Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye to kya kare ?

Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye to kya kare ?

Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye

Ummahatul Momineen Aisha (R.A) se riwayat hai ki
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

Jab Tum me se kisi ko Namaz ke Dauran Oongh ya Neend aaye to wo so jaye yaha tak ki Uski Neend puri ho jaye kyunki agar wo Unghte huye Namaz padhega to Shayad wo Astigfar karne ki jagah khud ko Baddua kar dega.”

📕 Sunan Abu Dawud, Jild 1,1297-Sahih


✦ Hadees : Jab Neend Gehri ho to So jaye

Abu Hurairah (R.A) se Riwayat hai ki
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab tum me se koi Raat me (Namaz ke liye) khada ho aur Quran uski Zuban par Ladkhadane lage aur wo Na Samajh paye ki kya kah raha hai to usko so jana chahiye.”

📕 Sunan Abu Dawud, Jild 1 , 1298-Sahih

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *