Gheebat ka taruf aur Nuqsaan
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Tum jante ho Gheebat kya hai ?.”
Logo ne kaha “Allah aur uske Rasool ﷺ behtar jante hain.”
Aap (ﷺ) ne farmaya
“Gheebat yeh hai ke, tum apne bhai ka Zikr karo is taur par ke agar woh samne ho tou usey accha na lage.”
Logo ne kaha “Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! agar uss me woh Aib mojood ho tou ?.” Aap (ﷺ) ne farmaya “tabhi tou Gheebat hui, nahi tou khuli Tohmat (ilzam) hogi.”
• Note: Kisi Musalman ke liye yeh jayaz nahi ke wo kisi ki bhi burayi kare, chahe wo burayi usme moujud hi kyu na ho, Ha! fitno se aagah karna alag baat hai
Dayle ahadesh