۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Maal ko (Jayaz) Kharch kar,gin gin kar na rakh,warna Allah Ta’ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi)aur Maal ko rok kar na rakh,Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega.”
Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney… Acchi ibadat ki dua "Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika" (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: "Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai." – Surah Az-Zukhruf 43:36
Al-Quran: Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Apne Parwardigaar ki humd ke saath saath us ki tasbeeh bayaan karo aur us se magfirat maango. Yaqeen jaano woh bahot muaf karne waala hai." 📕 Surah An-Nasr 110:3
Allah ki Raah me Kharch karne ki Misaal Allah ki Raah me Kharch karne ki Misaal ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai." 📕 Sureh Baqrah 02:261 » Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta'ala Ek Misaal…
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…
Allah ki Neymato ka Izhar kiya karo: Hadees Hadees: Amr-bin-Shu'aib (R.A) Aapne Walid se aur Wo Unke Dada se riwayat karte hain ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala apne Bande par apni Neymat ka Izhar pasand karta hai." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih # Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta'ala ki taraf se koi Ne'mat ata ki Gayee ho toh usko Chhupana nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke riyakari ke aadi ho jaye. - Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho…
Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Gheebat ki Hadees : Gheebat Nekiyo ko Jaya kar deti hai Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat ki: "2 Shakh ne Zohar ya Asar ki Namaz padhi aur wah dono Rozdar they, Jab Namaz padh chuke Nabi-e-Karim (ﷺ) ne farmaya 'Tum Dono Wuzu karo aur Namaz ko dobara padho aur Roza pura karo aur dushre din is Roze ki Qaza karna.' Unhone arz kiya 'Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Ye Hukm kis liye ?' Aap (ﷺ) ne farmaya "Tumne falah Shakhs ki Gheebat ki hai." - Islami Akhlaq-O-Aadab, Page#191, Hadith 40 SABAQ: Iss Aahadees se Maloom hota hai ke…
Kaun sa Maal Rakhe ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ? Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: "Main isey tumare liye malum karke aata hu,.." aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: "Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi…
Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Allah Taala farmata hai: "Beshaq tumhare Maal aur Aulad (Allah ki Taraf se) ek Fitna (Aazmaish) hai." 📕 Quran 64:15
Qayamat ke Din uska Maal Zahreeley Ganje Saanp ki… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: "Jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley Ganjey Saanp ki Shakal ikhtriyar kar lega uski Aankhon ke pass do Siyah(black) Nuqtey honge jaise Saanp ke hote hain phir wo Saanp uskey dono Jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun." ? Sahih Bukhari ,…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Hadees: Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya – ‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye." (1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?, (2) Apne Ilm par kya amal kiya ?, (3) Maal kaha se kamaya ?, (4) aur Kahan kharch…