Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro!… Dua Ibadat Hai Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, Hadees: 3372
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Bolo to acchi baat bolo ya Khamosh Raho.” 📕 Sahih Bukhari; Hadees 6019
Hadees: Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari… Apne Khane ko Pakeeza bana lo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi." 📕 Targhib: Hadees 2484
Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho Allah Ta'ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,.. Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai - ♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do,…
Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho "Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo." 📕 Surah An-Nisa 4:19
Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah Hadees: Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki - "Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega. Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele'n Aasaan bana deta hai. Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo…
Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare ... Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare aur Tumhare Gunah Tumhe Ranjeedah kare tou tum momin ho." 📕 Silsila Saheeha; Hadees: 550
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416
Kisi ke Aib ki talash me mat raho Kisi ke Aib ki talash me mat raho Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Imanwalo! Kisi ke Aib ki talash me mat raho." 📕 Surah Al-Hujurat 49:12