✦ Fazail 2: Quran Shifa hai Ruhani aur Jismani
Nafsiyati Bimari ka Ilaj :
♥ Allah Rabbul Izzat farmata hai –
Aye Logo! Tumhare pass Tumhare Rab ki taraf se Ek Aisi Cheez aayi hai jo Naseehat hai aur Dilo me jo Rog hai Unn ke liye Shifa hai aur Rehnumaee kerney waali hai aur Rehmat hai Eman Walon ke liye.
– Surah Yunus 10:57
… Yaha Dilo Ke Bimariyon Se Muraad Hai – Qina, Hasad , Bugz, Takabbur, Dikhawa, Jhuth Ye Sab Jo Nafs Ke Shar Hotey Hai Iss Kitaab Ke Andar Inn Tamam Shar Ka Ilaaj Hai ,….
Jismani Bimari ka Ilaj :
♥ Aagey Allah Rabbul Izzat farmata hai –
Quran ko Humne Nazil Kiya aur Iske Andar aisi Aayate hai Jo Insan ke liye (Jismani) Shifa hai aur Rehmat hai Mominin ke liye lekin ye Kitaab Zalimo ke liye Khassare ke Siwa aur kuch nahi hai.”
– Surah Bani Israyeel 17:82
Yaani Jo Apne Nafs pe Zulm kare Uske liye you Isme Khassara hi hai tou Iss Kitab me Jismani Shifa bhi hai aur Ruhani Shifa bhi hai.
*Isi Tarha Aayiye Gour karte hai ke Isme Kya-Kya Cheezo ki Shifa hai.
1). Ye Dilo ke Amraz ka Ilaj hai –
Har Kism ki Nafsani Bimaari ka Ilaaj Quran me hai aur na Sirf Balki Jismani Sukun aur Itminan bhi Quraan me Milta hai aur Jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat ne farmaya –
Allah ke Zikr me hi Insan ke Dil Itmninan paatey hai.
– Surah Radd 13:28
… Tou Agar koi Shakhs Quraan ki tilawat karey tou Uska dil Itminan me hota hai aur har kism ke Bimari se bach jata hai.
Aur Isi baat ko Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya aur kaha:
“Quran padhne walo par Allah Sakinat Naazil karta hai”
– Sahih Muslim
*Aaj Takriban Insan ko jo Bimari hoti hai Uski asal Vajah Besukuni aur Beitminani hi hoti hai aur Quran ki Khususiyat ye hai ke ye Sukun deta hai, dilo ko Sukun deta hai. Jehan ko Sukun deta hai, Balki Mominin jab Quraan padhtey hai tou Sakinat nazil hoti hai.
2). Junoon aur Mirgi ke Marz Ilaaj hai Quraan me –
Hadees: Aap (ﷺ) farmatey hai ke –
“Junoon aur Mirgi ke Bimari me Rozana Subha aur Shaam 3-3 Martba Surah Fatiha Padhkar Insaan apne Nafs par Damm karey.”
– Sunan Abu Dawood
3). Duao Ko Qabuliyat tak Pohchata hai ye Qalaam:
Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai ke –
Surah Fatiha Padhkar jo Cheez Allah se talab ki Jaaye Allah Ta’ala ata farmata hai.”
– Sahih Muslim
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek aur riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
Surah Baqrah ki Aakhri 2 Aayate Jo Shakhs Padh ley aur padhkar Allah se kuch talab karey tou Allah Rabbul Izzat Usko ata farma deta hai.”
– Sahih Muslim
• Ab Bohot Se Martba Ek Sawal Mere Aur Aapke Jehan Me Aata Hai Ke –
“Kya Wakay Me Aisa Karne Se Hume Fayda Hoga ?”
– Jis Wakt Humne Ye Socha Uss Wakt Humko Fayda Nahi Dega Ye Qalaam ,..
– Yahi Tou Khususiyat Hai Iss Qalaam Ki ,.. Ke Ispar Imaan Ho Tab Ye Apna Asar Dikhata Hai,…”
4). Nazar-e-Badd (Buri Nazar) Se Bachne Ka Ilaaj Bhi Hai Iske Andar –
Hadees: Abu Sayeed (Razi’allahu Anhu) Iss Hadees ke raawi hai. Aap farmatey hai ke –
Rasool’Allah (ﷺ) baaz Dua ke Jarye Jinnaat aur Shayateen ke Shar se aur Nazare-Badd se Allah ki Panaah Maang liya karte they, Lekin Jab Allah ne Mauzatain (Surah Falaq & Surah Naas) Naazil Kar Di Tou Rasool’Allah ne Wo Tamam Dua’ye Chorr di aur Aap ye 2 Duaye Hi padha karte they.
– Jamey Tirimizi
Tou pata chala ke ye Nazare-Badd ka Ilaaj hai. Jinnaat aur Shayateen ke fitno se bachne ka bhi Ilaaj hai. Goya Insaan isko padh le tou wo Allah ki Hifazat me chala jata hai.
Hadees: Isi Tarha ek aur riwayat me aata hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
Allah ki panaah Mangney ki Dua’o me sabse behtar Dua Mauzatain (Surah Falaq & Surah Naas) hai”
– Sunnan Abu Dawood
… Tou Andaza lagaiye Jis Kitaab ki Pahli Surat aur Aakhri ki 2 Surat ke hi Itney fazail hai tou Mai Samjhta hu Bich ka tou pura baaki hai abhi !..
*Tou ye Agar Inn Pehli aur Aakhri Surato Ki ye Fazilat hai tou Andaza Lagayiye ke jab ye Khulega aur Shuru Hoga Surah Baqrah se Aagey tou kya-kya Faydey Jo ho sakta hai ke Hum Kabhi Jaaney aur Kabhi na bhi Jaane ke kya hotey honge.
*Aaj Iski Doori Ka Natija: Jehni Mariz, Jismani Mariz, Pareshaniya Aur Hamaaqsaam Ki Musibato Me Hum Mulawwis Hai Kyunki Humne Iss Kitab Ko Chorr Diya… Aur Ispe Wo Imaan Nahi Rakha Jaisa Iska Haq Hai..
5). Shaitaani Waswaso ka bhi Ismey Ilaj hai –
Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jisko Shaitani Wasaawis Aatey hai wo Aayatul Khursi tilawat kar ley.”
– Sahih Bukhari
Hadees: Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai –
Moajatain Padhkar apne Nafs par Dam Karo! Iss se Shaitan se Hifazat hoti hai.”
– Jamey Tirimizi
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
– Allah Ta’ala Hume Quraan-e-Kareem ko Padhne, Samjhne aur Uspar Amal ki taufiq dey!!
To Be Continue ….