✦ Mafhum-e-Hadith:
Abu Malik Ash’ari (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke:
❝Aakhri Zamane me logon ko Zameen me Dhansa diya jayega, Unpar pattharo ki barish ki jayegi aur unki Shaqle mask (Mita) kar di jayengi. ek riwayat me aata hai ke “Unki Shaqlo ko Suar (Khinzir) aur Bandar ki shaqlo me badal diya jayega.❞
Aap se pucha gaya ke “Aye Allah ke Rasool! aisa kab hoga ?..”
Tou Aap(ﷺ) ne farmaya “Jab Aalat-e-Mousiqui (Music instruments) fayl jayenge aur gaane waali aam ho jayengi aur Sharab ko halaal samajh liya jayega.”
–Sunan Ibn Majah; Urdu Hadith 3296
? Sunan Ibn Majah; English Hadith 4020
Subhan’Allah !
Aaj Gaane-Bajane ke aalat (Music Instruments) ko kitna mamuli samjha jata hai. Allah Reham kare! humara ek muslim baap, khud bazaar jata hai aur Baccho ko Mausiqi ke Aalat bachpan se hi dilata hai. koi Piano dila raha hai tou koi Mouth Organ. Subhan’Allah!
Nahne-Munhe Baccho ko aap Bansuri la kar de rahe ho,
– Cycle me bhi hai tou music hai, Gaadi hai tou usme bhi Music hai, Ghar me T.V. ki shaql me music hai, Handset ke andar dialer tones aur ringtones me Music hai, Laptop aur Desktop me gaano ki shaqlo me Music ka zakira hai. Aur Mosiqi ke aalat aur Ganewaliyo ki Aawaze har zagah aam ho rahi hai. Hatta ke Allah ke zikr ko bhi Qawwaliyo ki shakl me humne Music ka fitna aam kar diya.
♥ Allah Reham Kare ! Jara sochiye ke hadees me kitne sakht alfaaz se Nabi (ﷺ) ne wayeed ki hai apni Ummat ko.
Allah Hume bachaye in tamam Haramkariyo se,.. Ameen