Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur… Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - "Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Waasna/S*x) ko kum karta hai." 📕 Bukhari Sharif, Jild 3,…
Hadees: Main aur Yateem ki parwarish karnewala… Hadith: 13-June: Sahal bin Sa'd (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Main aur Yateem ki parwarish karnewala jannat me is tarha qareeb honge jaise Shahadat ki Ungli aur Beech wali ungli qareeb hai. 📕 Bukhari 6005
Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare Hadees of the Day Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Beshak Ek banda Allah ki Razamandi ke liye ek baat Zuban se nikalta hai usey woh koi Ahmiyat bhi nahi deta lekin iski wajah se Allah iskey darjaat buland kar deta hai. is tarah ek dusra Banda ek Aisa kalma (baat) Zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka sabab hota hai usey woh koi Ahmiyat…
Jo Shakhs Kamaata nahi aur logon se Maangta phirta… Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Jo Shakhs (logon se) maangne ka Darwaaza kholta hai, (Kamaata nahi hai aur logon se Maangta phirta hai) tou Allah Ta'ala us par Tangi (Financial Crisis) ka Darwaaza khol deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 2325
Baat Baat par Laanat aur Baddua Karne se Bacho ... Baat Baat par Laanat aur Baddua karne se Bacho Rasool'Allah(ﷺ) ne farmaya "Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai." 📕 Sunan Al Tirmizi; Hadees :1977 Sahih ۞ Hadees: Ek Shakhs ki Chaadar ko Hawa ke Tez Jhonke Lage tou Usne Hawa par Lanat ki. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Hawa Par Lanat Naa karo ki Wo Allah ki Taraf se Maamoor hai, aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par…
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi… Tanhaai bure sathi se behtar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess: 4993
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
♫ Saher aur Iftar Ka Tariqa aur Kuch Galat Fahmiya Saher Aur Iftar ka Tariqa aur Kuch Ghalat Fahmiya Saher aur Iftar Kaise kare, uska mukammil Tariqa aur uske talluk se Kuch Galat Fahmiyo ka ijala janne ke liye is mukhtsar si audio clip ka jarur mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫…
Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai: Aur humne Aap(ﷺ) ki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon par in taleemaat ko waazeh kare jo inki taraf naazil ki gayi hain taake wo Gour-o-fikr karen. 📕 Al-Quran; Surah Nahal 44 Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Yaad rakho! mujhe Quran-e-Majeed aur iske saath is jaisi ek aur cheez (Sunnat) di gai hai). 📕 Abu Dawood: as Sunnah, Baab Fee luzoomus Sunnah 4604)…
Islamic Quiz 366: Rasool-Allah Sallallahu Allaihi… Islamic Quiz 365 Islamic Quiz 365 : Inmein se wo kaunsi Surah hai jismein ek hi aayat mein Allah Subhanahu ke 9 naam liye gaye hain? A. Surah Aal-e-Imran B. Surah Al-Hashar C. Surah Baqara D. Surah Anbiya GET ANSWER Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Al-Hashar Daleel : ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Surah Al-Hashar, Ayat 23: "Huwallahu allazi la ilaha illa huwa, Al-Malik, Al-Quddus, As-Salam, Al-Mu’min, Al-Muhaimin, Al-Aziz, Al-Jabbar, Al-Mutakabbir. Subhanallahi amma yushrikoon."
Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi… Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jab bohot jyada Zinaa hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aam ho jayegi." 📕 Shuab-Ul-Iman, Hadess 7369
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7
Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jannat mein Ek Kooda Rakhne Jitni Jagah Duniya aur is mein Jo kuch hai, Sab se Behtar hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6415