Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar
Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) subah ko unke pass se nikle, wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai,
Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha, ji haan !
Aap (ﷺ) ne farmaya “maine tumhare baad chaar kalime 3 baar padhe, agar in kalimo ka wazan kiya jaye un kalimo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain toh yahi bhaari rahnege, wo kalimat ye hain –
سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه
وَرِضـا نَفْسِـه
وَزِنَـةَ عَـرْشِـه
وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه
Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi
Wa Midaada Kalimaatihi
Tarjuma: Main Allah Subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.