Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Hadees: Main aur Yateem ki parwarish karnewala… Hadith: 13-June: Sahal bin Sa'd (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Main aur Yateem ki parwarish karnewala jannat me is tarha qareeb honge jaise Shahadat ki Ungli aur Beech wali ungli qareeb hai. 📕 Bukhari 6005
Ilm se Darjaat buland honge Ilm se Darjaat buland honge Allah Ta'ala farmata hai: "Allah Tum me se un logon ke jo iman laye hai aur jo ilm diye gaye hai, darje buland kar dega." 📕 Surah Mujadila 58:11
Ramadan Day 17 | Ramzan aur har Maah ke 3 Roze ki Fazilat Ramadan Day 17 ✦ Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:❝ Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har Maah ke 3 Roze seene me moujud kharabiyo ko ....
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643
Har Nafs ko Mout ka Maza chakhna hai ( Kullu Nafsin… Kullu Nafsin Zaikatul Mout ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai: ❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout) aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge, phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞ 📕 Surah Aal-e-Imran 3:185 MORE QUOTES ABOUT MOUT Ummido aur Mout ke Darmiyan…
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees: Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan…
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha. Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Wo Sharaab Nasha…
Bukhari Shareef 1000 Hadees in Hindi PDF Size: 4.8MB | Pages: 385 ★★★★★ PDF Description Bukhari Shareef 1000 Hadees in Hindi PDF Bukhari hadith hindi pdf, bukhari hadees in hindi pdf download, bukhari shareef hadees hindi pdf, bukhari shareef hadees in hindi pdf download, bukhari sharif hadees in hindi pdf, bukhari sharif hadees in hindi pdf free download. bukhari hadees in hindi pdf, sahih bukhari hadees in hindi pdf, sahih bukhari hadees in hindi pdf download, bukhari hadees hindi pdf, bukhari sharif hadees in urdu pdf free…
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞ 📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92 “Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”. 📕 Surah Nisa 4:85 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -"Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar…
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Jab Log 4 Kism ke Gunaaho me mulawwis honge ✦ Mafhum-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai – 1). Kisi Qoum me Behayayi is Qadar Fayl jaye ke wo Khullam Khulla iska irtiqaab shuru kar dey tou Allah inko Tawoon(Epidemic Disease) ki Bimaar me mulawwis kar deta hai aur aisi bimariyo me Allah mulawwis karega jo is se pehle tumne kabhi nahi suni hongi. (Tawoon se Muraad aisi Bimariya jisme sekdo logo ki mout ek sath aajati hai.) Subhan’Allah ! Aaj behayayi ka kya muamla hai, bataney…
Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Har Taraf Phaili hui Qatl-o-Ghaarat giri mein Ibaadat karna Meri taraf Hijrat Karne ki tarah hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2948 (7400)
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818