Farishton Ki Duniya Kaisi hoti hai, Unke Martbe aur faraiz kya hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera.
Farishton ki duniya, farishton ki zindagi, world of noble angels, Farishton ki duniya Ep#, Farishton ki nagri, farishtey salami dene wali, farishtay full movie, farishtay ki duniya, farishtay aur islam, khana kaba par farishtan, angels on kaba sharif, maut ka farishta, Farishton ka bayan.
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdul Rahman (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki - Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho: Tou Allah Ta'ala Uske Kaam Me Pareshaani Daal Dega, Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai. *Aur Jiski Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho: Tou Allah Ta'ala Uskey Sab Kaam Durast Kar Dega Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega Aur…
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=w2W4FIIh4d8 Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat Dunia ki mohabbat aaj insan ke har kism ke Gunaah ka bayeens hai, jabki ye akahirat ke aitbar se bohot khassara uthane wali cheez hai ,.. iske talluk se tafseeli jankari ke liye aayiye is bayan ka muta'ala karte hai. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. - JazakAllahu khairan kaseera !
Insan Duniya me ess Qadar Mashghool hota hai ke ... "Insan Dunia me Ess Qadar Mashghool hota hai ke,Usey Pata bhi nahi chalta ke Jis Kapde se Uska Kafan Ban'na hai Wo Bazar me aa chuka hai." 📕 Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) "इंसान दुनिया में एस क़दर मशग़ूल होता है के उसे पता भी नहीं चलता के जिस कपडे से उसका कफन बनना है वो बाजार में आ चूका है।" 📕 हजरत अली रजि०
Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde." 📕 Bukhari Shareef, Hadees: 1442
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Hadees of the Day Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Mustawrid (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya : "Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to ... Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya : "Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,Woh tumhari hifazat karega,Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna. Hatta…
Jisne Nashe ki wajah se Ek Namaz Chorh di maano uski… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abdullah ibn umar (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shakhs ne Nashe ki wajah se ek Namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki Duniya aur uska sara saman is ka tha aur us se wapas cheen liya gaya. aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar Namaz corh di tou Allah subhanahu par lazim hai usko Teenat-Al-Khabal peelaye, pucha gaya ki Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) !…
World No Tobacco Day: जानिए तम्बाखू जैसे नशे के बारे… https://www.youtube.com/watch?v=yuzCXvNX_bo Tobacco Cigarette Haram In Islam? Cigarette Haram In Islam Urdu, Cigarette Smoking Haram In Islam, Fatwa on Cigarette Smoking, Tobacco Fatwa, Hadees about Nasha, Smoking in Islam Hadith, is smoking haram or Makruh. what islam says about smoking, smoking is haram in islam fatwa released, is smoking haram hanafi, tobacco fatwa