۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Aur Aisey Log bhi hai Jinhoney Allah ke Siwa aur Shareek bana rakhey hai Jinsey aisee Mohabbat Rakhtey hain Jaisey ki Allah se rakhni chahiye aur Iman Walon ko tou Allah hee se Zyada Mohabbat hoti hai aur Kaash Zaalim log Jo baat Azaab ke waqt dekhngey (Usey) abhi dekh letey ki sab Quwwat Allah hee ke liye hai aur Allah Sakht Azaab dene wala hai.”
📕 Surah Al-Baqara 2:165
♥ SubhanAllah ! Beharhaal ! Mohabbat ke Apne Darjaat hotey hai, har ek se Mohabbat ka mahdood dayra hai, jaise Hume Sabse Afzal Mohabbat Allah se hee honi chahiye. Uske Baad Allah ke Rasool (ﷺ) se hogi.
Phir iske Baad Sahaba Kiram (RaziAllahu Anhu) se, phir iske baad Bujurgane deen yaani jo Allah ke Mukhlis bandey hai unse mohabbat.
Tou ye mohabbat ka paimana hai, isey agar badal do tou hum ghulu kar baithenge. yaani Nabi (ﷺ) se aisi Mohabbat ke Rab se badhkar ho tou ye ghulu hai Hatta ke isey Shirk bhi kehalaya jayega.
phir Allah ke Waliyo aise mohabbat ke unhe Nabi (ﷺ) aur Sahaba se jyada azeez jan’na , tou ye bhi ghulu hai aur Gustakhi ka bayees hai.
Lihaja jiska jo martba hai usi me usey mehdood rakhe yahi Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki Pakiza Talimat hai aur jo aisa na karey wo upar di hui aayato ka baar baar muta’ala karey hatta ke iski hikmat maloom kar le.
♥ In’sha’Allah Ul Azeez !
– Allah Taala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufik dey. Ameen Allahumma Ameen