Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare : Hadees Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ki Rahmat ho uss Bande par jo Bechney, khareedne aur Apna Haq Wasool karne me Narmi Ikhtiyar kare." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2076
Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Har cheez ke saath accha tareeqa ikhteyaar karnaZaroori qaraar diya hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 1955 (5055)
Bechte aur Khareedte wakt Narmi: Hadees Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Allah Ta'ala us Shakhs per Raham kare jo bechte aur Khareedte wakt aur Taqaza karte wakt Narmi se Kaam le." 📕 Sahih Bukhari: Hadees 2076 Allah Taala hume Kehne sunne se jyada amal ki toufiq de, Ameen ! Allahumma Ameen
Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitho Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitha karo." 📕 Mustadrak, Hadees 7947
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Al-Quran: Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi… Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi tarazu istemal karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ‟Jab kisi ko koi cheez naap kar do tou pura naapo aur tolne ke liye saheeh tarazu istemaal karo." 📕 Surah Bani Israil 17:35
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞ 📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92 “Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”. 📕 Surah Nisa 4:85 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -"Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar…
Allah ke Qalaam ki Pairwi karo Allah ke Qalaam ki Pairwi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Nabi (ﷺ) ! Keh do ke Logon Mai Tum Sab ki taraf Allah ka bheja hua Hoon Yaani Uss ka Rasool Hoon. Wo Jo Aasmano aur Zameen ka Baadshah hai. Uss ke Siwa koi Mabood nahi Wohi Zindagani Bakhashta hai aur Wo Hi Mout deta hai. Tou Allah par aur Uss ke Rasool Paigambar Ummi par Jo Allah par aur Uss ke Tamaam Qalaam par Emaan Rakhte hai Emaan Laao…