♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ?
Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: “Main isey tumare liye malum karke aata hu,..” aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: “Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hum kaun sa Maal rakhe ? ,.”
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya: “Tum me har koi Shukr karne Wala Dil , zikar karne wali Zuban aur Iman wali Biwi rakhe Jo iski Aakhirat ke kaamo me Madad karegi.”
– (Ibn Majha; Hadith no. 1856-Sahih)
Related Posts: