Allah se kare door to Taleem bhi Fitna : Dr. Allama Iqbal Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna,Imlaq bhi, Aulad bhi Jagir bhi Fitna. Nahaq ke liye Uthey to Shamsheer bhi Fitna,Shamsheer hi kya Nara-e-Taqbeer bhi Fitna. 📕 Dr. Allama Iqbal ✦ WAJAHAT: Allah se Door Karne waali Tamam Cheeze Insan ke liye Fitna hai, Chahe wo Gairjaruri Taleem hi Kyu Na ho, Imlaq yani Khandani Rusuk hi kyu na ho ,. aur Chahe wo Aulaad hi ya jaydad hi kyu Na…
Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein… Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein Paakdaman rahengi ۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein bhi Paak Daaman rahengi." 📕 Mustadrak, Hadees 7258
Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Hadees: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Patthar Kanta aur Haddi (wagairah) ka Raste se hata dena Sadqa (Sawab ka Kaam) hai." 📕 Tirmidhi, Hadees 1956
Hadees: Jis Qoum me Sood aam ho jata hai, us me… Hadith: 10-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jis Qoum me Sood (interest/usury) aam ho jata hai, us me Pagal pan ki bimari phail jati hai. 📕 Al Kabair Liz Zahabi: 1/61
Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho Allah Ta'ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,.. Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai - ♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do,…
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Bolo to acchi baat bolo ya Khamosh Raho.” 📕 Sahih Bukhari; Hadees 6019
Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdul Rahman (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki - Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho: Tou Allah Ta'ala Uske Kaam Me Pareshaani Daal Dega, Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai. *Aur Jiski Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho: Tou Allah Ta'ala Uskey Sab Kaam Durast Kar Dega Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega Aur…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
Apne Bhai ko Fayda Pahunchao Apne Bhai ko Fayda Pahunchao RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Tum me se Jo Shakhs Apne Bhai ko Fayda Pahunchane ki Taaqat rakhta ho tou Usey Chahiye ki Woh Apne Bhai ko Fayda Pahunchaye.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2199
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777
Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho "Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo." 📕 Surah An-Nisa 4:19
Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Hadees of the Day Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Umme Salma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:- "Jo Aurat Dunia se is haal me chali jaye ke uska Shohar us se raazi tha, tou wo Jannat me dakhil hogi." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1854
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416