Rishte Naate Jodne ka asal Matlab Burai karne wale se Bhalai karo
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki:
“Kisi Kaam ka Badla dena Sila Rehmi nahi hai balki Sila Rehmi karne wala wo hai ki jab Uskey Sath Sila Rahmi ka mamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila Rehmi kare.”
Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu, Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar…
Karz ko Acchi Tarah Ada kare Hadees about Qarz, Karz ki Hadees, Islamic Quotes Status about Qarz, Karz ke Bare me Hadees
Isa (Alaihay Salam) ki Gawahi Sirf Allah ki Ibadat… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrat Isa (Alaihi Salaam) ne kaha - Beshaq Allah Hi Mera aur Tumhara Rab hai Isliye Usi Ki Bandagi karo,Jab Farishton ne kaha Aye Mariyam! Allah Tujhko Ek Bete ki Apni Taraf se Basharat (Khushkhabri) deta hai, Uska Naam Maseeh Isa Ibn Mariam Hoga jo Duniya aur Aakhirat me Martabe wala hoga aur Allah ke Muqarrabo (Khaas Bando) me se hoga aur Jab wo Maa ki God me hoga aur Badi Umar ka hoga tou Logon se…
♫ Qaza e Umri ki Hakikat aur Qaza Namaz kaise Ada kare ? Qaza e Umri Ki Namaz Padhna Kaisa Hai ? Kya Qaza e Umri Qurano Sunnat se Sabit hai? tafsili jankari ke liye audio clip ka mutala kare,. jazakAllah khairan kaseera ♫ Qaza-e-Umri Ki Hakikat ♫ Qaza Namaz Kaise Ada Karey ? [vc_wp_custommenu nav_menu="30670" el_class="clean_m also_2clm"]
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Qarzdar ko mohlat do ya Qarz muaf kar do Hadees of the Day Tangdast ko Muaf kar diya karo Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,Nabi-e-Kareem ((ﷺ) ne farmaya - "Ek shakhs (zamane-e-guzistah me) logo ko Udhaar(Qarz) diya karta tha, woh apne ghulaam ko kaha karta kisi tangdast madiun(Karz lene wale) ke paas jana, usko muaf kar dena, uss ummid par ki Allah hum ko muaf kar de, jab uska inteqal ho gaya tou Allah Ta'ala ne usko muaf kar diya." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3480 Qarzdar ko mohlat…
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sadko (Rasto) par baithane se bacho." Sahaba ne kaha ki "hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain." is par, Nabi (ﷺ) ne kaha - "Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo." Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha, "Apni…
Qasam Sirf Allah Ki Khaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki , Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Waalid Umar-Bin-Al-Khattab Ke Paas Aaye Tou Kya Dekha Ki Wo Kuchh Logon Ke Saath Chal Rahe Hain Aur Apne Waalid Ki Qasam Khaate Jaa Rahe Hain. *Ye Sunkar Aap Ne Farmaya - "Suno! Allah Paak Ne Tum Logon Ko Apne Baap-Dada Ki Qasmein Khaane Se Manaa Kiya Hai,.. Jisko Qasam Khani Hii Hai Wo Sirf Allah Hii Ki Khaaye Warna Chup Rahe..." -…
Shukriya ada karne ka Huqm aur Fazilat Hadith: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Wo Allah ka Shukrghuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho." (Sunan Abu Dawood, Vol 3, Hadith 1383-Sahih) "Aur jo Allah ki yaad se ghafil ho jata hai tou Allah uss par ek Shaitan muqarrar kar deta hai phir wo uska saathi ban jata hai." (Al Quran; Surah Az-Zukhruf 43:36) "Agar tum meri neymaton ka Shukriya ada karogey tou aur ziyada dunga aur agar nashukri karogey tou…
Insh Allah ka matlab aur Ahmiyat Quran ki Roshni me Insh Allah ka matlab (Meaning) Insh Allah ka Matlab hota hai "agar Allah ne chaha."(if Allah wills it) Insh Allah ki Ahmiyat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur Hargiz kisi kaam ke Nisbat na kaha karo ki mai isey kal kar dunga, magar insh Allah keh kar aur agar (insha Allah kehna) bhool jao tou (jab yaad aaye) apne Parwardeegar ko yaad kar lo (in sha Allah kah lo) aur kaho ki ummid hai ke mera Parwardeegar mujhe aisi baat ki hidayat…
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari, 2400) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया, “मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है” - (सही अल-बुखारी, 2400) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643