ALLAH Nek logon ko Kyun Aazmata hai ? URDU Lecture… https://www.youtube.com/watch?v=6y019aF8HJg ALLAH Nek logon ko Kyun Aazmata hai ? Allah Kis Ko Azmata Hai? , Nek Logo Ki Azmaish Sabse Jyada kyu hoti hai ? , Pareshani Azmaish Ya Saza, Allah Ki Azmaish, Hadees On Azmaish, Azmaish K Waqt Ki Dua, Azmaish In Quran, Allah Ki Azmaish In Urdu
Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai:"Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen.
Hadees: Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se… Hadith: 22-March: Imran (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟ Bhali baat sikhana behtar hai khamoshi se aur khamoshi behtar hai buri baat sikhane se. 📕 Shoaib Ul Iman 4993
Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6464
Haiz Ke Masaael (Haiz ki Halat me Mana Kiye Hue Kaam) Haiz Is Khoon Ko Kehte Hain Jo Balegha Aurat Ke Raham Se Har Maah Nikalta Hai, Iska Kum Se Kum Waqt Ek Din Aur Ek Raat Hai Aur Ziyada Se Ziyada 15 Din Hai. A’am Taur Par 6 Ya 7 Din Aata Rehta Hai. Haiz-O-Nifaas Ke Ayyam Me Mamno (forbidden) A’amaal 1. Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat: Rasool'Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: ‘Jab Aurat Haiz Se Hoti Hai To Wo Namaz Nahi Padhti Aur Na Roza Rakhti Hai.’ - (Bukhari:…
Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amal Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amaal ۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai ke: "Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amal waqt par Namaz parhna aur Walidain ke saath accha sulooq (Husn-e-Sulooq) karna hai." 📕 Bukhari, Jild 4, Page 589, Hadees 7534 ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez ! Allah Taala hume Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki taufik Dey. Ameen
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon…
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin… ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, " Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar Khatakar wo hai jo Tauba kar ley" - Sunan Ibn Maajah; Arabic reference, Hadith 4392 ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ : अनस (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, " आदम की तमाम की तमाम औलाद खताकार है, लेकिन बेहतर खताकार वो है जो तौबा…
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Maahe Shaban ki Barqat se log gafil hain Maahe Shaban ki Barqat Hadees: Usamah bin Zaid (R.A) riwayat hai ki, unhone RasoolAllah (ﷺ) daryaft kiya ki - "Ya RasoolAllah (ﷺ) main aapko Shaban ke mahine ke alawa kisi aur mahine mein is tarah se (pabandi ke saath) roze rakhte huye nahi dekhta, Aap (ﷺ) ne farmaya ye mahina (Shaban) wo mahina jiski barkat se log gafil hai , aur Rajab aur Ramzan ke mahine ke beech mein ye wo mahina hai jisme aamal Allah subhanahu ke paas uthaye…
Nek Bando ke liye Jannat ki Nematen Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai: "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hain Jinhein kisi Aankh ne dekha na kisi Kaan ne Suna aur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 4779
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11