Munafiq Ki Pehchan (Sign of Hypocrite in urdu)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Bayan Karte Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Chaar Aadatey Aesi Hai Ki, Jinkey Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga.
Unn Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Tou Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi,
Yahan Tak Ki Usey Chhor De,..”
∗(1). Jab Boley Tou Jhoot Boley.
∗(2). Waada Karey Tou Poora Na Karey.
∗(3). Lade-Jhagde Tou Gaali Bakey.
∗(4). Muaahida(Deal) Kare Tou Dhoka De.
(Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459)

# SABAQ: Munafiq Wo Log Hotey Hai Jin Ke Dil Emaan Se Khaali Hai
Lekin Emaan Waalon Ko Dhoka Dene Ke Liye Muhh Se
(Zubaani Taur Par) Emaan Ka Dikhaawa Karte Hai.
*Aise Logon Ke Baarey Me Allah Ta’ala Quraan me Farmata Hai Ke –
“Yeh Log Allah Aur Uskey Rasool Ko Dhoka Dena Chahte Hai
– Lekin DarHaqeeqat Wo Khud Apne Aap ko Dhoka Dey Rahe Hai
Yaani Inke Burey Aamal Ka Buraa Badla Paaney Waley Hai..”

*Kyuni Allah Aalimul Gaib Hai, Wo Har Kism Ke Ilm Ka Maalik Hai,
Wo Apne Mukhlooq Ki Har Kism Ki Niyato Se Bakhabar(Known) Hai ,..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *