Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo log Sood khate hai woh (Qayamat me) uthenge tou uss Shakhs ki tarah uthenge, jisey shaitan ne chhu kar pagal bana diya ho." 📕 Surah Baqraah 2:275
Rabbish Rahli Sadri Dua : Aye Allah ! Mere kaam ko… Dua for Confidence ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي "Rabbish Rahli Sadri Wa Yassirli Amri Wah Lul Uqdatan Min Lisaani, Yaf Kahu Kauli" 📕 Al-Quran; Surah Taha 20:25-28 Tarjuma: ‟ Aye mere Rab! tu mere liye mera seena khol dey aur isey risalat ka wajan sehne ke liye faila dey, aur mere kaam ko mere liye aasan kar dey, aur meri zubaan ki giroh ko khol dey taaki log meri baat ko…
Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki… Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) subah ko unke pass se nikle, wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone…
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he…
Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou Kaisa Hai? * Aap Imam Malik Ne Kaha - Ke Rasool'Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aisa Kaam Na Kiya! Tu Bhi Na Karna.. * Usne Kaha - Namaz Hi Tou Padh Raha Hu, Padh Liye Tou Kya Hua ? * Tou Imaam Malik (Rahmatullah Alayh) Ne Surah Noor Ki Ayat No.63…
Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin… ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, " Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar Khatakar wo hai jo Tauba kar ley" - Sunan Ibn Maajah; Arabic reference, Hadith 4392 ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ : अनस (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, " आदम की तमाम की तमाम औलाद खताकार है, लेकिन बेहतर खताकार वो है जो तौबा…
Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho." 📕 Quran; Al-Humaza 104:1
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Rishte Naate Jodne ka Matlab ye Nahi ki sirf Badla… Rishte Naate Jodne ka asal Matlab Burai karne wale se Bhalai karo Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki: "Kisi Kaam ka Badla dena Sila Rehmi nahi hai balki Sila Rehmi karne wala wo hai ki jab Uskey Sath Sila Rahmi ka mamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila Rehmi kare." 📕 Bukhari, Hadees 5991
Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan Mafhoom-e-Hadees: Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: (Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki 'Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?' Main ne kaha : 'Allah Ta’ala…
Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai... Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai ✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai: Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai." 📕 Sunan Ibn…
Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah Taa'la Quraan-e-Kareem me farmata hai: “Aye Insan! Tujhe Apne Kareem Parwardigaar se Kis Cheez ne Behka diya?” 📕 Surat Ul Infitar Ayat No 6
Namaz me banda Rab se Baate karta hai Namaz me banda Rab se Baate karta hai Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai, tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai. Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 405
Kya baith kar Namaz padh sakte hain? https://www.youtube.com/watch?v=ojGzd-bpbHA Baith kar Namaz padhna kaisa hai? Mard ya Aurat Kya Baith Kar Namaz Padh Sakti hai Ya nahi Isliye ke Zyada tar Aurtain ya Baaz log Baith kar Namaz Padhte hai, Tafseeli Jankari ke liye is mukhtsar si video ka mutala kare aur isey jayada se jyada share karne me humara tawoon kare, jazakAllahu khairan kaseera.