Kunde ke Niyaz ki Haqeeqat (Rajab ke Kundey)

Kunde ki Niyaz ki Hakikat

22 Rajjab ko Barre Sageer (Hindustan, Pakistan aur Bangladesh) me ek tyohaar manaya jaata hai, Jisey hum “Kunde ki Niyaj” ya “Kunde ki Eid” ke naam se jante hai.

Tou beharhaal aayiye iski sharayi hakikat kya hai jan’ne ki koshish karte hai.

☼ Darhakikat Kunde ki Eid ki shariyat me koi asal ya buniyad nahi hai, iss talluk se Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ka wakiya bayan kiya jata hai ke inhe mansub ya inhi ke Isale Sawab ke liye Nazro Niyaz is din kiya jata hai.

Aayiye ab gour karte hai iski haqeeqat kya hai, Kya wakay me Shairiyate Islmiya me Kundey ki kisi Eid ka tazkira paya jata hai ?


Kunde ke Niyaz ki Shuruwat kaha se hui?

22 Rajjab ko ek Shakhs ka inteqal hota hai, Abdullah Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) khana kha rahe they, utney me unki Ghulaam/Baandi khabar lekar aati hai. wo khabar sunkar Aap khana chorrkar khadey ho jatey hai.

Khabar ye thi ke Sahabi-e-Rasool Ameer Muawiya (RaziAllahu Anhu) ka inteqal ho gaya 22 Rajjab ko, Ameer Muawiya (RaziAllahu Anhu) wo shakhsiyat thi jinhone Munafiqo aur Khwarijiyo par lohe ka hath rakha tha. Aapke Dour-e-Hukumat me ye log bebas ho gaye they. inki har Munafiqana harkato ko Ameer Muawiya (RaziAllahu Anhu) ne naqam kar diya tha.

Lekin jaise hi Ameer Muawiya ka inteqal hua inn Munafiqo aur Kharijiyo me khushi ki lehar daud padti hai ke ab dushman marr gaya humara, aur khushi tou manani hai. Ab khushi manaye tou kaise manaye? hukumat ko pata chal jayega agar khushiya manyenge tou Jaahir si baat hai ke – wakt ka Khalifa inteqal kar gaya aur koi khushiya manaye tou uske Munafi hone me koi shuba hi nahi hogi.

Lihaja tay hua ke Khushiya khufiya manayi jayegi, Ahle Munafiq aur Khwarij apne apne logon ko bulao, khamoshi se saman lao, parde ki aad me wahi banao, aam bartano ke bajaye mitty ke bartano(Kundo) me mithaiya banao, wahi khaawo,.. wahi hath dho lo, bacha kucha khana wahi dafna do, taaki bahar musalmano ko pata na chale ke andar kis cheez ki khushiya manayi ja rahi hai.


Ye Niyaz Aam Awaam tak kaise pohchi?

Ab ye chalan kaafi zamane tak kwhariji chalatey rahe, uske baad ab Sunniyo ko isme kaise shamil kiya jaye  iske liye Naya Akida diya gaya ke ye Niyaz Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ki hai, Allah reham kare, jabki Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ek tabeyeen me sse hai, aur kyunki aam awam hanfi hoti hai tou kaha gaya ke Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Imam Abu Hanifa (Rahmatullahi Alaihi) ke ustaad hai, jabki unka milna aur sun’na sabit nahi.

Aur fir Akide diye gaye ke jo ye Niyaz karta hai uska beda paar ho jata hai, wo kamiyab ho jata hai, uski Nayya paar ho jaati hai, iske liye India ke kisi Lakadhara ki kahani bhi bayaan karte hai jo manghadat hai. fir bus lag gaye humare musalman bhai Kundey bharne. Allah reham kare.

Reference » Jawahirul Manaqib’ By Mustafa © www.ummat-e-nabi.com/home
» Tareekh-e-Islam (Shah Moeen-Ud-Din Nadvi) Safa Number 371
» Tareekh Ibn Khaldun Vol-2, Safa-60


Lamha-e-Fikr

Ab Sawal ye aaya ke chalo agar maan bhi le ke (Nauzubillah) Allah ke Alawa bhi kisi ke liye Nazro Niyaz karna jayaz hai tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad Ummat me sabse uncha maqaam tou Sahaba ka hai, Unkey Naam se tou kabhi hum koi Niyaj koi Eid nahi manatey. naahi unko mansub karne wala koi deen manane ka Shariyat ne hume hukm diya.

Tou fir tabeyeen me se ek imaam ke liye khas taur par nazro niyaz karna ye kaha ka insaf hua, gour karne wali baat hai mere bhaiyo, koi aam baat nahi. Yaad rakhiye iss Kunde ki Eid ke Akide ka Shariyat-e-Islamiya me koi wajud hi nahi. iss Kundey ke Eid ki Shariyat me na koi fazilat paayi jaati hai na koi Ahqam,  hatta ke iss Eid ka koi Arbi naam bhi paya nahi jata.

Sahabi-e-Rasool ke Inteqaal par Munafiqo ne Khushiya manayi Yahi hai Iski Hakikat.


Kundey ki Niyaz / Kunde ki Eid ek Sharayi Biddat:

Ye Niaz/Eid Shariyat me ek Biddat hai aur Biddat ke talluk se Rasool’Allah (ﷺ) ne sakht wayeed ki apni ummat ko “ke Biddat mat karna iss deen me.

Aur Biddatiyo ka kya Anjaam hoga iske talluk se Surah Ghasiya ki ayat 3 aur 4 me Allah Ta’ala farmata hai –

❝ Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya ❞

Kuch log Qayamat ke roz tum dekhoge ke amal kar-kar ke thakey hue aayenge, lekin hukm hoga utha kar fenk do inhe Jahannum me.

Al-Quran; Surah Ghasiya 88:3-4

Isliye kyunki wo amal wo akida Rasool’Allah (ﷺ) ke bataye hue deen se sabit na tha. tou lihaja hume chahiye ke aise mu’amlo me tehkik kare aur aise amal se bachey jo na Shareeyat se sabit ho aur na hi Sahaba ki zindagi me kabhi paya gaya ho.

Note: Agar iss Article par yakin karna mushkil hota hai tou baraye meharbani apne gharo me Urdu/Arbi Calendar ki tawarikh me dekh lijiye 22 Rajjab ki tareekh me kounsa din bayan kiya gaya hai.)

Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke:

– Allah hume haq sun’ne samjhne ki taufiq dey,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
– Khatma humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

5/5 - (13 votes)

Leave a Comment