Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Ramadan Day 17 | Ramzan aur har Maah ke 3 Roze ki Fazilat Ramadan Day 17 ✦ Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:❝ Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har Maah ke 3 Roze seene me moujud kharabiyo ko ....
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Ye 3 Surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ✦ Hadith: Abdullah bin khubayb (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: 'Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh liya karo, ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) 📕Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan ✦ Hadith: Uqba bin Amir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Har Namaz ke baad Aakhri teen Surah yani…
Rabbish Rahli Sadri Dua : Aye Allah ! Mere kaam ko… Dua for Confidence ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي "Rabbish Rahli Sadri Wa Yassirli Amri Wah Lul Uqdatan Min Lisaani, Yaf Kahu Kauli" 📕 Al-Quran; Surah Taha 20:25-28 Tarjuma: ‟ Aye mere Rab! tu mere liye mera seena khol dey aur isey risalat ka wajan sehne ke liye faila dey, aur mere kaam ko mere liye aasan kar dey, aur meri zubaan ki giroh ko khol dey taaki log meri baat ko…
Musalmano ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar Musalmano Ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai ke - "Musalmano ke Gharo me Sab se Behtareen Ghar wo hai Jisme koi Yateem Rehta hai aur Uss ke Saath Behtareen Salooq kiya Jaata ho.Aur Musalmano ke Gharo me se Badd'tareen Ghar wo hai ki Jis me Koi Yateem ho aur Us ke Saath Bura Salooq kiya jata ho." 📕 Tibrani Kabeer: Hadees 13434
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Naye Saal ki Aamad! Josh se nahi hosh se kaam lein... New Year ki Sharayi Haisiyat NAYE SAAL KI AAMAD!Josh se Nahi Hosh se Kaam Lein. Humari Zindagi Badi Mukhtasar hai. Har Aane Wala Din Hamari Zindagi ko Kum Kar Raha hai. Ek Din Hamari Zindagi Khatm ho Jayegi aur Hum Apne Rab ke Samne Pesh Honge.Uss Din ke liye Humari kya tayyari hai? Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Iman Walo! Allah se Darte Raho aur Har Shakhs ko Yeh Dekhna Chahiye ki Usne Kal…
Har Nafs ko Mout ka Maza chakhna hai ( Kullu Nafsin… Kullu Nafsin Zaikatul Mout ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai: ❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout) aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge, phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞ 📕 Surah Aal-e-Imran 3:185 MORE QUOTES ABOUT MOUT Ummido aur Mout ke Darmiyan…
Aur Har Cheez ka Allah ne joda paida kiya Aur Cheez ka Allah ne joda paida kiya Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Aur har cheez ko humne joda joda paida kiya hai taaki tum nasihat hasil karo." 📕 Al-Quran; 51:49
Har Mahine 3 Din Subah ke Waqt Shehad chatne ki Fazilat Har Mahine 3 Din Subah ke Waqt Shahad chatne ki Fazilat Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs har mahine 3 din subah ke waqt Shehad chatega, toh usey koi badi beemari nahi hogi." 📕 Ibne Majah: Hadees 3450
Apni har hajatein apne Rab se hi mange ۞ Hadees: Thabit (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya , "Tum me se har Shakhs ko chahiye ki wo Apni tamam hajatein apne Rab se hi mange, Yanha tak ki Namak bhi usi se mange aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou Wo bhi uss (Allah) se mange." 📕 Jamiat Tirmidhi, Jild 2, 1536-Hasan