Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya:
❝ Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.❞
[ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907]
is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega.
Wuzu karte waqt dil me ye niyyat karei’n ke Allah ke huzur (Namaz me) hazir hone ke liye Taharat (Wuzu) karne laga hu’n aur phir jab Namaz padhne lagein tou dil me ye qasad aur Niyat karey ke sirf Allah hi ki Khushnudi ke liye iska hukam baja laata hoon.
Niyyat kyun ke dil se ta’alluq rakhti hai is liye Zubaan se ada karne ki koi zarurat nahi aur Niyat ka zuban se ada karna RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat aur Sahaba ke amal se saabit nahi.
– Apne Dil me kisi kaam ki Niyyat karna aur zarurat ke waqt kisi ko apni Niyyat se aagah karna ek jayez baat hai magar Namaz se pehle Niyyat padhna aqal, naqal aur lughat teeno’n ke khilaaf hai.
Hajj ka talbiyya Saheeh hadeeso’n se sabit hai wo Nabi-e-kareem (ﷺ) ki pairwee me kehna zaroori hai magar Namaz waali marwajja Niyyat kisi hadees me warid nahi hui’
Reh gaya Nikah me Ejab-o-Qubool ka masla, kyuke Nikah ka talluq Huqooq-ul-Ibaad se bhi hai aur Huqooq-ul-Ibaad me mahez Niyyat se nahi balke Iqraar, tehreer aur gawahi se muamlaat tay patey hai.
– jabke Namaz tou banda apne Rab ke huzoor khada hota hai jo tamam Niyyato’n ko khoob jan’ne wala hai phir waha’n Niyyat padhne ki kya zaroorat hai, lehaza Ahle Islam se guzarish hai ke is Biddat se najat paye aur Sunnat ke mutabiq Namaz ka aghaz karey.
Related Post
- Wazu ki Fazilat, Sunnat Tarika aur Dua
- Namaz ka Sunnat tarika hindi mein
- Namaz ki Surah aur Unka Hindi Tajumah (4 Qul Hindi)
- Sana, Ruku aur Sajde me padhne wale Azkar aur unka tarjuma
- Jumma ki Namaz: Farziyat, Fazilat aur Masail
Related Posts: