♥ Mafhoom-e-Hadees ﷺ :Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke –
“Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo.”
– (Sahih Bukhari)
♥ Mafhoom-e-Hadees ﷺ ♥
Abu Hurera (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke, Huzoor-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Tou ‘Nekokar’ Hoga Tou Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ Ho Jaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Tou Ho Sakta Hai Ke Aainda Taubah Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.
– (Bukhari Shareef), Anwar-Ul-Hadees, Page Number 226)
♥ Qaul-e-Mubarak ♥
“Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo.”
– Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu)
♥ Qaul-e-Mubarak ♥
“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai.”
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh)
For more Islamic messages kindly download our Mobile App