Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Agar Insaan ke Paas Maal Doulat ke 2 Baag Hain Tou Woh Teesre ki Khwahish Karega aur lsaan ka Pait tou Qabr ki Mitii hi bharegi." 📕 Bukhari, Hadees: 6436
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ... Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde…
Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti jab… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke, "Allah Ta'ala tab taq unn Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi karta, jab taq wo Hijab (parda) ekhtiyar na kar le." 📕 Abu Dawood, Hadees 641
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Bure Padosi, Buri Biwi aur Bure Bachcho se bachne ki Dua ✦ Hadith : Allah ki Panah talab karne ki Dua ✦Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ye Dua farmaya karte theyاللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ جَارِ السُّوءِ ، وَمِنْ زَوْجٍ تُشَيِّبُنِي قَبْلَ الْمَشِيبِ ، وَمِنْ وَلَدٍ يَكُونُ عَلَيَّ رِبًا" Allaahumma innee Awuzubika Min Jaar As-Soo Wa min zawjin Tushayyebuni Qabal-Al-Masheeb Wa min waladin Yakunu Alayya Ribba "(Ya Allah main teri panah maangta hu bure padosi se, aur aisee biwi se jo budhape se pahle mujhe…
ISLAM Khatrey Me Hai Ya MUSALMAN ? Aaj Musalamano Par Din-ba-Din Zulmo Seetam Ki Inteha Dekh Aksar Logon ke Muhh Se Ye Baate Sun'ne Ko Milti Hai ke "Islam Khatrey me Hai ,.." Subhan'Allah !!! ... *Yaad Rakhey Jo Log Ye Kehte Hai Ke Islam Khatrey Me Hai.. Wo Bhul Jaiye Ke Islam Ko Kabhi Khatra Tha Na Kabhi Hoga Balki Khatre Me Wo Musalman Hai Jo Is Deen Ko Chorkar Apne Nafs Ki Tabedari Kar Raha Hai.. - Jabki Is Deen Ki Fitrat Hai Ke Ye…
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut (Death) ho Jayein to Allah Ta'ala us Rahmat ke Nateeje mein jo un Bachchon se Woh Rakhta hai Usey Jannat mein Daakhil karega." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 1248
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Musalman Bhai ki Ahmiyat: Hadees Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, "Tum me se koi shakhs iman wala na hoga jab tak Apne bhai ke liye wo na chahey jo apne Nafs ke liye chahta hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 13 प्रेषित के अनुयायी अनस (र.अ) वर्णन करते है के, प्रेषित मुहम्मद(ﷺ) ने कहा, "तुम में से कोई भी ईमानवाला नहीं होगा जब तक कि वह अपने (मुस्लिम) भाई के लिए भी वह पसंद न करे जो खुद के लिए पसंद…
Sone Chaandi Ke Bartan Me Na Khaye ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Umme Salma Riwayat karti hain ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Shaqs Sone Chaandi Ke Bartano me Khata Peeta Hai. Wo Apne pet me Dozaqh ki Aag jama’a karta hai." - (Muslim, al Libaas 2025)
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza… Roza Chorne ka Azab Kin Logo ko Roza na rakhne ki chooth hai aur bewajah Roza chorne ka azab kitna khatarnak ho sakta hai? tafseeli jankari ke liye is audio clip ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne se Bacha Kare ♫ Saher…
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643