon ke maine aisi​​ baat bayan ki thi jo bebuniyad nahi​​ thi. hume in se yeh puchney me​​ dar laga ke wo darwaza koun hai? chunache​​ hum ne masrooq (tabee) se kaha (ke​​ wo puchien) jab​​ unhone pucha ke wo darwaza koun tha? tou​​ Unhone jawab dia: wo darwaza​​ Umer​​ (R.A)​​ they.

📕 Sahih Bukhari​​ Kitab ul Fitan​​ 7096

Note:​​ ​​ Qayamat​​ ki​​ yeh​​ Nishani bhi​​ puri ho chuki hai.​​ Ummat e​​ Muslima ko​​ Hazrat Umar (R.A)​​ ki​​ Shahadat​​ ke baad jin fitno ka samna karna pada wo​​ Aaj tak chal rahey​​ hain.

PAGE: 3

3.​​ Mashriq​​ se Shaitan ka Seengh Namudar hoga

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Abdullah​​ bin​​ Abbas​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ) ne​​ Dua mangi: Ya​​ Allah! humare​​ Saa’a aur​​ Mad me​​ Barkat farma,​​ Ilahi!​​ humare​​ Yaman o​​ Shaam me​​ Barkat farma.

logon me se​​ Ek​​ Aadmi ne kaha:​​ Aye​​ Allah​​ ke​​ Nabi​​ (ﷺ)! humare​​ iraq ke liye bhi​​ (Dua karein).​​ 

Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: “Wahan se​​ Shaitan ka​​ Seengh​​ Namudar hoga aur​​ Fitney​​ Ubliengey, bila shuba​​ Jor-o-Jafa​​ Mashriq me hai.”

📕 Al​​ Mu’jam al​​ Kabeer 13422
📕 Majma al​​ Zawaid 308/3
📕 Mukhtasir al​​ Targheeb 87​​ 

PAGE: 4

4.​​ Qayamat​​ se pehle​​ khoob​​ khoonraizi hoga

۞​​ Hadees:​​ Hazrat​​ Abu​​ Musa​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke RasoolAllah​​ (ﷺ)​​ ne irshad farmaya:​​ Qayamat​​ se pehle khoob khoonraizi hoga.​​ 

Sahaba​​ (R.A)​​ ne kaha: hum tou​​ Ek​​ Saal me​​ 70 hazar ko​​ Qatal kerte​​ hai​​ tou kya is se bhi​​ zyada kasht-o-khoon hoga?​​ 

Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: Wo tumhara​​ Mushrikon ko​​ Qatal karna nahi​​ hoga balkay tum​​ aapas me khoon raizi karogey.​​ 

Sahaba​​ (R.A)​​ ne kaha: kya is waqt humare hosh o hawaas qayam hongey?

farmaya: “is din logon ki​​ Aqlein cheen li jayengi aur wo samjhienge​​ ke hum kis cheez (haq) per hain halankein​​ aisa nahi​​ hoga.”

📕 Musnad​​ Ahmad​​ 557-569/4
📕 Ibne​​ Majah​​ 4007

۞​​ Hadees:​​ Ek riwayat me​​ yeh izafa​​ hai​​ ke​​ Admi apne humsaye,​​ Apne​​ Bhai,​​ Chacha aur​​ Bhateejay ko​​ Qatal kerne se daraigh​​ nahi​​ karay ga.

📕 Musnad​​ Ahmad 410/4

PAGE: 5

5.​​ Muslaman aapas me​​ Qatal-o-Gharat karenge

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Abu​​ Soban​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke​​ RasoolAllah​​ (ﷺ)​​ ne farmaya:
“Beshaq main ne apne​​ Rab se sawal kia:​​ Ya​​ Rab! meri ummat ko (Majmoee​​ taur per)​​ Qahatsaali se​​ Halaq​​ na kerna, inn per koi aisa​​ Ghair​​ Muslim dushman musallat na ho jo inn ki markaziyat ko bilkul​​ Nest-o-Nabood​​ kar​​ de.”

Allah​​ Ta’ala​​ ne farmaya:​​ “Aye​​ Muhammad​​ (ﷺ) ! mere faislon mein koi​​ Raddo-Badal nahi​​ ho sakta, maine​​ Aap ki apni ummat ke haq me yeh​​ Dua qabool​​ kar​​ li hai​​ ke inhe​​ Qahatsaali se halaq​​ nahi​​ karunga aur na inn per koi​​ Ghair​​ Muslim dushman musallat karunga jo inn ki​​ Jarien ukhar phankey, khuwah wo chunki inn (Musalmano) per hamla awar ho jaye albata yeh​​ aapas me​​ Qatal-o-Gharat karenge aur ek dusre ko​​ Qaidi (tak) bana lenge.”

📕 Sahih Muslim;​​ Kitab ul Fitan​​ 2889


PAGE: 6

6.​​ Khuwarij ka zahoor

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Abu​​ Saeed​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke​​ Nabi​​ Kareem​​ (ﷺ)​​ (Maal) taqseem farma rahey they ke​​ Abdullah bin​​ Zil​​ Khuwaisra tameemi aaya aur kaha ya RasoolAllah​​ (ﷺ) ! insaf kijiye.​​ 

Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: Afsos agar main insaf nahi​​ karunga tou phir koun kareyga?​​ 

is per​​ Umer​​ (R.A)​​ ne kaha mujhe ijazat dijiye​​ ke​​ main is ki​​ Gardan maar​​ du.​​ 

Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: Nahi​​ is ke kuch aisey sathi hongy jin ki​​ Namazon aur​​ Rozon ke samne tum apni​​ Namazon aur​​ Rozey ko haqeer samjhogey lekin wo​​ Deen se is tarah bahar ho jayengey jis tarah teer janwar me se bahar nikal jata he, agar teer ke par, paikaan baar aur lakri ko dekha jaye tou kaheen koi nishaan (khoon) nazar nahi​​ aata, Kyonke​​ wo (janwar ke) leed, gobar aur khoon sab se aagey (bedagh) nikal gaya.

(isi tarah wo log saaf​​ Islam se nikal jayenge) in ki nishani ek mard hoga jis ka ek hath​​ Aurat ki chati ki tarah ya yun farmaya ke gosht ke thal thal kertay lothrey ki tarah hoga. yeh log​​ Musalmano ke intshaar ke waqt paida hongey.

📕 Sahih Bukhari​​ 6933

۞​​ Hadees:​​ Abu​​ Saeed​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke main gawahi deta hu​​ ke​​ yeh hadees main ne​​ Huzoor​​ Nabi​​ Kareem​​ (ﷺ) se suni hai​​ aur main gawahi deta hu​​ ke Hazrat ​​Ali​​ (R.A)​​ ne (Nehrwaan me) in se​​ Jung ki thi aur​​ main is jung me in ke sath tha. in logon me se ek banda​​ Qaidi bana​​ kar​​ laya gaya tou is me man-o-aan wohi cheezien thi jo​​ Nabi​​ (ﷺ)​​ ne bayan farmai thi.


PAGE: 7

7. Maal aur​​ Khazane​​ ba’qasarat​​ Hasil honge

۞​​ Hadees:​​ Jabir bin​​ Samra​​ (R.A)​​ farmatey hain ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ) ne irshad farmaya:​​ Yeh​​ Deen​​ Qayam raheyga hatta ke Quraish se 12 khulafa hongey, phir​​ Qayamat​​ se pehle jhootey zahir hongey.​​ Musalmano ki ek badi​​ Jamat kisra ke​​ Safaid khazaney haasil​​ kar​​ legi.

📕 Sahih Muslim​​ kitab ul imara 1822

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Soban​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke RasoolAllah​​ (ﷺ)​​ ne irshad farmaya:​​ Allah​​ Ta’ala​​ ne mere liye​​ Zameen ko sukaid​​ dia tou​​ Main ne​​ Zameen ke​​ Mashriq o​​ Maghrib (tak) ko dekha hai. bilashuba​​ Meri​​ Ummat ki hakumat wahan tak pohancheygi​​ jahan tak muje mushahda karaya gaya hai​​ aur mujhe surkh o safaid (sona, chandi) do khazaney bhi ata kiye gaye hain.

📕 Sahih Muslim​​ Kitab ul Fitan​​ 2889

PAGE: 8

8.​​ Bait ul Maqdas ki Fatah

۞​​ Hadees:​​ Hazrat​​ Aof bin malik​​ (R.A)​​ se marvi hai​​ ke​​ Nabi​​ Kareem​​ (ﷺ)​​ ne irshad farmaya:​​ Qayam e​​ Qayamat​​ ki 6 nishanian shumar​​ kar​​ lo.​​ 

(1). Meri​​ Maut, (2). Bait ul​​ Maqdas ki fatah, (3). phir ek waba jo tum me shiddat se phailegi​​ jaisay bakrion me taoon phail jata hai, (4). phir maal ki kasrat iss darje​​ me hongi​​ ke ek shakh 100 dinaar bhi agar kisi ko dega tou wo is per bhi​​ naraz hoga, (5). phir fitna itna tabah kum aam hoga ke​​ Arab ka koi ghar baaki na rahega jo is ki lapait me na aa gaya ho.
(6).​​ phir sulah jo tumhare aur bani aal asfar (room ke​​ Issai) ke darmayan hongi​​ lekin wo dagha kariengey aur ek azeem lashker ke sath tum per charhai karienge. is me 80 jhandey hongey aur har jhandey ke niche 12,000 fauj hogi.

📕 Sahih Bukhari​​ kitab ul jaziya 3176

Note:​​ Bait ul​​ Maqdas,​​ Yahood o​​ Nasara ke​​ Zair e control tha jo​​ Mulk phalestine me​​ Waqia hai. islam ke ibtadai dour me​​ Nabi​​ (ﷺ)​​ bait ul maqdas ki taraf rukh​​ kar​​ ke​​ Namaz​​ perhte they phir​​ Allah​​ Ta’ala​​ ne baitullah ko mustaqil qibla bana dia.​​ 

Aap​​ (ﷺ)​​ ki paishangoyi​​ Hazrat Umar (R.A)​​ ke dour e khilafat 18 hijri me puri hui​​ aur​​ Musalmano ne​​ Bait ul​​ Maqdas​​ Yahood o​​ Nasara se​​ Aazad kerwa lia. 1099 me​​ Saleebion ne bharpoor yalgharon ke sath bait ul maqdas​​ musalmano se cheen lia phir taqreeban 90 saal baad 1187 me​​ Sultan​​ Salah u​​ Deen​​ Ayubi​​ (R.H)​​ ne paiham marka arraiyon ke baad​​ Bait ul​​ Maqdas​​ Saleebion se azad kerwa lia magar afsos ke ab​​ Bait ul​​ Maqdas, yahoodion ke qabzay me hai​​ aur​​ Qayamat​​ ke qareeb jab imam mehdi​​ (R.A)​​ aur Hazrat​​ Isa​​ (Alaihi Salam)​​ ka zahoor hoga is waqt wo bazor shamsheer isey dobara azad kerwayenge.

PAGE: 9

9.​​ Taoon (plague) ki waba phailegi

۞​​ Hadees:​​ Hazrat​​ Salma bin​​ Nafeel​​ (R.A)​​ farmati​​ hain ke ek martaba hum​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ) ke paas tashreef farma they ke ek​​ aadmi ne pucha: ya Rasool​​ Allah! kya​​ Aap ke paas kabhi​​ aasman se khana​​ aaya hai?
farmaya haan,​​ kaha: kaisay?
farmaya: chotey bartan mein.
kaha: kya is me se kuch baaki bacha?
farmaya: haan
kaha: wo kahan hai?
farmaya: isey dubara utha lia gaya aur meri taraf wahi nazil hui​​ ke main tumhare darmiyan humesha nahi​​ rahunga balkey faut​​ kar​​ lia jaunga aur mere baad tum (Sahaba) bhi​​ kuch der zinda rahoge. tum (musalmano ki)​​ Jamatein dekhogey jo​​ aapas me​​ Qatalo​​ Gharat kareinge​​ aur​​ Qayamat​​ se pehle “Maut” phailegi​​ jo badi shiddat se (har taraf) phail jayegi​​ is ke baad​​ Zalzalon waley saal hongey.

📕 Masnad Ahmad​​ 145/4
📕 Sunan​​ Darmi 43/1

PAGE: 10

10.​​ Imandari​​ kum​​ aur khayanat bharpoor hogi

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Abu Huraira​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke Rasool Kareem​​ (ﷺ)​​ apni majlis me logon se guftugu​​ farma​​ rahe​​ they ke​​ ek deehati​​ aaya aur kehne laga: aye​​ Allah​​ ke Rasool (ﷺ) !​​ Qayamat​​ kab ayegi?​​ Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya jab imanat​​ (imandari)​​ zaya ki jaye tou​​ Qayamat​​ ka intzar karna. is ne kaha: imanat ka zayaa kaise​​ hoga? farmaya: jab kaam na ahal logon ke supurd​​ kar​​ diye jayen tou​​ Qayamat​​ ke Muntazir raho(intezar karo).

📕 Sahih Bukhari​​ kitab ul riqaaq 6496

۞​​ Hadees:​​ Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ farmatey​​ hai​​ ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ)​​ ne hume 2 hadeesien bayan farmayen jin mein ek ka zahoor tou mein dekh chuka hon aur dosri ka muntazir hun,

Rasool​​ Allah​​ (ﷺ) ne hum se farmaya:​​ ke​​ imanat logon ke dilon ki gehraiyon me utarti hai​​ phir​​ Quran majeed aur hadees shareef sey is ki mazbooti ho jati​​ hai​​ aur​​ Aap​​ (ﷺ) ne (dusri hadees me) imanat ke uth janay ke mutaliq farmaya ke​​ aadmi ek martaba soye ga aur (isi me) imanat is ke dil se khatam ho jayegi​​ aur isme​​ beyimani ka halka sa dagh par jayega.

phir ek martaba soyega tou wo dagh chaley ki tarah ho jaye ga jis tarah tum paon per angara phanko tou is se ek phula hua chala sa nikal​​ aata haiy jo ander se khali hota haiy. phir yeh haal hoga ke log khareed o farokht karienge​​ aur koi shakhs imanatdaar nahi​​ hoga.​​ 

kaha jayega ke​​ falaan logon me ek imanat dar shakhs hai. is ke mutaliq yeh bhi​​ kaha jayega ke wo kitna aqalmand, buland housla aur buhadar hai​​ halankay is ke dil me rayii barabar bhi​​ iman (imanat) nahi​​ hoga.

(Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ farmatey​​ hain ke) main ne ek aisa waqt bhi​​ dekha ke main khareed o farokht bila khauf o khatar kiya karta tha agar wo (tajir) musalman hota tou is ka islam isey (beyimani se) rokta aur agar wo essai hota tu is ka madadgar isey rokta tha lekin ab (beyimani ke barh jane​​ ki wajah​​ se) main falaan aur falaan ke siwa kisi se khareed o farokht hi​​ nahi​​ karta.

📕 Sahih Bukhari​​ kitab ul riqaaq 6497

۞​​ Hadees:​​ Hazrat​​ Abdullah bin​​ Umer​​ (R.A)​​ farmatey​​ hai​​ ke logon ki misaal unton ki se​​ hai​​ ke 100 mein se ek bhi​​ (taiz) sawari ke qabil​​ nahi​​ milta.

📕 Sahih Bukhari​​ kitab ul riqaq 6498

۞​​ Hadees:​​ Hazrat​​ Mardas aslami​​ (R.A)​​ farmatey​​ hai​​ ke Rasool​​ Allah​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: naik log​​ ek ke​​ bad deegray rukhsat hotey jayenge​​ aur fazul log baqi reh jayenge​​ jis tarah jo ka bhoosa ya raddi khajoor baki reh jati hai.​​ Allah​​ Ta’ala​​ in (fazool logon) ki kuch parwah nahi​​ karienga.

📕 Sahih Bukhari​​ 6434

۞​​ Hadees:​​ Ek riwayat mein hai:
Aap​​ (ﷺ) ne apne dono hathon ki unglion ko baham mila​​ kar​​ farmaya ke is tarah in ke wadey aur​​ Imanatien khalat malat ho kar reh jayengi. (Ibne​​ Umer​​ R.A)​​ Sahabi ne pucha: ya RasoolAllah ​​(ﷺ)! phir hume kya kerna chahiye?

Farmaya: tum​​ Allah​​ se daro​​ Neki ka kaam karo aur​​ Burai se door raho aur logon ko chor kar bilkhusoos apni fikar karo.

📕 Masnad Ahmad​​ 216/2
📕 Abu Dawood​​ Kitab ul​​ Malahim 4335

۞​​ Hadees:​​ Hazrat ​​ Abdullab bin​​ Umro​​ (R.A)​​ farmatey​​ hai​​ ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ)​​ ne irshad farmaya:​​ Qayamat​​ qayem na​​ hogi​​ hatta ke bey hayai aam ho​​ jayegi, qata rehmi phail​​ jayegi, hamsaye burey hongey, khayanat karnewalo​​ ko imanatdar samjha jayega aur imanatdaar khayanat karne lageyga.

📕 Masnad Ahmad​​ 263-217/2
📕 Hakim 559/4

Note:​​ imanat dari ka khatma​​ Qayamat​​ ki ek nishani hai​​ jis ka zahoor arsa daraz se ho chuka​​ hai.​​hakumat, imarat o khilafat, intazamiya, adliya aur her zimadari per ghair zimadar logon ko faiz kerna​​Qayamat​​ ki nishani​​ hai.​​ Har taraf chori, dakey aur kameenay aur lalchi kisam ke logon ka hona bhi​​ isi zumray mein ata haiy.

Moujuda daur me her khayen o bad kirdar sayadat o qayadat aur uhdey ka talib hai​​ halankay​​ ohda ek zimadari aur imanat hai​​ jis ka haqdar sirf or sirf wo naik aur imanatdar shakhs hai​​ jisay her waqt​​ Allah​​ ke huzoor jawab dahi ka ihsas mojzan rahay. ilawa azain wo kisi uhday ka talib u mutmani hargiz na ho kyon ke Rasool Kareem​​ (ﷺ) ne irshad farmaya: 

۞​​ Hadees:​​ Allah ki qasam hum hargiz​​ aise shakhs ko uhda nahi​​ sonptay jo is ka talib ya harees ho.​​ (Ek riwayat me hai​​ ‘jo is ka irada rakhta ho.’)

📕 Sahih Bukhari​​ kitab ul ihkam 7149

To be Continued …


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *