Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo
Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de.”