Khassi janwar ki Qurbani kya jaiz hai?
Jawab: Ji Haa! Khassi kiya hua Janwar Qurbani me istemal karna Sunnat se sabit hai.
Hazrate Aayesha (R.A) aur Abu Hurairah (R.A) farmate hai:
“Allah ke Rasool (ﷺ) jab Qurbani ka irada karte to 2 bhaari bharkum, mote taaze, singo wale, safaid wa kaale aur khassi kiye hue bakre kharidate.”
[ Ibne Majah, Musnade Ahmed ]
[ Sahih Ibne Majah 2531 ]
* Shaykh Albani ne is Hadees ko Sahih karar diya hai.
Referance : Qurbani ke Masail