Islamic Quiz 137

Islamic Quiz 137

ka Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Baap

Daleel :

۞ Hadith: Abu Abdur-Rahman As-Sulami riwayat kartey hain
Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya:

“Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai , isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959 ( Hasan)


۞ Hadith: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldain) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai.”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960 ( Hasan)