Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya –
“Aye Jawaano Jo Tum me seAurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai
Aurjo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Waasna/S*x) ko kum karta hai.“
Ramadan Day 9 : Roza ek Dhaal hai 9th Ramadan Hadith: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.❞ [Sahih Bukhari 1904]
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho… Hadees of the Day Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya aur jo shakhs Udhaar(Qarz) le aur wapas dene ki niyat na ho usney daka dala." 📕 At-Targib Wat-Tarheeb 1807 HINDI अबु हुरेराह (प्रेषित के अनुयाई) कहते है के,अल्लाह के प्रेषित मुहम्मद (ﷺ) ने फरमाया: "जो शख्स अपनी पत्नी…
Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua - Dua for blessings… Nikah karne wale ke liye Dua ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيكَ وَجَمَعَ بَينَكُمَا فِى خَيرٍ 〘 Barak'Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin. 〙 [ Allah tumko barqat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayi ki taufiq dey | (अल्लाह तुमको बरकत दे और तुम पर बरकत नाज़िल करे और…
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Ramadan Day 6 : Rozedar ke liye Roza aur Quraan… 06th Ramzan ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞📚 Musnad Aḥmad 6589
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Islamic Quiz 246 : Jo Nikah Karne ki Maali Taqat… Jo Nikah Karne ki Maali Taqat Nahi Rakhta Usko Kya Karna Chahiye? | Options are: A. Hijrat Karna, B. Roza Rahkna, C. Ehtekaf Karna, D. Sahi Jawab Ka Intezaar
Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs Maal wa Doulat badhaane ke Liye maangna shuru karta hai, to Allah Taala us ki Doulat ko us se bhi kum kar dega.❞ 📕 Musnade Ahmed, Hadees 9624
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Namaz me banda Rab se Baate karta hai Namaz me banda Rab se Baate karta hai Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai, tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai. Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 405
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...