Ummul Momineen Ayesha (R.A) ne farmaya: Nabi Akram (ﷺ) ne Jumuah ke Din Awaam se Khitaab farmaya tou Aapne Dekha ki Unhone (Roz Marrah Istemaal ki) Chaadrein Odh rakhi hain. Tab Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Kya Harj hai ki Tum Mein se Kisi Aadmi ke Paas Gunjaish ho to (Woh Roz Marrah ke) Kaam Kaaj ke Kapdon ke Alawa Jumuah ke Liye (Khaas Taur par) Kapde Tayyar kar le.”
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye…
LIC in islam : Ladki ki Shadi ke liye LIC Karana kaisa hai? https://www.youtube.com/watch?v=R3MyZXY7alk LIC in islam Does LIC permissible in Islam for Girls Marriage by Adv Faiz Sayed ?, Is LIC insurance permissible in Islam ?, is life insurance allowed in islam ?, is health insurance halal in islam ?, fatwa on lic policy, insurance in islam halal or haram, fatwa on life insurance in islam, is lic haram in islam, lic is haram or halal, kya insurance jaiz hai. lic meaning in urdu, insurance haram hai ya halal, is lic halal…
Insaf Sab ke liye barabar : Hadees Mafhum-e-Hadees: Ummaha-Tul-Momeenin Aayesha (R.A) se riwayat hai ki,Usama (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se Ek Aurat ki Muafi ki Sifarish ki (Jisne Chori ki thi aur Uska Naam Fatima tha) tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki – “Tum se Pahle ke Log Isliye Halaaq ho gaye ki wo Kamzoro par tou Hadd (Saza) Qayam karte they aur Buland Martaba Logo ko Chorr detey they. Uss Zaat ki Qasam Jiske Haath me meri Jaan hai!Agar (meri beti) Fatima (R.A) ne bhi Chori ki…
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Deen aur Dunia ki Khair ke liye Dua… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Malik, Sa'd Bin Tariq (R.A) se Mairwi hai ke, Ek shakhs Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur usne arz kiya, "Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ! Main apne Rab se sawal karu to kya kahu ?." Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Tum ye kaho ! Aye Allah mujhe Bakhsh de, Mujh par Reham farma, aur Mujhe Aafiyat de, aur Mujhe Rizk ata farma, aur aap ne Anguthe…
Roza Iftar ki Dawat denewalo ke liye Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Zubair (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne Muadh (RaziAllahu Anhu) ke wahan Roza Iftar kiya tou (Unko ye) Dua di ❝Aftara Indakumus-Saimun, Wa Akala Taamakumul-Abrar, Wa Sallat Alaikumul- Malaikah ❞〘Rozedar tumharey yahan iftar karey, nek log tumhara khana khaye aur farishtey tumharey liye dua karey〙 - Sunan Ibn Majah, Hadith 1747-Sahih For more Islamic messages kindly download our Mobile App [post-content id="46102"]
Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Hadees of the Day Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jumuah ke Din Subah Hote hi Tamaam Jaanwar Qayaamat ke Dar se Kaan Lagaye Huye hote hain Yahan Tak ki Sooraj Tuloo ho jaye, Siwaye Jinnon Aur Insaano ke." 📕 Abu Dawood: 1046 (Sahih)
Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Umamah Al Bahili (R.A.) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaya: "Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka Roza rakhega tou Allah Ta'ala us ke aur Jahannam ke darmiyaan ek Aise Khandaq bana dega Jis ki Masaafat (distance) Aasmaan wa Zameen ke Darmiyaan ke baraabar hogi." 📕 Jami` at-Tirmidhi 1624-Hasan ✦ हिंदी हदीस : अल्लाह के लिए रखे हुए एक दिन के रोज़े की फ़ज़ीलत ✦ अबू…
Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai Roman Urdu : Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai ۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai: "Aye eman walo! Jab tum Namaz ke liye utho tou apne munh ko aur apne haathon ko kohniyon samet dho lo aur apne siron ka masah karo aur apne paaon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat me ho to Ghusul ker lo." 📕 Surah-e-Maidah 5:6 हिंदी : नमाज़ के लिए पाकि हासिल करना फ़र्ज़ है ۞ कुरआन में…
Al-Quran: Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi… Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi tarazu istemal karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ‟Jab kisi ko koi cheez naap kar do tou pura naapo aur tolne ke liye saheeh tarazu istemaal karo." 📕 Surah Bani Israil 17:35
Shirk Zulm Azeem : Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (R.Au) ne farmaya ke: 'Jab yeh aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!"…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Kunbey Aur Kabiley Ka Ikhtelaf Sirf Shanakht Ke Liye .... *Roo-e-Zameen Par Aalmi Aman Qayam Na Hone ki Sabsi Aham Wajah Shirk Ke Baad Ye Bhi Hai ke - Logon Ne Rangat Aur Zabano Ki Buniyaad Par Ek Dusre ko Afzal Aur Mafzul Bana Diya ,.. *Jabki Allah Rabbul Izzat Ne Insano Me Rangat , Kunbey Aur Kabiley Ka Ikhtelaaf Is Liye Kiya Kyunki Wo Ek Dusre ki Shanakth(Identify) Kar Sakey ,.. Iske Talluk Se Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai - ♥ Al-Quran: "Logon! Humne Tum Sabko Ek Mard…