Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Wo Baat Sun'ne wale ke paas Amanat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir bin Abdullah (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jab Aadmi koi baat batatey waqt idhar udhar dekhe, tou wo baat Sun'ne wale ke paas (Raaz aur) Amanat hai" - (Abu Dawood, 4868) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ : जाबिर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "जब आदमी कोई बात बताते वक्त इधर उधर देखे, तो वो बात सुनने वाले के पास (राज और) अमानत है" - (अबू…
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Naye Saal ki Aamad! Josh se nahi hosh se kaam lein... New Year ki Sharayi Haisiyat NAYE SAAL KI AAMAD!Josh se Nahi Hosh se Kaam Lein. Humari Zindagi Badi Mukhtasar hai. Har Aane Wala Din Hamari Zindagi ko Kum Kar Raha hai. Ek Din Hamari Zindagi Khatm ho Jayegi aur Hum Apne Rab ke Samne Pesh Honge.Uss Din ke liye Humari kya tayyari hai? Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Iman Walo! Allah se Darte Raho aur Har Shakhs ko Yeh Dekhna Chahiye ki Usne Kal…
Kaun se Sadqe ka Sawab sabse Zyada hai ? ✦ Hadees: Kaun se Sadqe ka Sawab Zyada Hai ? Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Unhone farmaya, “Ek shakhs Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas aaya aur kehne laga ‘Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Kaun se Sadqe ka Sawab Zyada Hai ?’ Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya, ❝ Us waqt Sadqa karo jab tum Tandurust ho, Tumhe Maal ki Zarurat ho, Gareebi ka Darr ho aur Zindagi ki Ummeed ho aur Sadqa karne me Der na karo, hatta…
Rabbish Rahli Sadri Dua : Aye Allah ! Mere kaam ko… Dua for Confidence ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي "Rabbish Rahli Sadri Wa Yassirli Amri Wah Lul Uqdatan Min Lisaani, Yaf Kahu Kauli" 📕 Al-Quran; Surah Taha 20:25-28 Tarjuma: ‟ Aye mere Rab! tu mere liye mera seena khol dey aur isey risalat ka wajan sehne ke liye faila dey, aur mere kaam ko mere liye aasan kar dey, aur meri zubaan ki giroh ko khol dey taaki log meri baat ko…
Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me… Roman Urduहिंदी Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai." - (Sunan Ibn Majah Hadees 14) ✦ Wajahat: Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat. Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat…
Aye Kash! Maine Rasool Ka Rasta Apnaya Hota ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Uss Roz Zalim (Afsos Aur Nadamt Se) Apne Hath Kaat Kar Khayega Aur Kahega “Aye Kash! Mai Ne Rasool Ka Rasta Apnaya Hota! Haye Meri Bad-Bakhti Ke Kaash Mai Falaa (Gumrah Shaks) Ko Apna Dost Na Banaya Hota...” – [Surah:Furqan (25) Aayat No:27-28] *Mere Azeezo ! Iss Ayate Mubarak Me Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Rastey Se Muraad "Kitabo Sunnat" Ki Pakiza Rehnumayi Hai,.. - Na Ki Kisi Mafadparasto Ka Tareeka Jo Kitabo Sunnat…
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7
Bhoole bhatke ko rasta bataana Sadqa hai Bhoole bhatke ko rasta bataana Sadaqa hai Hadees: Abu Zar (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Bhoole bhatke aadmi ko sahih raasta bataana Sadqa hai." 📕 Tirmidhi, Hadees: 1956
Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par… Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono me se Ek par Kufr aa Jayega, Agar wo shakhs jisko usney pukara wo Kafir hai tou khair (Kufr uss par rahega) warna pukarney waley par laut aayega." 📕 Sahih Muslim, Vol 1, Hadees: 316 ✦ Sabaq: Yaad rahe ke kisi bhi Muslman ke koi Gairsharayi amal ko dekhkar…
Sood Khane aur Khilane wale par Lanat (Hadees) Sood Khane aur Khilane wale par Lanat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Sood Khane wale, khilane wale, Likhne wale aur uske dono Gawaho par Lanat ki hai. Aur farmaya: (Gunah me) yeh Sab barabar hai. 📕 Sahih Muslim, Hadees; 1598, (4093)