Kabira Gunaah : 4 Sabse Badey Gunah Hadees of the Day Gunah e Kabira : 4 Sabse Badey Gunah Anas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) se Badey (Kabira) Gunaahon ke Baarey me pucha gaya: Tou Aap (ﷺ) ne farmaya – 1. Allah ke Saath Kisi ko Sharik Karna (Shirk),2. Waliden(Parents) ki Nafarmani Karna,3. Kisi ki (Nahaq) Jaan Lena,4. Aur Jhooti Gawahi Dena. 📕 Sahih Bukhari, Hadith 2653 Allah Rabbul Izzat humey Tamam kism ke Kabira aur Sageera gunaaho se Bachaye,Ameen Allahumma Ameen
Hadees: Iman ka Sabse kam Darja Iman ka Sabse kam Darja Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse…
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah Taa'la Quraan-e-Kareem me farmata hai: “Aye Insan! Tujhe Apne Kareem Parwardigaar se Kis Cheez ne Behka diya?” 📕 Surat Ul Infitar Ayat No 6
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Nawwaas (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Gunaah wo hai jo Tere dil me khatke aur tujhe accha na lage ke logon ko us ki khabar ho" 📕 Muslim, Hadees 6680 Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Allah tou Hargiz Bando par kuch bhi Zulm nahi karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm kiya karte…
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha. Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Wo Sharaab Nasha…
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Allah ke yaha Sabse zyada Mehboob Shaks koun? Allah ke yaha Sabse zyada Mehboob Shaks koun? Hadees: Ek Aadmi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kaha: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! kounsa shakhs Allah subhanahu ko zyada mehboob hai aur kounsa amal Allah subhanahu ko zyada pasandida hai ? ..." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Logo me sabse zyada mehboob Allah Subhanahu ke yaha wo shaks hai jo logo ko sabse zyada Nafa dene wala hai aur Allah subhanahu ko sabse zyada pasandida amal wo khushi hai jo musalman kisi…
Hadees: Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Hadees: Aaisha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse se Zyada Barqat wala Nikah woh hai, jisme Mehnat, Mashaqqat aur Kharch kum ho." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 24529
Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Chand ko Dekhne ki Dua in Arabic, Roman English,… Chand ko Dekhne ki Dua in Arabic, Roman English, Hindi & Tarjumah | चाँद को देखने की दुआ, Shaban ka Chand, Safar ka Chand, Muharram ka chand, Ramzan ya kisi bhi Mahine ka Chand dekhein tou yeh Dua padhein
Sayyidul Istighfar : Allah se Magfirat Maangney ka… "Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana 'Ala Ahdika Wa Wa'dika Mastata'tu, A'udhu Bika Min Sharri Ma Sana'tu, Abu'u Laka Bini'matika 'Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta." Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - Sayyidul Istighfar (Allah se Magfirat Maangney ka sabse accha Tariqa) ye hai : "Aye Allah ! Tu mera Rab hai, Tere siwa koi Maabud nahi, Tuney hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi banda hu, Main…
Subah ke sare Azkar me se Meezan par sabse bhari Azkar ✦ Mafhum-e-Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) subah ko unke pass se nikle , wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha, ji haan ! Aap(ﷺ) ne farmaya "Maine…
Ummat ke Behatreen aur Badtareen log ✦ Abu Malik Ashari (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya: "iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain" Al-Silsila-tus-Sahiha-3412 ---------- رسول اللہ صلی اللہ علیہ…