Musalman ke Haath aur Zubaan se Mehfooz
Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
“Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mahfooz Rahe.”
» Wajahat: Aaj kitney Musalmaan hai jo ye Gawahi de ke Mai dusre Musalman ke Sharr se Mehfuz hu. Illa-Masha’Allah bohot kum Musalman honge jinke Khush-Akhlakhi Ki Gawahi hum Dey Payenge. Baaki Hazraat ki tou kya baat.
Allah Reham karey !
Aaj humari hi BaddAkhlakhiyo ki wajah hai ke humare Gairmuslim bhai Shariyate-Islamiya par, Allah ki Zaat par, Rasool’Allah (ﷺ) ki Sirate Mukaddas par na jaane kya-kya Ashakalaat jata rahe hai.
– kyunki humne Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ki Nafarmaani Ki ,..
– Natijatan hum Deen par Aarzi Duniya ko Tarzi deney lage,
– aur fir jo hua uska Tamasha Saari Duniya dekh hi rahi hai,
– Logon Ki Shako-Shubhat ne Hume Aatankwaad se tak jod diya..
Jabki Hum Uss Paakiza Shairiyat ke Man’ne Wale hai jo har Haal me Hume Insaniyat ki Khatir Jaan-o-Maal Daaw par Lagane ki Hidayat deti hai. Lekin aaj humari Badd’Amaliya kuch aur hi Zaahir kar rahi hai.
♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Allah Hum sab ko Kitabo-Sunnat ka Muttabey banaye,
# Hume Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat-e-Mubarak par Amal Ki Taufik De.
# Humare Aapsi Hukuk aur Gairmuslimo se Husn-Khulk Ikhtiyar Karne ki Taufik dey.
# Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Related Posts: