Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490
Paani Pilaney ka Sawaab Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Paani Pilaney ka Sawaab Abu Huraira (R.A) kehte hain ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya - "Ek Kutta Kuve ke Aas-Paas Ghum raha tha aur pyaas ki wajah se marney ke qareeb tha ke, Bani-Israeel ki Ek Zaniya Aurat (prostitutes) ne ess ko dekh kar apna Juta (Shoe) utaar kar kuve se paani khich kar uss ko pila diya, Allah Taala ne essi wajah se ess Aurat ki Magfirat kar di." 📕 Sahih Muslim, Hadees 5578 📕…
Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Allah ke rasool (ﷺ) farmatey hai - "Jab Shaam ka andhera (magrib) hone lagey tou apne baccho ko ghar me rokey rakhoKyunki uss waqt jinn aur shayateen fail jatey hai." 📕 Bukhari, Hadees 3316,📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 2604
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
Hadees: Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di… - Roman Urdu - ۞ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di jaaye, tou daawat qubool kar leni chaahiye." 📕 Muslim; Hadees 3591 - हिंदी - ۞ हदिस: जाबिर (र.अ.) से रिवायत है के अल्लाह के रसूल (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "अगर तुम में से किसी को खाने की दावत दी जाये तो दावत कबूल कर लेनी चाहिए।" 📕 मुस्लिम; हदिस ३५९१ -…
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Sone Chaandi Ke Bartan Me Na Khaye ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Umme Salma Riwayat karti hain ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Shaqs Sone Chaandi Ke Bartano me Khata Peeta Hai. Wo Apne pet me Dozaqh ki Aag jama’a karta hai." - (Muslim, al Libaas 2025)
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jab Tum me se koi Dua kare to Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi ﷺpar Durood bheje, Uske baad jo chahe Dua mange." 📕 Abu Dawood, Hadees: 1481-Sahih
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya – "Tum me se koi Shakhs Khana Khaye to Apni Ungliyon ko Chaat le, Kyunki woh Nahi Janta ke In me se Barkat kis me hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 2035