Biddat Ki Haqeeqat: Part-2

Biddat ki Haqeeqat 2 image

✦ Duniya me Biddat se koi Mumaniyat nahi:

Shareeyate Islamiya ne Duniya me hume Biddat karne se nahi roka!. matlab Duniya me Inventions kijiye , khub discoveries kijiye! lekin deen me koi nayi baat Ijad mat karna.

Kyunki Deen wohi hai jo Rasool’Allah (ﷺ) ka bataya hua hai, Ismey koi naya Akida, naya Amal shameel nahi ho sakta.

Haa! Duniya ke andar Aap nayi “Buildings” banana chahtey ho, Achi-Achi gaadiya chalana chahtey ho. Sharayi Usoolo wale Acche-Acche kapde pehnana chahte ho, Nayi-Nayi technology ijad karna chahte ho. Jo karna hai karo! is me koi masla nahi!

Lekin Rasool’Allah (ﷺ) ke bataye hue Shareeyat ke andar koi nayi cheez, naya aqida ijad na Karna… Iss se Shariyat ne hume sakht roka hai.

✦ Biddat ka Maksad kya hota hai:

Biddat ka Maksad ye hota hai ke “Kum wakt me kum amal karke jyada ajar paa ley.” aur uske liye fir nayi nayi baate nikaali gayi, ke falah Amal falah wakt me, falah martba kar liye tou 500 saal ka sawaab. Subhan’Allah!!!

Biddati ke biddat ijad karne ka maksad bohot nek hota hai, wo kum wakt me jyada ajar pana chahta hai. lekin yaad rakhiye Shareeyate Islamiya ek aisi Shareeyat hai jisme tamam neki kar ke bata di gayi.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne aisa koi chota amal bhi na tha neki ka jo bata na diya ho
aur na hi aisa koi bada amal thajJo ummat ko bata na diya ho ke “ye neki hai”

Aur Sahaba nekiyo me aise harees they jitna hum duniyawi doulat ke muamle me bhi harees nahi hotey.
Aayiye is ke talluk se ek Hadees par gour karte hai.

✦ Nekiyo ke Muamle me Sahaba ki hirs :

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahabi aatey hai jo gareeb they, Aap (ﷺ) se arz karte hai: “ya Rasool’Allah (ﷺ) ! yeh maaldaar log (Sahabi) Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uske bawajud Allah ki raah me maal kharch karke nekiyon me humse aagey nikal jaate hai.

Aap hume koi aisa amal (solution) de dijiye ta’aki hum bhi nekiyo me inkey barabar aa jaye.

Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya “har Namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh (Subhan’Allah) aur Tamheed (Alhamdulillah) aur Takbeer (Allahu Akbar) aur Aakhir me kaho ‘La Ilaha Illa Wahdahu La Sharika Lahu, Lahul Mulku Wa Lahul Hamdu, Wa Huwa Ala Kulli Sha’in Qadir’ fir tum bhi nekiyon me inke barabar aa jaoge.”

Gareeb Sahaba khush hue ke ab hum bhi nekiyon me Ameer sahaba ke barabar ho jayenge. lihaja Masjid me pohchey, aur namaz ke baad Tehtees-Tehtees martaba Tasbeeh, Tamheed aur Takbeer padhney lage.

Yeh amal dekhkar ameer sahabiyon ko ta’ajub hua aur ek ne unsey sawal kiya ke ye kaisa amal hai?

Ab Gareeb sahaba chupa bhi nahi sakte they. unhone kaha ke ‘Hum tumhari shikayat lekar gaye they Rasool’Allah (ﷺ) ke paas, ke tum maal ki wajah se nekion me humse aagey nikal jatey ho, hum bhi nekiyo me tumhare barabar aana chahte they lihaja Rasool’Allah (ﷺ) ne hume yeh Falah Falah tasbih de di.

Unn Ameer Sahabiyon ne Kaha ‘Acha thik hai’. ab agli Namaz me sabhi moujud hai, Namaz ke baad gareeb sahabi bhi tasbeeh padh rahe hai aur ameer bhi.

Wo fauran Rasool’Allah (ﷺ) ke paas pohche aur arz kiya ‘Ya Rasool’Aallah (ﷺ)!  unhone bhi shuru kar diya, Jo amal aapne hume diya tha wo Unhone ne bhi shuru kar diya.’

Tou Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya … ‘Zalika Fazlullahi Yuti Hi Mayyashaha” yaani ki yeh Allah ka fazl hai Maal-O-Daulat wo jise chahta hai ata karta hai..)

Sahih Bukhari, Vol 2, #843
? Sahih Muslim Book 004, Hadith no.1239

Tou dekha Aapne ke Sahaba nekiyo me Itney harees they ke Sunnat se sabit koi Amal chortey nahi they, aur jo kaam Sunnat se sabit na tha usey Biddat jantey they.

In’sha’Allah! Agley Part me hum ek aisi Biddat ka tazkira karenge jo Sahabi-e-Rasool ke Zamane paayi gayi aur unn Biddatiyo ke anzam par gour karenge.

To be continue …

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *