♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai.”
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Aadmi ne Pait se jyada Bura koi Bartan nahi bhara Hadees: Mikdam Ibn Madikarab (R.A) se riwayat hai ki, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh farmate huye suna ki - "Aadmi (Insan) ne Pait se Jyada Buraa koi Bartan nahi bhara. Ibne Aadam ko Chand Luqme Kaafi hai Jo Uski Peeth Ko Sidha Rakhe Agar Jyada Khana Zaruri ho tou Tihaai Pait Khane ke liye, Tihaai Paani Ke Liye aur Tihaai Saans Ke Liye.." 📕 Tirmizi, Hadees 2380
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Allah Taala farmata hai: "Beshaq tumhare Maal aur Aulad (Allah ki Taraf se) ek Fitna (Aazmaish) hai." 📕 Quran 64:15
Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Hadees: Muaz bin jabal (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: "Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, Hadees 2012📕 At-Tirmidhi; Book 1, Hadees 287
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Hadees: Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di… - Roman Urdu - ۞ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di jaaye, tou daawat qubool kar leni chaahiye." 📕 Muslim; Hadees 3591 - हिंदी - ۞ हदिस: जाबिर (र.अ.) से रिवायत है के अल्लाह के रसूल (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "अगर तुम में से किसी को खाने की दावत दी जाये तो दावत कबूल कर लेनी चाहिए।" 📕 मुस्लिम; हदिस ३५९१ -…
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye to… Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye Ummahatul Momineen Aisha (R.A) se riwayat hai ki Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Namaz ke Dauran Oongh ya Neend aaye to wo so jaye yaha tak ki Uski Neend puri ho jaye kyunki agar wo Unghte huye Namaz padhega to Shayad wo Astigfar karne ki jagah khud ko Baddua kar dega." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 1,1297-Sahih ✦ Hadees : Jab Neend Gehri ho to So jaye…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo." 📕 Quran; Surah Nisa 4:2