KhudKhushi (Suicide) in Islam
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
KhudKhushi (Suicide) ka Matlab hai Insan ka Apne Aap ko kisi bhi Zariye se Amdan Qatal karna. Khudkushi Karna Haraam hai aur Kabeerah Gunaah hai.
Khudkhushi karna Haram hai :
Allah Taala Quraan-e-Kareem me Irshad farmata hai :
“Aur jo koi kisi Momeen ko Qasdan (Danista) Qatal kar Daale tou iss ki Saza Jahannum hai, Jis me woh Hamesha rahega, Iss par Allah Ta’ala ka Gazab hoga aur Iss par Allah ne La’anat ki hai aur Iss ke liye bohat badaa Azaab tayyar kar rakha hai.”
Al-Quran 4:93
“Aur Tum apne aapko Qatal naa karo.”
Al-Quran 4:29
Khudkhushi ka Azab :
Khudkhushi ki Hurmat Iss Ayat ke tehat aati hai. Dusri Nabi-e-Kareem ﷺ se sabit hai ke –
RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Jis Shakhs ne Dunia me Apne Apko kisi Cheez se Qatl kiya,
Qayamat ke Din Isey Issi Cheez ke Sath Azaab Diya Jayega.”
Sahih Muslim; Hadees: 110
RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Jisne Lohe ke Hathiyar ke saath KhudKhusi ki tou Usey Jahannam ki Aag me usi Hathiyar se sakht Azaab diya jayega.”
Sahih Bukhari; Hadees 1363
RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Jisne Apna Gala Ghota tou Woh Jahannam ki Aag me Apna Galaa Ghot’ta rahega aur Jisne Khud ko Nezaa mara woh Jahannam ki Aag me Khudko Nezaa marta rahega.”
Al-Ahsab Bittartib Sahih Ibne Hibban Hadith 5955
KhudKhusi ka Elaaj:
KhudKhusi (Suicide) karney wala shayad ye samjhta hai ki Humari Jaan Chooth Jayegi, Halaki Iss se jaan chhutne ki Bajayen Narazgi-e-Rabbul-Izzat Azzawajal ki Surat me Nihayat buri tarah fass jati hai. Allah ki qasam ! Suicide ka Azab bardast nahi ho sakega.
Khudkusi ki Wajah
- Be Rozgaari (Unemployment)
- Mayusi (Depression)
- Ishq Mijazi (Love Affair)
- Gharelu Jagde (Dispute) Etc.
1. Berozgaari (Unemployment) ka Elaaj Quran se:
“Aur Zamin par Chalne Waala koi aisa nahi Jiska Rizk Allah Aazzawajal ke Zimam-e-Karam par na ho.”
Al-Quran 11:6
Allah ke Rasool ﷺ farmate hai:
“Agar Tum ALLAH Ta’ala par aisa Tawakkul karo Jaisa ki Uss par Tawakkul karne ka haq hai, tou woh tumhe iss tarah Rizk ata farmayega Jiss Tarah Parindon ko Rizk ata farmata hai ki woh subha khali Pait jate hai aur Shaam ko Pait bhar kar palat’te hai.”
Sunnah Tirimizi; Hadees: 2351
Mayusi (Depression) ka Ellaj Quran se:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Aur Jo Allah par Bharosaa kare tou Woh Usey Qaafi hai.”
Surah At-Tallaq:3
“Qareeb hai Allah Dushwaari ke baad Farakhi ata farmaa dega.”
Surah At-Tallaq:7
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
“Dunia Moa’min ke liye Qaid khana aur Kafiron ke liye Jannat hai.”
Sahih Muslim, Hadees: 2956
“Badaa Sawaab badi Balaaon (Badi Musibat) ke Saath hai.”
Sunan Ibne Majaa, Hadees: 4031
Ishq Mijazi Ka Ilaaj :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur Uski Nisaniyon se hai ke Tumhare liye Tumhari hi Jins se Jode Banaye ke Unse Aaraam Paao aur Tumhare Aapas me Mohabbat aur Rehmat rakkhi. Beshaq Isme Nisaniyan hai Dhyan karne walon ke liye.”
Surah Room 30:21
Allah Ne Har Ek Ke Liye Rista Pahele Hi Se Mukarar kiya huva hai. Ab agar Tum Chahte ho ki Accha Rista mile tou Tum Khud Achhe ban Jaao Kyun ke Acchon ke Liye Acche ka Intejam hai.
“Badkaar Aurte(Dirty Women) Badkaar Mardo ke liye aur Badkaar Mard badkaar Aurto ke liye Aur Paakiza Aurate (Clean Women) Paakbaz Mardo (Clean Men) ke liye aur Paakbaz Mard Pakiza Aurto ke Liye hai.”
Surah An-Noor 24:26
Islam Nikaah se Pehle Ishq ki is liye Mazammat karta hai ki Insaan Apni saari Mohabbaten Uss ke liye Bacha kar rakhe Jo Inka Asal Haq’dar Hai. Shadi se Pehle ki Mohabbat Goya Iss tarah hai Jaise Aftari se Pehle koi Aftaar kar le, Aftaar ka maza bhi naa raha, Gunaah ka Mustahiq bhi hua, Kaffare ka kharcha bhi, aur Sazaa bhi.
(Aaj Maa-Baap aur Ladkiyan Sikayat karti hai ki Acche Rishte nahi aate, tou yaad rahe! Tum Allah aur uske Rasool se Apna Rista Mazboot klarlo, Inshaa Allah Accha hi Rishta Aayega.)
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
“Jisney Logon ko Naraaz Karke Allah ki Razajai ki Allah Usey logo ki taklif se mehfooz rakhega aur jisney Allah ko naraz karke logo ko khush karna chaha Allah usey logo ke supurd kar dega.”
Tirmizi Sharif, Hadees 2414
Gharelu Jagde ka Ilaaj:
(Sab se Paheli baat tou ye ki Hume Ghar me rehne ka tarika T.V. Serial se nahi sikhna chahiye aur naa hi Tv Serial hargiz chahiye)
» Aye Khatoon! Apne naye Ghar ke naye Mahaol me Acche taor-tareeqa, Dil-kash Zubaan, Jazba-e-Iisaar, har dam Muskurate chehre sey jagah banao…!
» Har Maa-Baap apni Beti ke liye Behtar se behtar rishte ka intikhab karte hain, lekin kaamyabi ki Zamaanat darasal Beti ki apni salahiyyat hoti hai.
» Aurat ke haath lambe aur Zubaan chhoti honi chahiye, matlab usey kaam/khidmat zyada karna aur bolna kum chahiye, taaki wo achchi nazar se dekhi jaye.
» Ladkiya apne Sasural se Darri-Darri rehti hai aur iske Muqable me baat baat par apne Mayike walo ka dum bharti hai, yeh Aadat jhagde ki wajah hai.
SABAQ: Khudkhushi ka Irtekab karne wala aam tour par tang halaat ki wajah se aisa karta hai. Aise halaat Allah Ta’ala ki taraf se hon ya logo ki taraf se woh Masaib-O-Alaam ko bardasht nahi karta aur apni Jaan ka khatma ker leta hai.
Uss Shakhs ki Misaal garmi ki tapish se bachney ke liye Aag ki Panah lene wale ki hai. woh choti se Badi Musibat ki taraf Muntaqil hojata hai.
Agar woh Sabr karta to Allah Ta’ala issey Masaib bardasht kerny ki toufeeq ata farma deta aur phir iss ke Halaat badal deta.
✍ Shiekh Ebn Saleh Esimeen ki kalam se